Sunday 14 July 2013

Raat Jo Kaati Hai Mar Mar K, Kyamat Se Nahi Hai Kam

Raat jo kaati hai mar mar k, kyamat se nahi hai kam
Din bhi gujra hai darr darr k, aur ankh bhi huvi hai nam

Hai apni mahobat sachhi, phir bhi zamana na milne de
Rah kantu bhari toh kya, muje nange pavun chalne de
Tumare vaste toofan se bhi lad k dikhana hai muje
Dard ki parva nahi mujko muje dard mein jalne de
Bata de kab khatam hoga judai ka yeh mausam 
Din bhi gujra hai darr darr k......................

Tu mere pass aa jaye main har keemat chuka doonga
Tuje apna banane ko main khud ko bhi mita doonga
Tu gahir ki ho gayi hai yeh main sunn bhi nahi sakta
Aisa huva agar toh main saari duniya hila doonga
Koi cheen sakke mujko tujse kisi mein nahi itna dam
Din bhi gujra hai darr darr k........................

Tere bina khusi bhi udasi liye huve hai saat apne
Tere bina ankhun ko keel say chubne lagte hain sapne
Tere bina bahaar bhi phulun ko murzane lagti hai
Tere bina dil ki dharkan hi dil ko dukhane lagti hai
Tere bina utha sakta nahi main apna ek bhi kadam
Din bhi gujra hai darr darr k........................



No comments:

Post a Comment