Friday 22 August 2014

GHAZAL: Tume Chahana Aur Tadapna, Ab Hai Kaam Mere Dil Ka

Tume chahana aur tadapna, ab hai kaam mere dil ka
Tum cheen ke le gayi ho, har araam mere dil ka

Jab se huva hoon tera, meri maang gat gayi hai
Ab koi nahi lagata, yahan daam mere dil ka

Ristun ki aemeeyat ko, jaana toh, tab yeh jaana
Kisi radha ko doondata hai, kab se sham mere dil ka

Waqt ke saat hote gaye hain, zakhm mere aur bhi gehre
Bhura haal ho raha hai, subha sham mere dil ka

Mujh se bethar kehnewale, lakun hain is jahan mein
Phir koi kyon sunne ga, gam ka kalaam mere dil

Apne saat saat ab dil ko, rakhna padta hai khayal tera
Pyar kar ke badh gaya hai, bahut kaam mere dil ka

Kya baat hai kyon mujko, dar lagta nahi kisi se
Jab ke naam ho raha hai, bahut badnaam mere dil ka

Yugun ki parampara yeh, kyon ho payi na khatam ab tak
Kisi Sita ko ajma raha hai, ab bhi Raam mere dil ka

Pyar kar ke kar gaye hain, na jaane hum kaam kaisa
Har jubaan pe ho raha hai, charcha aam mere dil ka

Jeena bhi isse na aaye, aur marna bhi yeh na chahe
Aey Khudaye tum hi karo kuch intazaam mere dil ka

Paana khona toh hai muqadar, pyar iss se bahut bada hai
Ab sab ko suna do yaaro,  tum yeh pegaam mere dil ka

Maut mulakaat ka kya hai, kab ho jaye khabar kis ko
Tum aaj hi le ke javvo, aakhari salaam mere dil ka

Mujhe fakar hai ke maine, dil ki sunni maani aur kari bhi
"Chahat" koi toh karega, kabhi aitraam mere dil ka

Wednesday 20 August 2014

Muhje Apni Mahobaat Aajmani Hai

Bewaza pyar kabi hota nahi
Pyar ke peeche ik kahani hai
Kitni shidatt se main usse chahata hoon
Muhje apni mahobat aajmani hai

Apne dil se jab poochta hoon main
Kitna mujko pyar hai uss se
Dil mujko bas yeh kehta hai
Meri duniya mera sansar hai uss se

Uss ke bin sara jahan adhura hai
Uss ke bin mera vajood nahi
Dekh ke uss ko hi sans chalti hai
Uss bin dharkan mein koi khood nahi

Pyar mera sada rehna hai 
Uss ke pass meri ik nishaani hai
Hamesha uss mein rehti jawani hai
Kitni shidatt se main tuje chahata hoon........

Doosare jaise pyar karte hain
Unn se bilkul alag pyar hai mera
Haseen toh zayada tar log hote hain
Par bilkul alag hi yaar hai mera

Uss ke pass Ma jaise mamta hai
Behan sa adhikaar beti sa haq hai
Woh asmaan se aayi hai mere liye
Iss baat pe mujhe nahi shaq hai

Din mein gul dopehar ki tarah khile woh
Raat mein woh raat ki rani hai
Roz banti apni nayi kahani hai
Kitni shidatt se main tuje chahata hoon..........

Uss ke gaal gulab jaise hain
Aur honton mere janmu se pyase hain
Uss ke ek ek ang pe haq hai mera
Khuda ne mere liye hi tarashe hain

Choota hoon uss ko toh aur nikharti hai
Pyar se usse aur jawaan main karun
Uss ke kis kis gunn ka bayaan main karun
Pyar uss ko kahan kahan main karun

Uss ke har ang naseela hai
Uss ki madmast jawani hai
Saari duniya uss ki dewani hai
Kitni shidatt se main tuje chahata hoon..............

Sunday 17 August 2014

Bhajan: Oh Mere Krishna Nayi Gita Likhna

Oh mere Kanha oh mere Krishna
Kyon jaati nahi mere mann ki trishna
Prabhu tu meri bhi bhigri bana le
Tum se hi tikka hai yeh sansaar yeh rachna
Aane ka vaada tune kiya hai
Aa ke ab mere ghar mein hi basna

Maine teri Gita bhi sunni hai
Sunni hain maine teri har kahani
Kaise maiya se kee tune leelayain
Kaise radha bani teri rani
Kaise yamuna ke tath pe tu khela
Kaise tere sang raha saakhiyun ka mela
Teri sabhi khathayain baalpan ki
Mujhe aaj bhi deti hai prerna
Oh mere Kanha .....,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Teri bhakti mein hai bahut sakti
Maine yeh khud meshsoos kiya hai
Jab jab tere dwar pe main aaya
Kabhi na tune mujhe mayoos kiya hai
Meri jingadi ko khusiyaan se bhar le
Mujh pe bhi apni daya dristi kar le
Tu kuch aise baansuri baja le
Asar kare mujpe koi bhi vish na
Oh mere Kanha ...............................

Aaj ke din hi tu huva the paida
Sabhi log janamdin manaate hai tera
Meri tum se bas prathana yehi hai
Ab jab lagavo ge tum dharti pe phera
Vapis jaldi jaldi na jaana
Lagana lambha apna tu dhera
Tuje har koi dekh na paya
Hum mein hi kisi ke dil mein tu chupna
Oh mere Kanha .................................

Har yug mein tune naya kuch kiya hai

Naye Arjun ko naya sandesh diya hai
Purani paramparayein sada thodi hain tune
Nayi taarein mann ki jhodi hain tune
Ab tera aana bahut hai zaroori
Badhti ja rahi hai acche logon ki mazboori
Aa ja badal de iss yug ko aa ke
Nayi seehai se nayi Gita likhna
Oh mere Kanha....................................

Thursday 14 August 2014

GHAZAL; Tu Musafir Hai Yahan Rukh Ke Chala Jaye Ga

Tu musafir hai yahan rukh ke chala jaye ga
Dil mera dil ko laga ke hi challa jaye ga

Dard jitna bhi mila ga sab mile ga mujko
Tera kya vapis tu accha bhala jaye ga

Saat tera mera do pal ka hi par hakeekat hai
Aur kuch sapne yehi ankhun mein malla jaye ga

Ek hi baar mein raakh hota dil toh accha tha
Sulagata dil hai mera door tak jalla jaye ga

Mulakaat choti hi sahi par na bhoole gi kabhi
Is ka har pal yaadun ki duniya mein pala jaye ga

Dard yeh pyar ka kuch dair kare ga taang muhje
Phir deere deere mere sanche mein dhala jaye ga

Bewafai pehle gunha hoti thi ab nahi hai "Chahat"
Bewafa jahanum ki kadai mein ab na talla jaye ga

Wednesday 13 August 2014

Din-ba-Din Woh Mere Aur Kareeb Aa Rahe Hain

Din-ba-din woh mere aur kareeb aa rahe hain
Seene se phir bhi lagne na de, kyon tarsa rahe hain
Dheere dheere hole hole, woh aaye hian jindagi mein
Ab aisa ho gaya hai, dil-o-demaag pe chha rahe hain

Kal tak woh ajnabi they duniya purani thi
Bewaza betarteeb meri jindagani thi
Nayi arzoo nayi khawaish ab naye sapne hain
Begaane log bhi ab lagte apne hain

Unn k aane se meri duniya hi badal gayi
Dil ki har ek tamana oonchi ucchal gayi
Woh kuch is tarah se mere sanche mein dal gaye hain
Apne pyar ka kaajal mere ankhun mein mal gaye hain
Apne peeche peeche woh ab mujko chala rahe hain
Din-ba-din woh mere aur kareeb.....................

Jawaani ki galiyun mein kuch aisa fisla mann
Pyar se latpath ho gaya mera saara badan
Hawa mein ghuli mujko lage khusboo pyar ki
Aur har mausam lage aisa jaise ho saawan

Mere rom rom mein jab woh hi samai hai
Phir uss ne meri mahobat kyon aajmai hai
Dil mujh se kehta hai who janmu se hai meri
Halaat mujh ko batate hain ke woh parai hai
Dil ke armaan mujhe suhane sapne dikha rahe hain
Din-ba-din woh mere aur kareeb..................

Unn ki ek jalak se hi subha hoti hai suru
Unn ko yaad kar kar ke meri raat sooti hai,
Kuch is tarah ka pyar huva hai sunn lo,
Khul ke na mulakaat aur na baat hooti hai

Phir bhi woh mere hain muje dil yeh kehta hai
Isliye unn ke diye saare dard sehta hai
Unn ki ik awaz pe main daura aata hoon
Lo ki tarah felta hoon paani sa behta hoon
Muje lagta hai woh muje abhi bhi aajma rahe hain
Phir bhi din-ba-din woh mere aur kareeb......................

Monday 11 August 2014

GAZAL: Gamu Se Rista Mera Bahut Purana Nikla



Gamu se rista mera bahut purana nikla
Dil toh tootna tha pyar toh bahana nikla

Zakhmu mein dam nahi tha ke todhte dil mera
Dard ka dil se sadiyun ka yaraana nikla

Tumse juda ho ke dhoop mein jaale toh yeh jaana 
Waqt joh tere saat gujra woh hi suhana nikla

Kal dekh tha usse aur aaj na dekha toh laga
Dedaar ki hasrat mein jaise ke zamana nikla

Jis ke labun se peene ko main tarsa umar bhar
Logon ke liye uss ke pass khula mekhana nikla

Jis ke liye maine khud ko dokhe diya woh dil bhi aakhir
Dard gam tadap bebasi mayoosi ka khajaana nikla

Sab se pyar jata ke jiss ne barbad kiya pyar tera
"Chahat" tere siva koi us ka na deewana nikla







Sunday 10 August 2014

GEET: Raat Joh Kaati Mar Mar Ke Kyamat Se Nahi Hai Kam

Raat joh kaati mar mar ke kyamat se nahi hai kam
Din bhi gujra hai darr darr ke, aur ankh bhi huvi hai nam
Phir bhi tere aane ki dil mein aas baaki hai
Ankhen udas hai par dekhne ki pyas baaki hai
Tere vaste seh sakta hoon main saare jahan ke gam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
------------------------------------------------------

Mahobat sachi hai apni phir bhi zamana na milne de
Jawaani ki bahaaren hain par dil ke goonche na khilne de
Rah kantun bhari toh kya huva muje nange pavun chalne de
Dard ki parva nahi mujko muje dard mein hi jalne de
Bata de kab khatam hoga, judai ka yeh mausam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
------------------------------------------------------

Tu mere pass aa jaye main har keemat chuka doonga
Tuje apna banane ko main khud ko bhi mita doonga
Tumare vaste toofan se bhi lad ke dikhana hai
Aaye chahe aandhi ya toofan aage badh ke dikhana hai
Rokh saake mujhe milne se, kis mein hai itna dam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
-----------------------------------------------------------

Teri yaadun ke sahare ab aur jiya na jaye ga
Jeewan zehar sa ho gaya hai mujh se piya na jaye ga
Ab thaan lee hai maine tere saath hi rehna hai sada
Ab koi yeh keh na paye ga tujko bewafa
Ab mil ke aage baden ge tere kadmu se mere kadam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............

Saturday 9 August 2014

GEET: Kuch Accha Nahi Lagta Teri Yaad Ke Bina

Mujhe neend nahi aati hai jaghti hoon raat bar
Bechaini rehti hai dil mein charun hi pehar
Kuch accha nahi lagta teri yaad ke bina
Kya karun tu aata nahi faryaad ke bina

Tera saath tha kaantu pe bhi neend aati thi
Gam ki har ek baat mujh ko bhool jaati thi
Tere bahun mein aa ke dard bhi chain pata tha
Jeene lagti thi jab tu muskarata tha
Amrit see jindagi bhi lagti hai ab zehar
Kuch iss tarah daha rahi hai judai teri kehar
Kuch accha nahi lagta teri,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Ab aankun ke aansun ko rokhun main kaise
Raatein nagin see dasti hai main rovun na kaise
Tere bina ek ek pal kaleje ko kaat ta hai
Har aane wala lamha mujhe muskil mein dalta hai
Bebassi mayusi ka ho raha hai kuch aisa asar
Raat ko hi nahi din mein bhi lagta hai mujhe dar
Kuch accha nahi lagta teri,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tu saat toh raat din mere suhane they
Chup chup ke sahi par milne ke kitne bahane they
Mere har raste pe tune kaliyaan bechai thi
Nachalti mehakti tune dil bhi arzoo jagai thi
Kabhi asmaan pe urthi thee lage ke umeedun ke par
Ab anjaan rastun pe phirti hoon dar badar
Kuch accha nahi lagta teri,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Pehle hawa bhi mujhe tere pegaam deti thi
Subha ki pehli kiran tera salaam deti thi
Har rasta mera tere ghar tak hi jaata tha
Maire na bhulane pe bhi tu dhaura aata tha,
Ab udas rehta hai chera mera mayoos hai nazar
Sab ko mera pata hai kab hogi tujhe khabar
Kuch accha nahi lagta teri,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Friday 8 August 2014

Jindagi Ko Kadwa Kar Liya Hai Maine

Kisi ki jindagi mein mithash bharte bharte 
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine
Dusarun ki ladai ko khatam karaate karaate 
Khud se hi jagda kar liya hai maine

Paida chahe gareeb ke ghar huva 
Par kismat meri aameer nikli
Satta lagaya matchun pe itna 
Ke har match se nayi jageer nikli
Kon kehta hai ab main hoon pichda
Koi nahi kehta ke main hoon bigra
Sarre dostun ko kar ke peeche peeche
Khud ko agda kar liya hai maine 
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

Dekh liya hai maine duniya ka chalan 
Sach ab sirf kitaabun mein rehta hai
Mujhe haar mile gi sachha ho ke bhi 
Mera rakeeb mujse yeh kehta hai
Adalatein jhoot pe hi chalti hain aajkal
Behimaan khoob ho rahe hai safal
Behimaanu se gawai dila dila kar 
Mukadma apna tagda kar liya hai maine
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

Sunna tha jindagi ik tamasha hai
Aur hum sab khelne waale khiladi hain
Umar jab kat gayi tab yeh jaana
Kuch nahi hum toh bas anadi hain
Na khel paye khel saleeke se
Na jee hi paye acche tareeke se
Logon ke saamne janne se dar lagta hai
Muh pe ab parda kar liya hai maine
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

Thursday 7 August 2014

GAZAL: Tuje Yaad Karna Ab Toh Ibadat See Ho Gayi Hai

Mujhe dard sehne ki aadat see ho gayi hai
Tuje yaad karna ab toh ibadat see ho gayi hai
---------------------------------------------------------
Pehle milti nahi mile toh deti hai dard kitna
Meri kismat lagta hai jaise mahobat see ho gayi hai
-----------------------------------------------------------
Ab tujse mil ke bhi nahi aata sakoon dil ko
Mere dost apni mulakaat bas seekayat see ho gayi hai
-------------------------------------------------------------
Waqt ne iss tarah badle hain ristun ke beech riste
Ma Baap ki dant bhi ab gujarish see ho gayi hai
---------------------------------------------------------------
Faasle dilun ke darmiyaan dost ab itne ho gaye hain
Tuje ik nazar dekhna darga ki zayarat see ho gayi hai
-----------------------------------------------------------------
Iss daur mein badal gaya hain rasm-o-reewaz saare
Bekaar see bhuri see yeh sharafat see ho gayi hai
----------------------------------------------------------------
Woh aadmi joh mujhe ab tak kehta raha bhura hi
Maine sunna hai usse mujh se chahat see ho gayi
-----------------------------------------------------------
Dilun ke feshlun pe lag gaye hain sawaali-e- nishan
Dil ke khilaaf demaag ki bagawat see ho gayi hai
------------------------------------------------------------
Dil bhi ajeeb sa hai hamesha tadpata raha jis ki khatir
Usse mil gaya koi yeh sunn ke isse rahat see ho gayi hai
---------------------------------------------------------------
Mahobat mein dil khilte hain par kyon meri mahobat mein
Bebas see barbaad see dil ki halaat see ho gayi hai
-------------------------------------------------------------
Paida hone pe jashan theek par marne pe bhi ab hain jalse
Ab aam maut bhi "Chahat" sahadat see ho gayi hai.
-------------------------------------------------------------

Wednesday 6 August 2014

Bhajan: Sharan Teri Main Aaya Ma

Main paapi hoon agyani hoon, sharan teri main aaya Ma
Bhav-sagar se tar javunga, ghar tune apnaya Ma
Tuje chod ke maine dusare ki taraf dekha
Mere pass joh kuch tha, woh sabkuch gavaya Ma

Kisi ko apne barabaar nahi samja jab tak jawaani thi
Badi bhuri badi badnaam meri har ik kahaani thi
Budape mein beh gaya sabkuch waqt ke darya mein
Bhure kaam bina darre kiye, acchun se sharmaya Ma
Mere pass joh kuch tha, woh sabkuch gavaya Ma

Jab tak khushhaali rahi waqt bahut barbaad kiya maine
Magar jab khast mila mujko tuje phir yaad kiya maine
Sharan teri ab aaya hoon jab sabkuch luta mera
Aacche wqat mein meri mahiya pass tere na aaaya Ma.
Mere pass joh kuch tha, woh sabkuch gavaya Ma

Sada apni kari kisi ki kabhi maani nahi koi baat
Ab main badalna chahata hoon tu dena mera saat
Teri pooja karun ga main apna janam savarun ga
Ma tu meri viniti maan le main tujko pukarun ga
Mujhe jeena ka sabak diya tune maine yeh jaana
Ke kuch apna nahi yahan hai sabkuch paraya Ma
Mere pass joh kuch tha,woh sabkuch gavaya Ma

Sunday 3 August 2014

Tu Muhje Pyar Kare Dost Yeh Teri Mazboori Nahi

Dosti pyar mein badle yeh zaroori nahi
Apne dilun mein magar hai koi doori nahi
Waqt le ke sooch samaz ke tu kar fesala
Tu muhje pyar kare dost yeh teri mazboori nahi

Bachpane se tere saath khela hoon main
Iss liye kabhi na akela hoon main
Tere saat har sukh dukh baanta maine
Teri khatti meethi yaadun ka raila hoon main
Hum ne hakeekat mein acchi jee hai jindagi
Kya huve agar sapna sindoori nahi
Tu muhje pyar kare dost yeh..............

Saath tera mujhe umar bhar chahiye
Dost ban ke mile ya mile pyar se
Halaat acche rahe ya ho jaye bhure
Riste toote na mere kabhi yaar se
Tere har feshla hai sar ankhun pe
Har ek ki har khwaish hoti poori nahi
Tu muhje pyar kare dost yeh................

Dosti pyar banne nahi yeh badi baat hai
Par har sapne ke naseeb mein kahan rangeen raat hai
Jindagi ke mausam bhi kitne ajeeb hai
Kabhi khusiyun ki dhoop kabhi gam ki barsaat hai
Jaise bhi katte jindagi kat jaati hai "Chahat"
Poori na ho ke bhi kabhi yeh aadhuri nahi
Tu muhje pyar kare dost yeh......................