Thursday 7 August 2014

GAZAL: Tuje Yaad Karna Ab Toh Ibadat See Ho Gayi Hai

Mujhe dard sehne ki aadat see ho gayi hai
Tuje yaad karna ab toh ibadat see ho gayi hai
---------------------------------------------------------
Pehle milti nahi mile toh deti hai dard kitna
Meri kismat lagta hai jaise mahobat see ho gayi hai
-----------------------------------------------------------
Ab tujse mil ke bhi nahi aata sakoon dil ko
Mere dost apni mulakaat bas seekayat see ho gayi hai
-------------------------------------------------------------
Waqt ne iss tarah badle hain ristun ke beech riste
Ma Baap ki dant bhi ab gujarish see ho gayi hai
---------------------------------------------------------------
Faasle dilun ke darmiyaan dost ab itne ho gaye hain
Tuje ik nazar dekhna darga ki zayarat see ho gayi hai
-----------------------------------------------------------------
Iss daur mein badal gaya hain rasm-o-reewaz saare
Bekaar see bhuri see yeh sharafat see ho gayi hai
----------------------------------------------------------------
Woh aadmi joh mujhe ab tak kehta raha bhura hi
Maine sunna hai usse mujh se chahat see ho gayi
-----------------------------------------------------------
Dilun ke feshlun pe lag gaye hain sawaali-e- nishan
Dil ke khilaaf demaag ki bagawat see ho gayi hai
------------------------------------------------------------
Dil bhi ajeeb sa hai hamesha tadpata raha jis ki khatir
Usse mil gaya koi yeh sunn ke isse rahat see ho gayi hai
---------------------------------------------------------------
Mahobat mein dil khilte hain par kyon meri mahobat mein
Bebas see barbaad see dil ki halaat see ho gayi hai
-------------------------------------------------------------
Paida hone pe jashan theek par marne pe bhi ab hain jalse
Ab aam maut bhi "Chahat" sahadat see ho gayi hai.
-------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment