Wednesday 14 October 2015

इक ज़माना हो गया है, दिल की बात लिखे

इक ज़माना हो गया हैदिल की बात लिखे
यूँ तो हम ने क़िस्से कितनेसारी रात लिखे
दुखूँ की तरह वो भी कभी हो पाये ना ख़त्म
खुदा अपने नसीब में इकऐसी मुलाक़ात लिखे
दुख दर्द ज़िंदगी के सारे हँस के सह लूँगा मै
मेरे नसीब में क़िस्मतअगर तेरा साथ लिखे
ख़ामोशी उस की बोलती है फिर भी यह दिल कहे
अपनी नज़रों से मेरे चेहरा पेवो कोई तो बात लिखे
प्यार माँग के शायद हमने कर दिया है बड़ा जुर्म
जवाब एक और लोगों नेकितने सवालात लिखे
कैसे जीते गे  दोस्त हम ज़िन्दगी की बाज़ी
बरसूँ से अकेले चल रहे हैंमाथे पे मात लिखे
इन्तज़ार है उस दिन का मुझे जब मेरे नाम के सामने
मेरा धर्म का ज़िक्र  करे कोईना मेरी जात लिखे
इतना चाहा है तूजे और इतनी सी ख़्वाहिश है "चाहत"
के कोरे काग़ज़ पे मेरा नामकोई तेरे साथ लिखे

Thursday 14 May 2015

Likh Diya Aisa bhi Maine

Museebatein jab hadh se badi, toh apne bhi chod gaye mujhko
Aise jaise doobti kishti se, uttar jaate hain musafir saare
                             --------------------------
Dekha tuje toh, aisa laga
Jaise dekha hai, maine khuda
Dil mujhse kehta hai, sunn zara
Fark bas itna sa, hai zara
Khuda toh mandir mein, bhi na dikhe
Tu dikhta mujhe hai, har ik jagha.

              --------------------------
Pyar k naam pe kyon khamosh ho gaye ho aap
Kya kisi see yaad aap ko bhi aa gayi hai abhi
Meri ankhen toh hamesha hi nam rehti hai
Kya koi baat aap ko bhi rula gayi hai abhi.

               ---------------------------

Tamana hai mahobat mein bahut mujko sataye tu
Kabhi pyar kare mujse aur kabhi bhool jaye tu
Tumare saamne aa kar main bacha sa ban javun
Mahobhat ki sabhi baatein khud mujko seekhaye tu.
                ---------------------------------
Dil ki badhaaliyun ne aisa kiya hai mera haal
Ab toh mere jeene pe bhi uthne laga hai sawaal
Main akela hoon phir bhi lage bheed hai jhakre huve
Kisi ne jaise bunn liye ho mere aage peeche jaal.
             ---------------------------
Ik zameen ka tukra hi, ban gaya hai dusmani ki waza
Vaise toh hum donu bhai hain, ik ma ka dood hai piya
Aey khuda yeh kaisa daur, aaya hai teri khudai mein
Apne hi apnu k khilaaf hain, aur apnu ko dete hain saza.
                ----------------------------

Muje bhahun mein bhar k, ik baar dekh lo
Teri sabhi paresaniyaan, ho jayen gi hawa
Badan ki saari thakan ko, araam aaye ga
Aur dil k har ek dard ko, mil jaye gi dava.

           ------------------------
Tere mere beech mein kuch aisa ho gaya hai
Sab kuch theek thaak hai par kuch kho gaya hai
Hum sabkuch kar sakte hain par dobara la nahi sakte
Talkhiyun mein jhagrun mein waqt joh gaya hai
                          ---------------------------
Kaash k har Muslim ban jaye Javed Akthar
Aur koi bhi Hindu na Tagodia bane na Modi
Sab desh k mitti k saat saat deshvasiun ko bhi poojen
Sab ko pyara ho Bharat Ma ka anchal aur Ma ki godhi.
                     ------------------------
Waqt se badle ga tan badan tera yuvan bhi dhale ga
Roop rang bhi pheeka hoga kyon ki dhoop mein jalle ga,
Par tere mann ki acchai pe aanch bhi naa aaye gi kabhi
Waqt se pyar aur gehra ho jaye ga joh dil mein palle ga.
                 -----------------------------------------
Eid ho mubarak har deshvaasi ko
Khuda ki deed ho har ankh pyasi ko
Mil jul ke sabhi tyohaar manane hai hume
Woh aayen amavasya mein ya puranmasi ko
Khusiyaan ko le k hi aata hai har tyohaar
Vishvash ke saat saat badhata hai yeh pyar
Pyar se hum ko yeh Eid bhi manani hai
Riwaaz yeh naya nahi reet purani hai.

          ----------------------------------
Dusarun ke aadeen na reh, khud pe bharosa kar le
Khud pe yakeen na todna, khud se na dokha kar le
Dusare bas salaha denge. aur nikaalen ge galtiyaan
Tera dil jaisa chahe kaam vaisa hi anokha kar le.

Monday 23 March 2015

Geet: Mann Ko Chain Mila Bina Dekhe Tujko

Mann ko chain mila bina dekhe tujko
Tujko mehsoos karta hoon teri khusboo se
Ab toh dar yeh hai ke pyar ho na jaye, 
Main ladne laga hoon apni arzoo se.
Arzoo andhi hai ya aankh wali, feshala yeh hum ko karna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil, saat saat ab jeena marna hai

Tu woh hai joh kal tak na thi mere khaboo khyalun mein
Tu wohi hai joh aaj bassi ko dil ke masoom sawaalun mein
Teri tasveer dekh ke hi nassa chada hai mujhe
Aisa lagta hai koi sadma laga bada hai mujhe
Har taraf rangeeniyaan hai phir bhi udas rehta hoon
Sab kuch chod ke teri yaddun ke saath rehta hoon
Dil kehta hai har had se ab mujhe gujharna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

Bina dekhe tujhe aisa huva dekh ke kaya hoga
Dekhun ga toh woh manzar sab se juda hoga
Yakin hi nahi hoga ke tu hai itne pass mere
Choo ke dekhun ga toh bhadkein ge aisash mere
Khawaab sach hote hain yakin ho jaye ga muhje
Maloom na tha koi itni jaldi apna banaye ga mujhe
Ab toh ahista ahista teri dil mein mujhe utarna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

Ek baar dekh ke choo ke tuje khawaish aur machal jaye gi
Mujh ko lagta hai tujse mil ke meri jindagi hi badal jaye gi
Phir se jawaan ho javun ga main, tujpe kurbaan ho javun ga main
Tujko bana ka apne dil ka mehazbaan, khud mehmaan ho javun ga main
Phir teri meri jawani mil ke ek nayi kahanai likh daale ge
Pyar ke jaane anjaane aishash ko dil ki jholi mein paale ge
Uss aishash ko phool ki tarah har mausam mein khilna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

New Year - Navroz - Meri Arzoo

Accha sab ke liye Navroz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho, 
Sukh shanti bhaichaara bade duniya mein, 
Aur acchi cheezun ki khoj ho.
Accha sab ke liye Navroz ho 

Koi kisi ke liye bhura na sooche, 
Koi kisi ko na de dokha, 
Har ek ko uss ka haq mile, 
Poori azadi mile mile har mokha, 
Masti se bhari ho sab ki jindagi, 
Aur har ek ke dil mein mauz ho.
Aur aisa hi din har roz ho ......... 

Apni jimmewari sab karen poori, 
Wohi kaam kiye jayen joh zaroori, 
Kisi ke dil ko koi dukhaye na, 
Kisi ki raah mein rodha atkaye na, 
Ristun mein rahe itni imandaari,
Ke kisi ke dil pe na koi bauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho............

Pyar ka rang gulen gulistaanu mein, 
Umeedun ke parcham leyrayen asmaanu mein, 
Duniya mein sab se aage jaana hai hume, 
Aisee shakti gulli ho apne pranu mein, 
Kamyaabi hume mile har ladai mein, 
Asmaan pe ladi jaye ya zameendoz ho,
Accha sab ke liye Navroz ho.............

Har deshwasi ko suvida mile dhoop mein aur chhavun mein, 
Taaraki ki khusboo fehle har gaon gaon mein, 
Har bete ke chere pe ho ronak, 
Kanta bhi na chube kisi beti ke paavun mein, 
Sab ko ek sa pyar mile apnu se begaanu se
Ram ho ya Mohd Salma ya Saroj ho, 
Accha sab ke liye Navroz ho..............

Apne saat saat desh ka soocha jaye, 
Seva ka mokha haat se na jaye, 
Har roz nahi par jab bhi de sakko, 
Jitna ban sakke desh ko diya jaye, 
Zaroorat padne pe desh ke aaye kaam "Chahat" 
Apne pass mar mitne wali fauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho,,,,,,,,,,,,,,

Monday 16 March 2015

GHAZAL : Apne Riste Ka Humey Koi Toh Naam Rakhna Hai

Apne riste ka humey koi toh naam rakhna hai, 
Main bikhun ya na bikun mujhe apna daam rakhna hai.

Accha lagta hai tuje meri aankun ka nasha iss liye, 
Tu piye ya todhe mujhe bhar ke jaam rakna hai.

Dard mahobat ka khoon ban ke ragun mein dhore ga, 
Rista iss se din raat subha sham rakhna hai

Pyar mein bad se badnaam bhura hota hai, 
Tu nahi mera yeh charcha aam rakhna hai.

Bhoole se koi accha insaan na aa jaye iss mein, 
Apni mehfil ko hamesha  badnaam rakhna hai.

Dil ke mandir mein bassein donu toh puja hoti hai, 
Sita lanka mein ho toh mujko na raam rakhna hai.

Mera jeena marna kuch bhi nahi hai tere bina, 
Apni sansun ko bana ke tera gulaam rakhna hai

Tu mera ho  na sakke ga tamaam umar pata hai mujko, 
Phir bhi tere liye hi aakhiri saalaam rakhna hai. 

Friday 13 March 2015

GHAZAL: Dekh Ke Andekhi Koi Toh Wajah Hogi,

Dekh ke andekhi koi toh wajah hogi,
Kissi ko hoga gussa ya phir wafa hogi

Abhi toh pass hai mere nahi kadar koi
Kadar samje gi meri jab juda hogi

Kyon khud se zayada bharosa hai uss pe
Log toh kehte hai woh bewafa hogi

Woh saamne reh ke bhi na bolen mujse
Iss se badi aur kya koi saza hogi

Acche bhale the kal tak aaj kya huva
Dil pe bhoj hoga ya sarmo-yaha hogi

Ab unn se baat karne ki aadat hai mujhe
Ho na payi toh dopehar be-maza hogi

Dil ko dukhane wale tu khus rehna sada
Mere honton pe sada hi yeh duva hogi

Pyar ke dard pyar se hi metaya ga yaar
Chera dekhun ga tera toh meri dava hogi

Poojane laga hoon kisi ko ab main "Chahat"
Badi jaldi woh insaan se khuda hogi

Monday 9 March 2015

GHAZAL: Khud Ko Khuda Samaj Lene Ki Galti Kee Hai Lakhun Ne

Khud ko khuda samaj lene ki galti kee hai lakhun ne
Bahut gamand karnewale ko mitti chatai hai paapun ne

Yeh daur kuch aisa hai ke iss daur mein sabkuch ulta hai
Doodh chod ke paani pee liya hai aasteen ke saapun ne

Batavo tum mujhe aey dost who aadami kaya bole tujse 
Kaat lee ho jis ki jheeb khud hi uss ke daatun ne

Bhure halaatun mein jis ko maangne se bhi maut nahi aayi
Par jab woh jeena chahata tha tab saat diya na sansun ne

Aisa nahi hona chahiye par aisa akshar hi hota hai
Dokha har insaan ko diya hai uss ke hi riste naatun ne

Dil ki chooti sachi baatein kyon pyar mein asar nahi karti
Loota hai kitna dil ke zazbun ko badi badi jhooti baatun ne

Azadi ki keemat woh hi samje joh qaidi ban ke kabhi raha ho
Gandhi Ji ko bada banaya tha jail ki hi kadhi salakun ne

Maine aisa bhi dekha hai gulistaan mein hote huve "Chahat"'
Ke phoolun ko giraya hai khud unn ki hi shaakun ne.

Friday 6 March 2015

Geet: Rangun Ki Yeh Holi, Yeh Holi Ke Rang Hain,

Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain, 
Khusiyun ki yeh holi, hum donu sang hai, 
Umeedun ke rang milen ge jab holi ke rang mein, 
Khawahisun ko jhod doon ga main tere sang mein. 
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Dushman bhi dushmani bhool ke pyar ke rang barsaye,
Khuda karen iss baar aisee hi holi aaye,
Sikwe gile gul jayen paani ke rang mein, 
Dooriyan kahan rehti hain jawani ke rang mein,
Dilun ki fasle ko mitane ki Holi ho, 
Aaj sab ko apna banane ki Holi ho, 
Badal ke bade ho jayen ge dil jin ke tang hain.
Chere se sab khus hain aur mann se malang hain, 
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Pyar ka gulaal bhikre ga iss holi mein aur zayada,
Tera mera pyar nikhre ga iss holi mein aur zayada, 
Naye rang pyar ke tujpe chadane ka hai erada, 
Poora kara hai maine phili holi ka har vaada, 
Hum tumse juda kabhi na the, Aaj bhi toh sang hain, 
Dekh ke apne pyar ko sab log dhang hain,
 Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Lal se bharun maang teri, Harra teri zulfun pe bekhairun ga, 
Peela tere chera pe haatun pe laga ke, Apni ungilyun se tujhe main chedun ga, 
Tere ghore ghore chere pe jab mere haat rang lagayen ge, 
Tere mann ke sabhi taar khud-ba-khud baj jayen ge, 
Hum aise mast ho jayen ge jaise piye bhang hain, 
Sajni kya karun unn ka joh uthe dil mein tarang hain.
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Wednesday 4 March 2015

Geet: Dooriyun Ko Fasalun Ko Mitata Chala Gaya

Dooriyun ko fasalun ko mitata chala gaya, 
Ek saksh mujko apna banata chala gaya, 
Kuch uss ne mere dil ki suun lee baatein
Aur kuch apni aapbeeti sunata chala gaya

Khamosi thi jindagi mein phir koi awaz aayi, 
Achanak mere dil ko choo ke laut aayi, 
Main sunti rahi woh pyar se sunata chala gaya

Mera chera hai chand jaisa jalwe hai asmaani, 
Mujko sunna di uss ne mere pyar ki kahani, 
Woh khoobiyaan meri mujko batata chala gaya

Meri ankhun pe uss ne likh dali gazal kavita, 
Main kaise bhoolun gi woh waqt joh uss ke sang beeta, 
Geet apne pyar ka woh gaata chala gaya

Mere dil ke har feshle se ashna hai woh, 
Mere dil mein agar nahi toh phir kahan hai woh, 
Mere dil ke raaz woh mujhi se chupata chala gaya

Friday 27 February 2015

Ghazal :Chamakte Jugnu Mujhe Raat Bhar Satate Rahe

Chamakte jugnu mujhe raat bhar satate rahe 
Na yaad kar ke bhi tum yaad mujko aate rahe.
Na veerane mein baith akele laut ja ghar ko
Sitare mujko poori raat samjhate rahe.
Joh raatun ko nahi khilte woh phool bhi dekho
Raat ki raani ke sang khoob muskarate rahe.
Koyal na gaayi magar hawa ke kuch jhonke
Pyar ka geet main sang gun gaate rahe.
Akela chand bhi gaataun se nikla toh bola
Tamaam raat tum kiss ko yahan bulate rahe.
Kya baat hai ke tum tak na gayi awaz meri
Sitare bhi meri sunnte apni sunate rahe.
Mere kalaam ko sunn ke wah wah kehne wale
Mehfil mein geet kisi aur ka kyon gaate rahe.
Kabhi toh aisa bhi hota ke aa ke na jaate
Magar woh umar bhar aate rahe aur jaate rahe.
Jinne khabar thi ke koi na yahan aaye ka kabhi
Ghar ki chokhat pe woh deep kyon jalate rahe.
Apne zubaan ke liye joh mashoor the zahan bhar mein
Pyar mein vaade wohi kar ke bhool jaate rahe.
Aaj akela raha toh pata chala mujko "Chahat"
Zara se baat pe woh kyon rooth jaate rahe.

Wednesday 11 February 2015

Kejriwal: Child Ab Man Ho Gaya

A B C ki huvi ladai A ne kiya aisa dhamaka, 
Urd gaye iss mein Modi Makhan Kiran aur Shah ka aaka. 
B ne poori taqat lagai aur kitne plan badle, 
Logon ko woh kya samjate mitta sakke na apne jagre. 
C ne pehli hi maan liya tha race se khud ko bahir, 
Sonia Rahul ki gun bhi kuch kar sakki na fahir, 
A, B C pe bhari pad gayi aisa jhadu chalaya, 
Swatch Bharat ke abhiyaan ka bhi Kejri ne kiya safaya.
Modi ka mazic wane ho gaya Delhi Kejri Fan ho gaya, 
Politics ka ek chota baccha aaj dekho Man ho gaya.
C ko mila hai zero anda B ko mila hai logon ka danda, 
A ne kar diya kitne hi logon ka ab manda dhanda. 
B C donu mil ke bhi A se reh gaye kosun door, 
Modi Shah Kiran Sonia Rahul "Chahat" dikh rahe hai kitne mazboor. 

Tuesday 10 February 2015

Panch Saal Kejriwal

Kiran bane gi bali ki bakri, Modi ki bhi haar huvi,
Karorun ka kharcha, lakhun ki mehnat, dekho sab bekaar huvi.
Shiela ka rath kal rukha tha, aaj Modi ka gubara huva punchur,
"Panch saal Kejriwal" kaise lage gi yeh picture.
Shiela ko Manmohan dubo gaya, Modi Kiran ko le dooba,
Kejri Bhaiya karne lage hai, shayad aathma naya azooba.
Sheila ke 15 Modi ke 9 pe, 49 pad gaye bhari,
Kejriwal sab se kehte hai, aa gayi phir se meri bari.
Shiela ne kaam kiya tha accha, jaanta hai bhuda aur baccha
Phir bhi aur paane ki dunn mein, de gaya voter ussi ko gaccha
Modi ne umeed badhai, har marz ki humko dava dikhlaye
Lakin Dilli mein koi bhi tarkeeb, kyon BJP ke kaam na aayi
Yehi guzarish yehi duva hai hum sab dilliwalun ki,
Iss baar hakoomat bane dilli ke rakhwalun ki.
Koi kisi ko na loote ab, sab ka izzat maan rahe,
Aurat surakhsit sab jagah jaye, uss ka sada sammaan rahe.
Kaam aise kiye jaye joh sach mein karne wale hon,
Dilli mein hum aise rahen jaise ke kismat wale hon.
Umeed ke saat dar bhi hai, na jaane kal kaisa hoga,
Kitni sasti bijli mile gi, aur free ka jal kaisa hoga.
Sab dalun se hai yehi prathana, desh ka soocho apna kam,
Aur logo aap bhi yeh dekho, kaisa dal chunte hain hum.
Elections mein koi kaam na dekhe, bas vaadu ka bol hai baala,
Zaat paat pe vote sab daalein, kya ghora kya kaala.
Kahe "Chahat" sunu dosto yeh kaisa gorakh dhanda hai,
Voter pehle gunga behra tha, kyon ho gaya ab andha hai.

Friday 30 January 2015

GHAZAL: Meri Jindagi Se Kisi Ka Kyon Naam Nikal Gaya,

Meri jindagi se kisi ka kyon naam nikal gaya 
Woh anjaan ho gaya jab uss ka kaam nikal gaya.

Jab kisi ne bewafai ka jikar kiya kisi se saat, 
Mere muh se achanak hi tera naam nikal gaye.
 
Tere pass paunchana tha jis ko kal subhe subhe, 
Apne ghar se woh aaj ki hi shaam nikal gaya.

Mere samne khade reh kar ankh tak na milai jis ne, 
Wohi le ke apne saat mera salaam nikal gaya.

Kuch saal saat reh ke mujhe chod ke woh bola,
Chalo accha huva laagat ka kuch daam nikal gaya.

Alag ho ke tujse parinde sa urdun aur lage mujhe, 
Jaise janjeerun ki qaid se koi gulaam nikal gaya.

Woh khaas tha iss liye lage the charun taraf pehre, 
Par woh chupke se ban ke aadami aam nikal gaya

Halaat aise ke sab dekhte rahe par koi rokh na paya
Uss aadami ko joh gunha kar sarre aam nikal gaya.

Main jaanta hoon mujhe dekh ke log yeh kehte hain
Ke bade baap ka ek aur beta nakaam nikal gaya.

Jis bazaar mein bikti hai sharmo haya bhi naam se, 
Herat hai ussi bazaar se koi gumnaam nikal gaya. 

Tera saat pa ke khus tha main aur aisa lagta tha, 
Jaise lottery mein mera bhi enaam nikal gaya.

Kehte hain bhure kaam kar ke bhi mile gi usse jaanat, 
"Chahat" marte waqt jis ke muh se raam nikal gaya. 

Friday 23 January 2015

GHAZAL :Maine Uss Se Dil Ki Baat Chupai Nahi Kabhi

Maine uss se dil ki baat, chupai nahi kabhi 
Uss ne mujko koi bhi baat, batai nahi kabhi. 

Uss ne mere bina, jaag ke sab kaam kar diye, 

Mujhe jis ke bin, need bhi aayi nahi kabhi.

Deekha ke peeth wohi saamne se chale gaye hain aaj, 

Jin se aaj tak maine nazar bhi churai nahi kabhi. 

Jis ke liye sabko choda wohi chod gaya mujhe, 

Main soochta tha ke ab hogi woh parai nahi kabhi.

Milna bicharna naseeb hai par phir bhi na jaane kyon, 

Mujhe lagta tha apne beech hogi judai nahi kabhi.

Teri badnaami ke darr se sada khamosh raha main, 

Mahobat ki kahani kisi ko bhi sunai nahi kabhi.

Tuje maan ke apna naseeb main khuda se lad gaya, 

Aur apni surat phir khuda ko bhi deekhai nahi kabhi. 

Saza kaatne ka afsoos nahi par itna sa malaal hai, 

Main duniya ko de sakka apni safai nahi kabhi. 

Dokhe pe dokhe kha ke bhi mera mann yeh kahe, 

Aey dost tu kar sakta mujse bewafai nahi kabhi. 

Dil katil ho ke bhi jahan dharakte hon pyar ke liye,
Aise mukadmein ki kar sakta koi sunwai nahi kabhi


Jin ke vaadun ki khatir hum barbaad huve hain, 

Wohi khetein hum ne kasam neebai nahi kabhi.

Marne ke baad bhi "Chahat" kisi ko yeh gila raha, 

Ke uss ki mazaar pe tu kyon aayi nahi kabhi. 

Monday 19 January 2015

GHAZAL: Itne Dinu Ke Baad, Mile Bhi Toh Kya Mile

Itne dinu ke baad, mile bhi toh kya mile
Chere pe shikan le ke, tum ho ke kaffa mile.

Apne milne ka andaaj bhi dekhne mein ajeeb tha
Aise ke jaise dost nahi, do bewafa mile.

Tune pukara mera naam kuch iss tarah se aaj
Jaise kisi mujrim ko, jurm ki saza mile.

Tujse juda ho ke gutan se bhari thi jindagi, 
Aa aise tu aaj mile, ke todhi taaza hawa mile.

Apne liye na sahi duniya ke vaste hi dost,
Mil aise ke jaise dost, barsun ho ke juda mile.

Gale se laga ke mujhko kuch aisa karna tu,
Marham mile zakhmun ko, aur dard ko dava mile.

Tera door jaana ban gaya tha marne ka bahana,
Ab ke iss tarah se mil, ik jeene ki wajah mile.

Main sama chuka hoon kabse kisi ki rooh mein "Chahat" , 
Yeh meri ab chah nahi, kisi dil mein jagah mile.