Monday 8 July 2013

Gazal :Kahan Se Kahan Le Jaata Hai, Tera Ik Khayal Muje

Kahan se kahan le jaata hai, tera ik khayal muje
Maar na daale teri judai mein, dil ka bhunchaal muje

Kitni aage tu badh gayi muje rahun mein chod k
Kyon acchi nahi lagti teri tarakee tera uchhaal muje

Agar tuje nahi pata toh, zamaane ko kya khabar hogi
Kitna chahata hoon tuje, na poochna yeh sawaal muje

Tu jaisee bhi muje jaan se pyari hai rahe gi sada
Deewana kar nahi sakti kisi mast hirni ki chaal muje

Main jaanta hoon tu kuch bhi bholne se sharmaye gi
Ankhun ankhun mein hi keh dena dil ka haal muje

Tu mere dilo-rago-jaan mein bas ke rehna sada
Muje kabhi na kehna k apne dil se tu nikaal muje

Aam aadmi pyar kar sakta hai par pyar paane k liye
Aisa lagta hai karna pade ga koi toh kamaal muje
 
Yeh sab k saat hota hai ya huva hai mere hi saat
Pyar lagne laga hai "Chahat" kyon ab janjaal muje

No comments:

Post a Comment