Friday 8 March 2013

Aurat

Jab tak Beta Ma ko salamatati se ghar la na paye ga
Jab tak Pita Beti ko marzi k khilone dila na paye ga,
Jab tak Bhai apni Behan ki izzat bacha na paye ga,
Jab tak Pati Patni k liye jaan na lutaye ga
Tab tak mere desh main hote rahen ge balatkaar,
Tab tak hum karte rahe ge chamatkar ka intazar
Kya hoga agar khada kannon bhi ban jaye ga
Darida gunagaar phir bhi jaisey kaisey choot jaye ga

Ek dante mein do balatkaar hote hain
Pehle panne pe hi chhapa yeh samachar hai
Neeche likha huva hai Aurat ko pyar do
Maan do sammaan do aaj Women's Day Yaar hai
Thokh mein balatkaar hote hain, parchoon kya kare ga
Agar mila bhi gaya ek do auratun k dil ko, sakoon kya kare ga
Bana bhi liya toh aisa, kanoon kya kare ga
Bana bhi liya toh aisa, kanoon kya kare ga
Gunah dekh k hum apna moun mode lete hai,
Marte huva insaan ko sadak pe chod dete hain,
Khud mard jitna bhi galat kare woh paata nahi saza,
Par wohi ilzaam hi lagne pe aurat se rista todh lete hai,
Jab hamara khoon hi ho gaya hai paani,
Ma Beti Behan ki jagah humey sirf dikhe aurat ki jawani,
Khud hi samjo aisa haalat mein dharindu ka zanoon kya kare ga,
Bana bhi liya toh aisa kanoon kya kare ga
Bana bhi liya toh aisa, kanoon kya kare ga

Kisi gali se kisi shadak se kisi bazar se,
Har roz aaye gi khabar,
Kisi behan beti ne lagai hai aag
Aur kisi Ma na khaya hai zehar,
Kab tak hamare desh mein,
hota rahe ga aurutun pe kehar,
Kab tak is kaali raat ki
Na hogi koi sehar
Kab tak bholi bhali ban k isse
Chupp reh k karna pade ga sabar,
Kab tak koi beta koi bhai koi pati
Na daale ga aurat pe bhuri nazar
Behta huva galiyun sadhkun pe is ka khoon kya kare ga,
Bana bhi liya toh aisa kanoon kya kare ga
Bana bhi liya toh aisa, kanoon kya kare ga


Ek din ek sapta ek maheene k manane se,
India gate pe chiragun ko jalane se,
Bachun ko badi badi pothiyaan padane se,
Zordaar bhasanu ko oonche oonche Pandalun se doraane se,
Kade kade kanoon banane se,
Nahi bade ga aurat ka maan,
Nahi payi ge woh sammaan
Agar badana hai uss ka maan
Agar dena hai uss ko sammaan,
Hum sab ko karna pade ga yeh kaam
Apne andar laani pade ki
Ma jaisee mamta,
Behan jaisee komalta,
Bibi jaisee saralta
Aur beti jaisee chanchalta

Aur dene hogi uss ko har safalta pe badai,
Mangni na hogi uss se asafalta pe safai,
Bahir laani hogi uss ki har acchai,
Aur karni na hogi uss ki kabhi burai

Agar aisa kar diya toh uss ka maan sammaan bhi bade ga,
Aur koi aisa bhi na hoga joh uss se balatkaar kare ga,
Kade kanoon ki bhi na koi zaroorat hogi,
Azad surakhsith aur nirbhey har ek aurat hogi.

No comments:

Post a Comment