Wednesday 13 August 2014

Din-ba-Din Woh Mere Aur Kareeb Aa Rahe Hain

Din-ba-din woh mere aur kareeb aa rahe hain
Seene se phir bhi lagne na de, kyon tarsa rahe hain
Dheere dheere hole hole, woh aaye hian jindagi mein
Ab aisa ho gaya hai, dil-o-demaag pe chha rahe hain

Kal tak woh ajnabi they duniya purani thi
Bewaza betarteeb meri jindagani thi
Nayi arzoo nayi khawaish ab naye sapne hain
Begaane log bhi ab lagte apne hain

Unn k aane se meri duniya hi badal gayi
Dil ki har ek tamana oonchi ucchal gayi
Woh kuch is tarah se mere sanche mein dal gaye hain
Apne pyar ka kaajal mere ankhun mein mal gaye hain
Apne peeche peeche woh ab mujko chala rahe hain
Din-ba-din woh mere aur kareeb.....................

Jawaani ki galiyun mein kuch aisa fisla mann
Pyar se latpath ho gaya mera saara badan
Hawa mein ghuli mujko lage khusboo pyar ki
Aur har mausam lage aisa jaise ho saawan

Mere rom rom mein jab woh hi samai hai
Phir uss ne meri mahobat kyon aajmai hai
Dil mujh se kehta hai who janmu se hai meri
Halaat mujh ko batate hain ke woh parai hai
Dil ke armaan mujhe suhane sapne dikha rahe hain
Din-ba-din woh mere aur kareeb..................

Unn ki ek jalak se hi subha hoti hai suru
Unn ko yaad kar kar ke meri raat sooti hai,
Kuch is tarah ka pyar huva hai sunn lo,
Khul ke na mulakaat aur na baat hooti hai

Phir bhi woh mere hain muje dil yeh kehta hai
Isliye unn ke diye saare dard sehta hai
Unn ki ik awaz pe main daura aata hoon
Lo ki tarah felta hoon paani sa behta hoon
Muje lagta hai woh muje abhi bhi aajma rahe hain
Phir bhi din-ba-din woh mere aur kareeb......................

No comments:

Post a Comment