Friday 30 January 2015

GHAZAL: Meri Jindagi Se Kisi Ka Kyon Naam Nikal Gaya,

Meri jindagi se kisi ka kyon naam nikal gaya 
Woh anjaan ho gaya jab uss ka kaam nikal gaya.

Jab kisi ne bewafai ka jikar kiya kisi se saat, 
Mere muh se achanak hi tera naam nikal gaye.
 
Tere pass paunchana tha jis ko kal subhe subhe, 
Apne ghar se woh aaj ki hi shaam nikal gaya.

Mere samne khade reh kar ankh tak na milai jis ne, 
Wohi le ke apne saat mera salaam nikal gaya.

Kuch saal saat reh ke mujhe chod ke woh bola,
Chalo accha huva laagat ka kuch daam nikal gaya.

Alag ho ke tujse parinde sa urdun aur lage mujhe, 
Jaise janjeerun ki qaid se koi gulaam nikal gaya.

Woh khaas tha iss liye lage the charun taraf pehre, 
Par woh chupke se ban ke aadami aam nikal gaya

Halaat aise ke sab dekhte rahe par koi rokh na paya
Uss aadami ko joh gunha kar sarre aam nikal gaya.

Main jaanta hoon mujhe dekh ke log yeh kehte hain
Ke bade baap ka ek aur beta nakaam nikal gaya.

Jis bazaar mein bikti hai sharmo haya bhi naam se, 
Herat hai ussi bazaar se koi gumnaam nikal gaya. 

Tera saat pa ke khus tha main aur aisa lagta tha, 
Jaise lottery mein mera bhi enaam nikal gaya.

Kehte hain bhure kaam kar ke bhi mile gi usse jaanat, 
"Chahat" marte waqt jis ke muh se raam nikal gaya. 

Friday 23 January 2015

GHAZAL :Maine Uss Se Dil Ki Baat Chupai Nahi Kabhi

Maine uss se dil ki baat, chupai nahi kabhi 
Uss ne mujko koi bhi baat, batai nahi kabhi. 

Uss ne mere bina, jaag ke sab kaam kar diye, 

Mujhe jis ke bin, need bhi aayi nahi kabhi.

Deekha ke peeth wohi saamne se chale gaye hain aaj, 

Jin se aaj tak maine nazar bhi churai nahi kabhi. 

Jis ke liye sabko choda wohi chod gaya mujhe, 

Main soochta tha ke ab hogi woh parai nahi kabhi.

Milna bicharna naseeb hai par phir bhi na jaane kyon, 

Mujhe lagta tha apne beech hogi judai nahi kabhi.

Teri badnaami ke darr se sada khamosh raha main, 

Mahobat ki kahani kisi ko bhi sunai nahi kabhi.

Tuje maan ke apna naseeb main khuda se lad gaya, 

Aur apni surat phir khuda ko bhi deekhai nahi kabhi. 

Saza kaatne ka afsoos nahi par itna sa malaal hai, 

Main duniya ko de sakka apni safai nahi kabhi. 

Dokhe pe dokhe kha ke bhi mera mann yeh kahe, 

Aey dost tu kar sakta mujse bewafai nahi kabhi. 

Dil katil ho ke bhi jahan dharakte hon pyar ke liye,
Aise mukadmein ki kar sakta koi sunwai nahi kabhi


Jin ke vaadun ki khatir hum barbaad huve hain, 

Wohi khetein hum ne kasam neebai nahi kabhi.

Marne ke baad bhi "Chahat" kisi ko yeh gila raha, 

Ke uss ki mazaar pe tu kyon aayi nahi kabhi. 

Monday 19 January 2015

GHAZAL: Itne Dinu Ke Baad, Mile Bhi Toh Kya Mile

Itne dinu ke baad, mile bhi toh kya mile
Chere pe shikan le ke, tum ho ke kaffa mile.

Apne milne ka andaaj bhi dekhne mein ajeeb tha
Aise ke jaise dost nahi, do bewafa mile.

Tune pukara mera naam kuch iss tarah se aaj
Jaise kisi mujrim ko, jurm ki saza mile.

Tujse juda ho ke gutan se bhari thi jindagi, 
Aa aise tu aaj mile, ke todhi taaza hawa mile.

Apne liye na sahi duniya ke vaste hi dost,
Mil aise ke jaise dost, barsun ho ke juda mile.

Gale se laga ke mujhko kuch aisa karna tu,
Marham mile zakhmun ko, aur dard ko dava mile.

Tera door jaana ban gaya tha marne ka bahana,
Ab ke iss tarah se mil, ik jeene ki wajah mile.

Main sama chuka hoon kabse kisi ki rooh mein "Chahat" , 
Yeh meri ab chah nahi, kisi dil mein jagah mile. 

Tuesday 13 January 2015

Raja Nahi Sirf Rani Hai

Jab tak rahi mashooka, deti rahi woh pyar
Bibi bani hai jab se,  tab se badi takraar
Yes bibiyaan  kyon badal deti hai jindagi
Dildaar aadmi bhi bhool jaata hai ashiqi

Mere saat bhi kuch aisa huva jaisa hota hai
Shaadi kar ke har koi pachtata hai rohta hai
Halaat aise badalte hain jaise na soochen hon
Bedroom mein ristadaar pati bahir soota hai

Jis ke liye maine Ma Baap ko choda 
Jis ke liye maine dostun se moun moda 
Wohi joh banni thi meri bibi baad mein
Uss ke liye ho gaya dekho barbaad main.

Kal kehti thi pyar ke sahare jee lenge
Aaj kehti hai piasun bin gujara na hoga
Ghar chalane ke liye zaroori hai paise
Pyar khatam hai apna ab dobara na hoga

Ab pyar maine apna lutana hai pappu pe
Khein woh bhi apne papa jaisa na ban jaye
Acche school jayega bane ga engineer
Aap ko bacche ki zara bhi nahi fikar

Uss ki nazar mein main ab ho gaya hoon naukar
Jahan bhi jaata hoon lagti hai mujko thokar
Ab meri  zulfen bhi uss ko nahi hain baati
Mujh mein koi Zing thing bhi nazar nahi hai aati

Aaj meri awaaz sunn ke joh kehti hai chup raho
Pehle meri vaani uss ke liye, Rafi ki awaaz thi
Ab itna daraati hai main seham jaata hoon
Kal wohi haseen dikti thi, jab hoti naraaz thi

Aaj Murga Gadha Ghoda Lomadi kya kya, nahi hoon main
Bandar hoon Bhainse hoon joh bhi hoon, yahin hoon main
Jaise bhi hai jindagi ussi ke sang  kaatni hai mujhe
Sada galat maana javunga ga chahe, sahi hoon main


Ab mujhe bhi apne aap pe bharosa nahi raha
Chala gaya hai ab kamaame ka bhi moka nahi raha
Ghar kaise chale ga subha sham yehi khayaal rehta hai
Kaise itna badal gayi woh lab pe sawaal rehta hai

Har ghar ki yeh kahani hai Raja nahi sirf Rani hai
Meri bhi ghar mein chalti nahi, yehi toh paresaani hai
Agar shanti chahate ho toh hatyaar daal ke dekho
 "Chahat" iss tarah se sudar jaani teri jindagani hai.

Wednesday 7 January 2015

GEET: Koi Badnaam Ho Jaye, Tabi Toh Naam Milta Hai

Koi badnaam ho jaye, tabi toh naam milta hai
Dharkane se hi dil ko yahan aaraam milta hai 
Mahoobat ke bina jindagi bebas bemaani hai 
Mahoobat kar ke hi ashiq ko, sacha kaam milta hai

Kal tere dil mein na tha, magar main aaj rehta hoon
Ban ke main khash kisam ka, ik raaz rehta hoon
Tere sazne savarne mein mera hi rang dikhta hai
Main tere badan pe, ban ke naya riwaaz rehta hoon
Tera pyar toh mujko, subha sham milta hai
Koi badaam ho jaye, tabi toh ...................

Jis pe log marte hain, wohi andaaj hai tera

Tu khuskismat hai yahan koi humraaz hai tera
Wafa sab ko nahi milti yeh jaan ke tu bhi
Suudh le humsafar kis baat pe naaraz hai tera
Dusarun ke haatun tuje dil ka pegaan milta hai
Koi badaam ho jaye, tabi toh ...................

Maana tuj sa aur koi dusara, na hoga zamane mein

Magar naam sab ka nahi aata, mahoobat ke fasane mein
Mahoobat imtiyaan leti hai, kabhi toh jaan leti hai
Kuch toh kabele tareef hoga, tere bhi dewaane mein
Mahoobaat muft bikti hai, nahi koi daam milta hai
Koi badaam ho jaye, tabi toh ...................


















Tuesday 6 January 2015

Hindi- Ma Se Bhi Badi Hai

Bachpan se yeh padi hai, Par palle na padi hai
Bolne mein badi aasaan, Par likhne mein gharbadi hai
Apne hi deshwasi isse pyar nahi karte
Yeh meri Hindi bhasa do raahe pe khadi hai

Dostu aap ko mein batata hoon hindi kya hai
Visarga kisse kehte hai aur seehari bindi kya hai
Hindustaan mein hi kyon hindi ka bhura haal hai
Angrezi khargosh hai Hindi ki kachuve see chaal hai
English asmaan pe urd rahi hai, hindi sehmi dari dari hai
Yeh meri Hindi bhasa do raahe .............................

Bhasan joh isse bhadrane ke dete hain manchu se
Wohi english mein baat karte hain chele aur chamchu se
Unn ke hi bachhe Eng medium mein padte hain
Hindi mein bache bolen toh chanta bhi jhadte hain
English unni ke bedroom mein soye, aur Hindi gate pe khadi hai.
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ....................................

Yahan bachhun ko paida hote hi english padai jaye
Eye kahan hai nossi kahan hai Ma bachhe ko bataye
Eye Nossi toh bachha kuch saalun mein seekh jaye
Par ankh kaan kahan se uss ko yeh samaz na aaye
Gud Moring karna yeh baat toh namaskaar se badi hai
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ....................................

English mein counting karna aata hai yahan sab ko
Hindi ki counting mein bachha yaad kare rab ko
Untees Untalees Papa mujhe yeh bolna na aaye
Yeh baat apne baap ko bachha akshar batlaye
Bachhe ko kaise sabak padana ma baap ke liye museebat badi hai.
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ....................................

Ab aap ko batata hoon school ki ik picture,
English ka itna dewaana tha Hindi ka ik teacher
Woh hindi bhi humko english mein padatey the
Hindi mein jawaab dene par murga banate the

English bolne wali generation  ab Sar ke hi sar chadi hai
 Yeh meri Hindi bhasa do raahe ....................................

Ladki ki English sunn ke hum sab the uss ke dewaane

Woh shama ki tarah thee hum bane the parwaane
Usse impress karne ke liye khoob seekhee maine English
Teacher ki bhi ki bhi maine ki bahut tail malish

Angrezi mein uss pe maine poetry bhi likh daali
Woh gulaab ki tarah thi main ban gaya tha maali
Par ek din achanak hi woh elope ho gayi
Apni dash saari hi hope ho gayi
Ek pandit ji ke saat baagi jinne Hindi ka gyan tha
Woh sab dekhte reh gaye jinne English pe gumaan tha
Apne pyar ki yeh gaatha dosto bade dard bhari hai 
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ...........................

Aajkal Ma baap bhi bachun ko I love u kehte hain

Yeh bhool jaate hain ke woh Bharat mein rehte hain
Kurta pajama ki jagah aa gaye Bermude hain
Aameer gareeb saare  is race mein koode hain

Ham english ho rahe hain chod ke apna culture

Sab ko nazar aaye english mein apna future
Naaste ab badal ke breakfast ho gayen hain
Sundar dikhne wale ab hot ho gayen hain

Ik taraf Bollywood hai joh hindi mein bada good hai

Dusari taraf Bharat Sarkaar hain jis ki Hindi gayi haar hai
Sarkaari hindi se darr lage hai, Filmu hindi se sab ko pyar hai
Sarkaari hindi ki red light hai filmi hindi ki batti haari hai
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ...........................

Mann se pado iss ko yeh mann ki bhasa hai

Sach poocho yeh Bharat ki Jan jan bhasa hai
Himalaya se kanyakumari ki hawavun mein ghuli hai
Har zarre ki bhasa hai kan kan ki bhasa hai

Azadi ki ladai mein bhi iss ka yogdaan raha hai

Hindi rahi hai issliye hindustaan raha hai
Thopo na kisi pe jan jan ko apnaane do
Apni pyari hindi to khilne do muskare do

Prusti ji bhi likhte hain Sujata ko bhi aati hai

Jab galti koi karta hai toh Arun samjaati hai
Mishra ji padayen ge toh Hari Krishan bhi pade ga
Pyar bhi kare ga Hindi mein Hindi mein lade ga

Jab hindi bade gi toh desh bhi aage bade ga

Hindi se dusari bhasaun pe nahi koi fark pade ga
Hindi maan sammaan badaye gi yeh mann mein likh le
Devanagri agar muskil lage toh roman mein likh le

Whatsapp pe msg kar Facebook pe bhi post kar

Aey dost tu apna kaam hindi mein zayada aur most kar
Yeh hamari Matri Bhasa hai Yeh Ma se bhi badi hai
Yeh meri Hindi bhasa do raahe ...............................

Dheere dheere hi sahi par yeh aage badi hai 

Ab hum sab ko kehna, Jab bhi yeh padi hai, Palle mere padi hai
Theek kar loonga joh bhi likhne mein gharbadi hai
Yeh meri hai matri bhasa Ma se bhi yeh badi hai.