Sunday 10 August 2014

GEET: Raat Joh Kaati Mar Mar Ke Kyamat Se Nahi Hai Kam

Raat joh kaati mar mar ke kyamat se nahi hai kam
Din bhi gujra hai darr darr ke, aur ankh bhi huvi hai nam
Phir bhi tere aane ki dil mein aas baaki hai
Ankhen udas hai par dekhne ki pyas baaki hai
Tere vaste seh sakta hoon main saare jahan ke gam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
------------------------------------------------------

Mahobat sachi hai apni phir bhi zamana na milne de
Jawaani ki bahaaren hain par dil ke goonche na khilne de
Rah kantun bhari toh kya huva muje nange pavun chalne de
Dard ki parva nahi mujko muje dard mein hi jalne de
Bata de kab khatam hoga, judai ka yeh mausam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
------------------------------------------------------

Tu mere pass aa jaye main har keemat chuka doonga
Tuje apna banane ko main khud ko bhi mita doonga
Tumare vaste toofan se bhi lad ke dikhana hai
Aaye chahe aandhi ya toofan aage badh ke dikhana hai
Rokh saake mujhe milne se, kis mein hai itna dam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............
-----------------------------------------------------------

Teri yaadun ke sahare ab aur jiya na jaye ga
Jeewan zehar sa ho gaya hai mujh se piya na jaye ga
Ab thaan lee hai maine tere saath hi rehna hai sada
Ab koi yeh keh na paye ga tujko bewafa
Ab mil ke aage baden ge tere kadmu se mere kadam
Raat joh kaati mar mar ke kyamat se..............

No comments:

Post a Comment