Friday 22 August 2014

GHAZAL: Tume Chahana Aur Tadapna, Ab Hai Kaam Mere Dil Ka

Tume chahana aur tadapna, ab hai kaam mere dil ka
Tum cheen ke le gayi ho, har araam mere dil ka

Jab se huva hoon tera, meri maang gat gayi hai
Ab koi nahi lagata, yahan daam mere dil ka

Ristun ki aemeeyat ko, jaana toh, tab yeh jaana
Kisi radha ko doondata hai, kab se sham mere dil ka

Waqt ke saat hote gaye hain, zakhm mere aur bhi gehre
Bhura haal ho raha hai, subha sham mere dil ka

Mujh se bethar kehnewale, lakun hain is jahan mein
Phir koi kyon sunne ga, gam ka kalaam mere dil

Apne saat saat ab dil ko, rakhna padta hai khayal tera
Pyar kar ke badh gaya hai, bahut kaam mere dil ka

Kya baat hai kyon mujko, dar lagta nahi kisi se
Jab ke naam ho raha hai, bahut badnaam mere dil ka

Yugun ki parampara yeh, kyon ho payi na khatam ab tak
Kisi Sita ko ajma raha hai, ab bhi Raam mere dil ka

Pyar kar ke kar gaye hain, na jaane hum kaam kaisa
Har jubaan pe ho raha hai, charcha aam mere dil ka

Jeena bhi isse na aaye, aur marna bhi yeh na chahe
Aey Khudaye tum hi karo kuch intazaam mere dil ka

Paana khona toh hai muqadar, pyar iss se bahut bada hai
Ab sab ko suna do yaaro,  tum yeh pegaam mere dil ka

Maut mulakaat ka kya hai, kab ho jaye khabar kis ko
Tum aaj hi le ke javvo, aakhari salaam mere dil ka

Mujhe fakar hai ke maine, dil ki sunni maani aur kari bhi
"Chahat" koi toh karega, kabhi aitraam mere dil ka

No comments:

Post a Comment