Wednesday 31 July 2013

Chal Raha Hai Mera Bhi Mazbooriyun Ka Silsilla

Pyar toot k maine kiya phir bhi mujko kya mila
Joh mila manzoor hai muje tumse nahi koi gila
Yeh jahan ka dastoor hai sacha hi mazboor hai
Chal raha hai mera bhi mazbooriyun ka silsilla

Tuj ko dene k liye pass mere joh bhi tha sanam
Tujko sab hi de diya, aur kuch bhi ab raha nahi.
Tune dukh pe dukh diya zakhm seene pe kiye
Phir bhi main chup raha tumse kuch kaha nahi
Dard seh raha hoon aur sakoon mujse door hai
Tere bhi bas mein kuch nahi, tu bhi toh mazboor hai
Saalun k intazar ka bhi mujko phal nahi mila
Chal raha hai mera bhi mazbooriyun.............

Muje aas hai viswas hai mera saat tu dega sada
Tera pyar kabi hoga na kam chahe saara jahan ho bewafa
Ek din aisa aayega mere naam se jude ga tu
Tujko bhi yakin ho jayega mere jeene ki tum ho waza
Maana k ab ki bahaar mein khil na sakke ga dil mera
Phir bhi yakin hai nikle ga koi hal koi rasta
Dil aaj joh bemmar hai isse hona hai accha bhala
Chal raha hai mera bhi mazbooriyun.............

Tuesday 30 July 2013

Main Teri Hoon

Teri yaadun k rang mein rang javungi
Khayalun ki duniya mein basa le muje
Eradun ki himmat ka bhi le le imtihaan
Main hoon khawabun mein aa k jaga le muje

Main teri hi hoon bas teri rahun gi
Baat yeh saare jahan se kahun gi
Tum ko hi na khabar jahan ko hai pata
Tera pyar hai meri hi kismat mein likha
Kisi aur ka tuje kabhi bhi na hona hai
Tere liya tadapata dil ka kona kona hai
Tere vaste kahien mar na javun mein
Tarasti umeeden hain aa k bacha le muje 

Mere pyar ki sachai jab samaj javo ge
Tab har ek baat tum samaj pavo ge
Pyar mein kuch kisi ko seekhaya na jaye
Tum khud ba khud dil mein utar javo ge
Dil mein tumko dikhe gi chahat meri
Phir na aajmavo ge tum mahobat meri
Tere liye hi main asmaan se aayi hoon
Apni jubaan se geet yeh sunna de muje

Mere baare mein teri jab raaye badle gi
Yeh ladki bhi jaisa tu chahe badle gi
Teri khatir kuch bhi kar jaye gi
Tu bhole agar toh yeh mar jaye gi
Par bas itni see hai khawaish meri
Pyar kar le sunn le gujarish meri
Ek baar teri ho javun yehi khawab tha
Kab marna hai ab tu bata de muje



Tu Mera Kon Hai

Kaise batavun kisi ko, tu mera kon hain
Main bhol sakti nahi, tu bhi toh maun hai
Rasmu riwaz zamane k, thode na jayen ge
Sachhe hai riste lakin, naye jhode na jayen ge
Jaisee hai vaisee hi jindagi, hum ko betaani hogi
Mahobat apni hum donu ko, sab se chupani hogi

Benaam agar rahi bhi, phir bhi mahobat hai mahobat
Tune vaada kiya tujko karni hai meri hifazat
Har raste mein tujko mere saat hi hai chalna
Safar kaisa bhi ho tuje mera humsafar hai banna
Tera saat jitna milta hai uss mein hi muje hai jeena
Tere saat gujare lamhun se, mujko jindagi churani hogi
Mahobat apni hum donu ko......................

Main jaanti hoon waqt bhar dega apne saare gaav
Aaj mazdaar mein fassi hai, kal niklegi iss se meri naav
Main sagar ki lehrun pe chad k, aavungi pass tere
Agni ki kya hai zarrorat, main lagavun ki phere tere
Duniya apna milan na dekhe, khuda sab kuch dekta hai
Hum mil chuke hai khuda ne hi, likhi apni kahani hogi
Mahobat apni hum donu ko ...........................

Hum jis tarah jiye hain, vaise koi na jee sakke ga
Zehar hass k piya jindagi ka, koi yeh na pee sakke ga
Kabhi kabhi toh himne bhi kiya sikwey gille hain
Todhi judai bhi seh kar akhir mein toh mille hai
Pyar apna itna hai gehra k milan judai se parre hai
Mahobat apni nayi hai yeh kabhi na purani hogi
Mahobat apni hum donu ko.............................

Monday 29 July 2013

Tera Mera Rista

Jeene nahi deti muje meri jindagi
Aur maarne ko maut bhi aati nahi
Dard-o-gam se bhi rista na gehra huva
Aur khusi bhi mere pass aati nahi
 
Aisay haalaat mere hain issliye
Kyon ki tujse rista anokha hai mera
Kabhi lagta hai tu janmu se hai meri
Kabhi lagta hai koi dokha hai mera
 
Tu bhi door hai  pass mere nahi
Meri yaaden  ko lage pankh tere nahi
Chupa chupi ka khel hai chal raha
Poore huvi abhi duniya k pehre nahi
 
Abhi mahobat ka saare imtihaan baaki hai
Abhi pavun k challe phoote nahi
Abhi apna rista hai khokla
Abhi dusarun se naate toote nahi
 
Pyar aise hi na mujko mil jaye ga
Pyar mila toh zamana hil jaye ga
Pyar mein ik anokhi taqat hai
Jis se dil ka gulistaan khil jaye ga
 
Par pyar milta nahi tapasya k bina
Aur meri tapasya abhi poori nahi
Ankhun ki ho ya ho dilun ki
Abhi mita main saka koi doori nahi
 
Abhi apne darmiyaan fasle hai bahut
Abhi rahun pe hone hadse hai bahut
Mere liye bas tera hai ik rasta
Raste toh tere vaste hai bahut
 
Tu kisi ki bhi ban kisi ko apna bana
Tu badal sakti hai kuch bhi likha
Tu khuda jaise hai main aam aadami
Tere bin ban jaye gi jindagani saza
 
Abhi aag se darya se gujarna bhi hai
Zazbatun k samundarun mein utarna bhi hai
Abhi duniya le rahi hai mera imtihaan
Meri acchaiyuun ko tuje parakhna bhi hai
 
Tere fehsale pe tikhi hai meri jindagi
Isse andhera de ya dikha de roshni
Isse batkne se tu hi rokh sakti hai
Bhaqsk de isse ko khuda ki bandagi
 
Khuda ki bandagi se tu bane gi meri
Iltaza sachhe dil ki sunta hai wohi
Tujko muje Khuda hi mila sakta hai
Yeh kayanaat saari bunta hai wohi

Yeh Bhi Mere Dil Ka Bayaan Hai

Woh bewafa thee jaante huve bhi pyar kar liya
Joh gunha tha woh gunha bhi baar baar kar liya
Ab tak rotey hai "Chahat" yeh sooch sooch k
yon dil ki na sunni aur ankhun pe aitbaar kar liya                        
                     ---------------------------------
Khwaab jisne dikhaye they mujko, uss ne hi ankhun ko kar giya andha
Pheet mujko dikha k woh chod gaya, mujko chahiye tha jis ka kanda
Sabkuch bikta hai zamane mein, yeh pata chal gaya hai humko
Pyar ab pyar kahan raha "Chahat", yeh toh ban gaya hai dhanda.
                           ---------------------
Kisi chand se maine chandani maangi
Kisi phool ki maine khusbu churai
Yaad teri jab sataane lagi
Toh hawavun pe teri tasveer banai
                                     ---------------------
Teri ankhun mein doobne k liye, yatan kitne kiye hain abtak
Ek din aisa ho hi jayega, iss aas mein jiye hain abtak
Doobna door inn mein, jhank bhi na paye hain
ab k judai ka dard seh k, ansu bhi piye hain abtak
                           -----------------------
Jis pe fakar tha humko, uss ne hi jukaya
Sunna tha apna phal hi, phed ko jukaye
Saat chod dete hain apne, yeh bhi sunna hai humne
Jab bhi kabhi kisi pe, bhura wqat hai aaye.
                      -----------------
Haatun ka hunar bhi mere kaam na aaya
Heera tarasha maine par sahukaar le gaya
Pathar ka tudka tha dil nahi tha kisi ka
Phir bhi lage k koi mera pyar le gaya.
                          ----------------------
Hamari takdeer hai aisee, wafa kabhi raas na aayi
Kabhi khuda bigra humse, kabhi bigri uss ki khudai
Pyar karne se magar baaz hum aaye na "Chahat"
Naap phir bhi na sakke hum apne dil ki gehrai.
                              -----------------
Tu na muje mila agar, par tera naam hi mille
Main baaki ki jindagi, kaat loongi aaram se
Kisi ko khuda ki talab, muje hai teri talash
Main kaam apna chala loongi tere hi naam se.

                    ---------------------------
Har subha meri, tere pegaam le k aati hai
Nastey ki chai mein tu, cheene see gul jaati hai
Dopehar mein tu meri, rooti mein nazar aaye muje
Sham dalte huve, teri tarah muskarati hai
Raat aate aate tere sapnu mein khone lagta hoon
Par yaad aa k sataati hai jab soney lagta hoon
Ab bata tu hi k, jindagi basar karun kaisey
Tere bina main akela, safar karun kaisey

                          --------------------
Saza jitni sachai ki mili mujko woh kaffi thee,
Teri mahobat ne loot lee kyon, jindagi muj mein joh baaki thee
                  -------------------------------
Dil mein basa k teri tasveer, subha sham dekhti hoon
Na dil ko chain milta hai iss se, na aaraam dekti hoon
Jab mulakaat nahi hoti, badi koshish karne k baad bhi
Toh kagaz pe likh k tere naam k saat, apna naam dekti hoon.

                                --------------------------
Tadap tadap k tuje yaad karta hoon raat din
Tu bhi bata tu kya karti hai mere bin
Tu saat thee toh har kaam mera hota tha aasaan
Tera bina toh sans lena bhi muje lagta hai khatin.
                       ---------------------------
Aey dost mere tu kisi aur se kar le dosti
Meri takdeer ko savarne mein abhi wqat baaki hai
Jab takdeer savar jaaye gi aa jaana laut k
Main jinda hoon mere marne mein abhi wqat baaki hai.
                          ---------------------
Mere mehboob k pass wqat hi kam hai sakhiyo
Choti mulakatun mein hi de jata hai badhi badhi khusiyaan
Khusiyaan jab hadd se badh jaati hai toh aisa hota hai
Roney lagti hain phir meri ankhein.
                       -----------------------------
Duvayen Ma Baap ki agar ho jaati saari poori
Kisi bete ko kabhi bhi nakaami nahi milti
Badhduvayen agar dusmanu ki lagti dostun ko
Na koi ghar basta na koi kali khilti
Sab ko apne apne naseeb se hi milta hai
Kabhi bahaarun mein bhi dil ka phool nahi khilta hai.
                          ----------------

Sunday 28 July 2013

Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai,

Ye uss waqt ki baat hai, Jab huvi pehli mulakaat thee
Khawasun bhara din tha, khwabun bhari raat thee
Ronkey bahaar wali thee, Ankhe khumar wali thee
Main aklea na tha us waqt, tu hi toh mere saat thee

Main jindagi ki bahun mein, teri zulfun ki chavun mein
Kuch dher aa k rukh gaya, mahobat say bhari rahaun mein
Muje pyar ho gaya tha tab, raste khul gaye they sab
Apne sanam ki ankhun mein, dikne laga tha mujko rab

Main chain se aaram se, uss ki godhi mein so gaya
Mujko tha aisa laga yeh jahan mera ho gaya
Phir need achanak khul gayi, kaali raat mujko mil gayi
Maine khawabun ka pata poocha, kayanaat jaise hil gayi

Maine ankhen kholne mein dher ki, mera dil muje kehta raha
Jaise kaise main utha par, dard anjana sa sehta raha
Ik tees dil mein tab uthi, sanse jaise ho gutti
Chere pe malaal tha aisa,jaise duniya meri ho luti

Khabun ka kuch pata nahi, rasta bhi chala rukha nahi
Main chalta gaya dharta gaya, apne aap se ladta gaya
Phir bhi na maani haar hai, peeche kisi ka pyar hai
Joh mujko jinda rakta hai, joh deta muje karaar hai

Jindagi aaj bhi mere pass hai, phir bhi muje talash hai
Uss lamhe ki uss gante ki uss din ki ab bhi aas hai
Jab huvi pehli mulakaat thee, yeh kal parsun ki baat thee
Jab hum mile they aur apne saat, duvavun ki baarat thee

Ab hum hain yaaden hai apni or gham apne saat hai
Na pehle jaisay din hai, na pehli jaisee raat hai
Ye waqt waqt ki baat hai, yeh waqt wqat ki baat hai

Friday 26 July 2013

Pyar Mein Dard Seh K Bhi Khus Rehta Hoon

Pyar mein dard seh k bhi, khus rehta hoon
Tu galat kare ya sahi, kuch nahi kehta hoon
Tujko muskilun se paya hai jaan pe khel k
Darr hai khone ka tuje. isliye chup rehta hoon

Tu meri sansun mein basi hai
Kab rooh mein samaye gi
Meri parchai mein logon ko
Ik din tu nazar aaye gi

Tujko toot k chahana pyar karna
Ab meri aadat ho gayi hai
Tuj mein kuch khojta hoon main
Jaise meri koi cheez kho gayi hai

Teri har adda mein har baat mein
Muje jadu sa lage hai
Mere pass jahan tu rehti hai
Dil ki woh khas jagha hai
Khusi ban k tere hotun pe sazta hoon main raat din
Dard utha hai toh ansu ban k ankhun se behta hoon
Tu galat kare ya sahi, kuch nahi........................

Tuj ko saari umar ka saathi bana liya
Apni jingadi ko tere naam likh diya
Dil k kagaj pe khoon ki kalam se
Apne pyar ka maine anjaam likh diya

Apne nasseb mein aaj teri mahobat hai
Jab tak muje mille gi rahe gi jindagi
Tu saat mera degi ya saat choda degi
Phir bhi tuje bewafa na kahe gi jindagi

Kyon ki jindagi meri tere hone se hai
Pyar ka maza dil k khilone se hai
Phed ki chavun mein maza woh nahi aata
Maza joh yaar ki bahun mein sone se hai
Yehi waza hai k tera saat har haal mein deta hoon
Aur zakhm joh milte hain woh hass hass k sehta hoon
Tu galat kare ya sahi, kuch nahi........................

Thursday 25 July 2013

Sab Jaante Hain Mahobat Kitni Badnaam Hai

Uss ladki ko kya naam doon heraan paresaan hoon
Meri khatir jis ne saare zamane se kee ladai
Kabhi chalawa kabhi sapna phir bhi lage koi apna
Ik pal lage woh hakeekat tuje pal lage parchai

Kabhi ban k dard aaye aur mujko bhi rulaye
Kabhi khusiyaan k anchal ko mujpe woh lehraye
Kabhi dard ban k tadpe kabhi low ban k chamke
Woh asal mein cheez kya hai mujko samaz na aaye

Maine sunna hai accha nahi tha uss ka gujra kal
Isliye koi baat uss ki aaj bhi theek hoti nahi hai
Raat din kissi anjaane se darr mein jeeti hai
Koi din aisa nahi jab uss ki ankh rohti nahi hai

Muje uss se ya uss k kal se koi gila nahi
Bas todhi see khalis dil mein udti hai kabhi kabi
Joh kahani apni uss ne sunai hai muje kabhi
Yaad kar k dil ki dharkan rukti hai kabhi kabhi

Mere samjaane mein kammi hai ya uss k samjane mein
Sahid usse dher lag rahi hai hadh se gujarne mein
Muje kuch aur mehnat karni hogi phir woh khus hogi
Wqat lage ga usse jab woh meri jindagi mein kuch hogi

Viswash toh hai usse mujpe magar unta nahi jitna
Bharosa uss pe kiya hai maine dokha khane k baad bhi
Usse yaad hai k maine sabkuch jaan k apnaya hai usse
Aur uss ne pyar kiya hai muje aajmane k baad hi
 
Vaise toh kisi k samne main juka nahi kabhii
Par na jaane kyon jukh jaata hoon pyar mein
Uss ki tasveeren latak rahi hai dil k kone kone mein
Jaise khunde lage huve hai dil ki dewaar mein

Woh kis ki hai, kon hai uss ka, kisi ko pata nahi
Par yakin hai dher se hi akhir woh bane gi meri
Woh ghair ki hai usse koi keh na sake ga
Main maanta hoon aisa hone mein lage gi dheri
 
Uss k dil deemag mein joh chal rahi hai ladai
Ussi se badh rahi hai apne beech ki judai
Iss judai ko kam karna ab mera kaam hai
Sab jaante hain Mahobat kitni badnaam hai

Wednesday 24 July 2013

Main Hawahun Se Poonchun Tera Pata

Main hawahun se poochun tera pata
Tera anchal magar doonde mere hatun ko
Main akele jab bhi pad jata hoon
Dil yaad karta hai teri baatun ko

Tu sansu mein bas k bhi mera nahi
Phir main kya karun aisee sansun ko
Joh tumko chod ke sab ko dekh leti hai
Dil kare andha kar doon apni aakun ko

Joh na jeene deti hai mujko na mar sakta hoon
Tu mille toh apna daaman katun se bhar sakta hoon 
Tadpate taraste din raat kyon mere armaan hain
Dil humse aur hum dil se paresaan hain

Din toh jaise kaise kat jaate hain
Tu bata kya karun kaali kaali ratun ko
Main akele jab bhi pad jata............

Chup chup mill k aajkal kuch aisa hota hai
Udasi dil ki meri aur badh jaati hai
Na chahate huve bhi meri jaan kyon
Kisi na kisi baat pe mujse lad jaati hai

Bhar bhar main yeh sooch leta hoon k
Aakhri bhar uss ne hai aisa kiya
Bhar bhar jab aisa hota hai, main soochta hoon 
Koi  paap sayid hai maine kiya

Jis ki mujko saza deta hai khuda
Isliye todhta hai mere zazbatun ko
Main akele jab bhi pad jata............

Kaisey Dil Ki Kasti Bachavun Zazbaatun K Toofan Se

Main kaisey kahun kaya kahun dil ki zubaan se
Kaisey dil ki kasti bachavun zazbatun k toofan se
Jhoothe se bhi dil uss ka main dukha nahi sakta
Kaisey main koi gila karun apni hi jaan se 

Jis ki khusi k liye maine apne dil ko todhta raha
Khud apne zazbaatun ko maine dard se jodhta raha
Kisi ki woh bane ya koi uss ka ho jaye
Iss k liye maine apne dil pe zakhm khaye
Ik chor ki tarah muje usse bechana pada
Kyon ki chor ko pyar hota nahi chori k saamaan se
Kaisey dil ki kasti bachavun zazbaatun..........
 
Naadaan thee bholi thee behak gayi bhatak gayi
Kisi k behkave mein aa k woh vaddu se palat gayi
Jab sabkuch kho diya tab usse jaa k huvi khabar
K apne haat se melli kar di uss ne pyar ki chadar
Tab aishash huva usse k kha chuki hai dokha
Naraaz tab woh rehne lagi apne dile naadaan se
Kaisey dil ki kasti bachavun zazbaatun..........
 
Uss ne bhi dil ko choor choor kiya aaraam se
Jab woh assna na thee mahobat k naam se
Jism se usse pyar tha aur jism ki khusi k liye
Uss ne anjaane mein hi meri atma ko dukh diye
Maine phir bhi mauf kar diya usse pyar k liye
Jaise woh aayi ho mere vaste kisi dusare jahan se
Kaisey dil ki kasti bachavun zazbaatun..........
 
Sab kuch kho gayi hai woh par main uss k saat hoon
Joh uss k sar pe rahe ga sada woh duva ka haat hoon
Jab woh ghair ki bhi na huvi thee, tab bhi uss se pyar tha
Jab ghair ki ban gyi thee, tab bhi ussi ka intazar tha
Aaj laut k aayi hai toh savare gi meri jindagi
Apne dil mein basa liya hai usse izzat maan se
Kaisey dil ki kasti bachavun zazbaatun..........
 

Tuesday 23 July 2013

Bajan: Aey Prabhu Teri Kripa Se

Aey Prabhu teri kripa se mera ghar bhaar chal raha hai
Tu hai toh tere kaaran saara sansar chal raha hai
Youn toh jahan mein maine dekhi hai kitni nafrat
Phir bhi teri daya se, yahan pyar chal raha hai
Tu hai toh tere kaaran saara sansar...............
 
Hai tujse yehi prathana har insaan ko khusi de de
Tere bacche hum sabhi hai acchi see jindagi de
Jo dukhi hai apne karam se uss ko bhi sukhi kar de
Theek thak usse bhi kar de, joh bemaar chal raha
Tu hai toh tere kaaran saara sansar...................

Zaroorat mand k main kaam aavun muje de de aisee shakti
Teri pooja karun main mann se muje de de aisee bhakti
Khawaish hai mera jeewan kisi prani k kaam aaye
Muje lagta hain mera jeewan, bekaar chal raha hai
Tu hai toh tere kaaran saara sansar...................

Jab tak rahun mein jinda chalun sach ki joh dagar ho
Main daan karun agar toh kisi ko bhi na khabar ho
Gumnaam reh k bhi main tere pass rehna chavun
Jab tak meri sansun ka, ik ik taar chal raha hai
Tu hai toh tere kaaran saara sansar....................

Monday 22 July 2013

Muje Itna Pyar Karna Mere Humsafar

Muje itna pyar karna mere humsafar
K tune jitne bhi zakham diye saare bhar jayen
Duniya apne pyar ki misaal aurun ko deti rahe 
Pyar mein kuch aisa kaam hum kar jayen

Jis jis lamhe tune mere dil ko dard diya hain
Woh saare k saare lamhe bhula chuka hoon main
Teri bewafai ko bhi mauf kiya hai maine
Tumko mann se apna bana chuka hoon main
Duva kar muje kabhi koi purani yaad na aaye
Dubara kisi dokhe mein yeh dil-e-barbaad na aaye
Woh daaman joh kantun se ulaz gaya tha pehle
Uss ko pyar k phoolen se phir se bhar jayen
Pyar mein kuch aisa kaam...................

Jaanta hoon tuje apni galti ka aisash toh hai
Maanta hoon tu abhi bhi dil k pass toh hai
Phir bhi kabhi kabhi darr lagta hai kismat se
Apne milne bicharne mein ussi ka haat toh hai
Mere kismat khein dubara na mujse rhoot jaye 
Rista apna joh bana hai khein na toot jaye
Duva khuda se yehi raat din  main karta hoon
Armaan joh mazdaar mein fasse hain woh tar jayen
Pyar mein kuch aisa kaam...................

What You Are

You are not only the part of my life
You are in fact the heart of my life.
I am alive because of your beats
U also live in my mind's streets.

I cant forget you ever
Will you deceive me ? Never !
Oh my friend be like this always
Strong foundation never caves
Our friendship is strong based on trust
It is love no possession no lust.

I am because you are
Be always with me never go far.
Remember I can die for you
All my words will come true
No one can make us apart
All is your that I have got.

For few this world may not not good
But it has given me all it could
I needed you and it gave me
Come you can slave me
I love you for what u are
I am with u in every war.

I can not sing the song of life
If you have not made its tune
If you are with me I am safe
From disease and death immune
Together we make a great pair
And God is taking our care.

Dil Ki Kuch Baatein Aisee Bhi Hain

Naya ik kadam jindagi mein tune bharaya aaj hai
Apna bhoj apne kande pe khud uthaya aaj hai
Tum kuch kar k dekhavo ge tune kaha nahi kabhi
Par kuch kar k dekho tune sabko dikhaya aaj hai

                    ----------------------
Tujse wafa ki umeed kar k, joh mili naumeedi
Uss ki waza se hi bana joh bana hoon aaj
Todh k mere dil ko accha kiya tha tune
Aaj kar raha hoon main lakhun dilun pe raaj
                   ------------------------

Ek patjhar se na gabra tu, yeh aa k chala jaaye ga
Aane waali kitni bahaaren, tera intazar kar rahi hain.

Raste mujko rokhte hai magar, Main tere pass aa hi jaata hoon
Dhun acchi bhuri jaisee bhi nikli, Geet jeewan ka ga hi jaata hoon.

Kuch iss tarah se mausam ne mizaz apna badla
Meri dilli pe chad gaya hai kashmir ka rang yaaro
Har gabroo jawan ko maine Ranja bante dekha
Har haseena pe chad gaya hai Heer ka rang yaaro
                                 ------------------------------

Itni duva toh de dil-e-bekaraar ko
K isse karaar agar mille toh bekaraar kabhi na ho
Bekaraar agar ho bhi jaye toh koi baat nahi "Chahat"
Duva kar k isse phir se pyar kabhi na ho.

Ik vaade k liye jaan pe khel k yeh jaana
Kasme joh khaate hain woh neebate kam hain

Meri jindagi ka safar raha itna khusgavaar
K rastun se hota gaya mujko sachha pyar
Manjil pe poonchane ki muje jaldi kabhi na thee
Manzil ko bhi karna pada mera intazar.

Tu agar mil jaata muje toh jee leta main gumnaami mein
Tu nahi mera toh main mashoor ho k kya karun
Badnaam ho k tere pyar mein soochata rehta hoon yeh
Tere pass reh k kya karun tuj se door ho k kya karun
                                ----------------------------------

Jindagi se sabkuch mila muje, par meri takdeer mein
Tu meri ho jaye gi, kyon aisa likha na tha.

Main sapnu ki duniya mein raha apnu ko chod k
Gehrun ka main hota gaya naye riste jhod k
Wqat jab haat se nikla toh phir haat na aaya
Main karishme ka intazar karta raha sar pe chadar odh k

Jahan se jeet kar bhi hum khud se haare hai
Kisi k sahare ban k bhi hum besahare hain
Jaise bhi hain hum "Chahat" bas tu itna jaan le
Jiye bhi hai tumare ho k mare bhi toh tumare hain.

Teri talash mein joh gum bhi mille mujko
Teri kasam teri tarah woh bhi pyare hain
Yeh aur baat hai hum mill nahi sakte kabhi
Hum ek hi nadiya k do kinare hain.
                -----------------------------
Jindagi k har ek rang mein rangta gaya tha main
Sabhi rang nahi they mere mujko pata na tha.

Viswash joh toote toh phir kuch bhi na bachhe
Dushman lagne lagte hain sab dost sab shakhe
Aise halaat ho jate hain insaan k "Chahat" 
Na khul k roh sakke na mann se woh hasse

Yeh pyar na hota toh, phir main kahan hota
Main khud se, anjaan mujse, yeh saara jahan hota
Cheen k na le jaati, meri badnaseebe tujko. toh aaj
Tu dil mein hota shamil, aur ragunn mein ravaan hota

Ankhun k ansu humne ussi se chupaye hain
Jis k liye yeh apni ankhun mein aaye hain
Apne dil ka haal unn ko pata na chale
Dekh k unn ko Isliye hum muskaraye hain

Pyar bhi ajeeb hai k kisi ki bewafai ko jaan k
Apne hi sar pe chot lagai dewaar se
Itna andhera ho gaya hai jindagi mein ab
K khud chupai humne apni parchai dewaar se
                             --------------------------
Sitarun ki roshni se bhi roshan joh ghar nahi hote
Dil ki roshni se ho jaate hain woh roshan

Nazrun se talash ki, toh usse dhoond na paya khein
Dil se mehsoos kiya toh, khuda har jagha mila muje

Wqat ne badle hain haalaat kuch is tarah se
K apne ghar mein bhi hum mehmanu ki tarah rehte hain
Yeh wohi ghar hai k jis ghar mein aajkal "Chahat"
Paltu janwar bhi insanu ki tarah rehte hain

Hum apne dil ki baat ko, lafzun mein keh nahi sakte
Koi unn se ja k keh de, meri ankhun ko dekh len

Mere sapne zameen k sapne hain, tera sapna toh asmaani hai
Teri ankhun se ghirte hain moti, meri ankhun se dalta paani hai
Dil ki koi yahan kadar na kare, Acchi soorat pe har koi maare
Sache pyar mein dard hi milta hai, apni bhi aisee hi kahani hai.
                            ----------------------
Jab tak main khada raha, naseebun k sahare
Mazdaar mein phasa raha, mil na sakke kinare
Mehnat aur himmat ko jab se dost maine banaya
Asmaan se le k aaya hoon, tere liye sitare

Jis ko nahi meri zaroorat woh bhi yeh jaan le
Ke phoolun ka intazar baharein nahi karti
Saat rehne se joh bane rista nahi tootta kabhi
Aur kisi k door jaane se yaadein nahi marti


issey tum badal nahi sakte, usse pyar karna hi pyar hai
Kissi ko badalne k liye pyar karna, aisa soochna hi bekaar hai
Pyar agar hai sacha toh tume khud hi badal daale ga
Pyar tootne na dega tujko pyar tujko sambhale ga


Na tere dil mein reh paya na teri duvavun mein
Ab akela hi chal raha hoon akeli rahvun mein
Door reh k tujse jeena seekh liya hai maine
Bas yehi muskil hai tuje kaise bhool javun mein
            -----------------------
Badi badi baatein kar k koi bada nahi hota
Joh darpook ho woh kabhi khada nahi hota
Heere ko doondana hai toh paharun se ladna hoga
Kisi haseena ki ungli mein yeh jhada nahi hota
                 
Chooti chooti baatun mein chuppi hoti hai jindagi
Jeet yaar woh kya jaane joh lada nahi hota
Sukh chain ki talash apne hi dil mein kar
Kisi bhi raste mein yeh kabhi pada nahi hota

                            ----------------------