Main cha k bhi tere sehar ko, alvida na kar sakka (kar na paya)
Koshis ki bahut par tuje, dil se juda na kar sakka
Yaad hai muje tune sab kuch, dena chaha tha muje
Tera sab kuch le sakta tha, par gunah na kar sakka
Tune kaha muje chod do meri khatir yeh sehar
Mana kar sakta tha lakin, tujko mana na kar sakka
Suna tha mahobaat insaan ko, bana sakti hai khuda
Tuja pooja bahut phir bhi main, khuda na kar sakka
Tuja pooja bahut phir bhi main, khuda na kar sakka
Dekh liye kar k maine, apne dil ke lakhon tukhre
Par tere pyar ko dil se main fanha na kar sakka
Chalti rahi garam hawaien aur julasta raha badan
Kyon khud pe main tere anchal ki hawa na kar sakka
Gujari hain maine khein rangeen raatein jis k saat
Kyon ussi k ghar mein aa k main subha na kar sakka
Muje pata bhi chala k kis ne loota hai mera jahan
Kya baat hai kyon uss k bhi, main bhura na kar sakka
Karta raha teri salaamati ki duva khuda se main
Magar "Chahat" apne zakhmu ki main dava na kar sakka
No comments:
Post a Comment