Friday 8 August 2014

Jindagi Ko Kadwa Kar Liya Hai Maine

Kisi ki jindagi mein mithash bharte bharte 
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine
Dusarun ki ladai ko khatam karaate karaate 
Khud se hi jagda kar liya hai maine

Paida chahe gareeb ke ghar huva 
Par kismat meri aameer nikli
Satta lagaya matchun pe itna 
Ke har match se nayi jageer nikli
Kon kehta hai ab main hoon pichda
Koi nahi kehta ke main hoon bigra
Sarre dostun ko kar ke peeche peeche
Khud ko agda kar liya hai maine 
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

Dekh liya hai maine duniya ka chalan 
Sach ab sirf kitaabun mein rehta hai
Mujhe haar mile gi sachha ho ke bhi 
Mera rakeeb mujse yeh kehta hai
Adalatein jhoot pe hi chalti hain aajkal
Behimaan khoob ho rahe hai safal
Behimaanu se gawai dila dila kar 
Mukadma apna tagda kar liya hai maine
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

Sunna tha jindagi ik tamasha hai
Aur hum sab khelne waale khiladi hain
Umar jab kat gayi tab yeh jaana
Kuch nahi hum toh bas anadi hain
Na khel paye khel saleeke se
Na jee hi paye acche tareeke se
Logon ke saamne janne se dar lagta hai
Muh pe ab parda kar liya hai maine
Apni jindagi ko kadwa kar liya hai maine

No comments:

Post a Comment