Tuesday 13 January 2015

Raja Nahi Sirf Rani Hai

Jab tak rahi mashooka, deti rahi woh pyar
Bibi bani hai jab se,  tab se badi takraar
Yes bibiyaan  kyon badal deti hai jindagi
Dildaar aadmi bhi bhool jaata hai ashiqi

Mere saat bhi kuch aisa huva jaisa hota hai
Shaadi kar ke har koi pachtata hai rohta hai
Halaat aise badalte hain jaise na soochen hon
Bedroom mein ristadaar pati bahir soota hai

Jis ke liye maine Ma Baap ko choda 
Jis ke liye maine dostun se moun moda 
Wohi joh banni thi meri bibi baad mein
Uss ke liye ho gaya dekho barbaad main.

Kal kehti thi pyar ke sahare jee lenge
Aaj kehti hai piasun bin gujara na hoga
Ghar chalane ke liye zaroori hai paise
Pyar khatam hai apna ab dobara na hoga

Ab pyar maine apna lutana hai pappu pe
Khein woh bhi apne papa jaisa na ban jaye
Acche school jayega bane ga engineer
Aap ko bacche ki zara bhi nahi fikar

Uss ki nazar mein main ab ho gaya hoon naukar
Jahan bhi jaata hoon lagti hai mujko thokar
Ab meri  zulfen bhi uss ko nahi hain baati
Mujh mein koi Zing thing bhi nazar nahi hai aati

Aaj meri awaaz sunn ke joh kehti hai chup raho
Pehle meri vaani uss ke liye, Rafi ki awaaz thi
Ab itna daraati hai main seham jaata hoon
Kal wohi haseen dikti thi, jab hoti naraaz thi

Aaj Murga Gadha Ghoda Lomadi kya kya, nahi hoon main
Bandar hoon Bhainse hoon joh bhi hoon, yahin hoon main
Jaise bhi hai jindagi ussi ke sang  kaatni hai mujhe
Sada galat maana javunga ga chahe, sahi hoon main


Ab mujhe bhi apne aap pe bharosa nahi raha
Chala gaya hai ab kamaame ka bhi moka nahi raha
Ghar kaise chale ga subha sham yehi khayaal rehta hai
Kaise itna badal gayi woh lab pe sawaal rehta hai

Har ghar ki yeh kahani hai Raja nahi sirf Rani hai
Meri bhi ghar mein chalti nahi, yehi toh paresaani hai
Agar shanti chahate ho toh hatyaar daal ke dekho
 "Chahat" iss tarah se sudar jaani teri jindagani hai.

No comments:

Post a Comment