Wednesday 17 July 2013

Aajkal Ka Pyar Phi Toh Matlab Ka Pyar Hai

Aajkal ki dosti hai matlab ki dosti
Aajkal ka pyar bhi toh matlab ka pyar hai
Dil ki gehrai mein jaana nahi kisi k bas mein
Yeh pyar hai sirf gaalun ka aur lab ka pyar hai
 
Zismun ki talash mein har ik insaan hai
Kahan hai izzat abroo kahan sammaan hai
Bikta hai cheezu ki tarah pyar bhi bazar mein
Khanak koi hoti nahi ab dilun k taar mein
Rooh k pujari pyar ko taraste hai raat din
Zismun k sholey galiyun mein baraste hain raat din
Tera bhi pyar hai yeh mera bhi pyar hai
Zismun ka pyar hai yeh sab ka pyar hai
Koi yeh bhi na pooche k tuje kab ka pyar hai
Aajkal ka pyar bhi toh matlab ka pyar hai
 
Ek raat k saat mein joh ho, usse bhi pyar kaha jaye
Do kadam joh saat chal le, usse hi yaar kaha jaye
Aajkal k maapdhand kuch aise badal gaye hain
Janmu ki baat karnewale ab kidar gaye hain
Tej taraar hai yeh duniya isliye pyar bhi tej hai
Mera har desi behan bahi ho gaya angrej hai
Loota khareeda cheena joh woh  bhi pyar hai
Zism mein uthne wali kisi talab ka pyar hai
Joh karte hai woh bholen, yeh gazab ka pyar hai
Aajkal ka pyar bhi toh matlab ka pyar hai
 
Aise pyar ko pyar kehna toheen hai pyar ki
Pak saaf aur pavitar zameen hai pyar ki
Is zameen mein pyar k nikalte hai chote chote poode
Paisun se nahi zazbun se hote hain sachhe pyar k saude
Pyar insaan ko laata hai khuda k bahut hi pass
Aur pyar karnewale dil bhi hote hain bahut khas
Maine bhi sacha pyar kiya 'Chahat" main bhi khas hoon
Mere pass joh pyar hai woh rab ka pyar hai
Sach keh raha hoon mera pyar ajab ka pyar hai
Aajkal ka pyar bhi toh matlab ka pyar hai

 

No comments:

Post a Comment