Monday 15 July 2013

Kaash K Hum Gaddey Hote

Kaash k hum gaddey hote, hamesha saamaan se laddey hote
Na kisi ki fikar chinta hoti, na badnami ki dabbey hote
Apne dhobi k liye hum kuch na kuch kar jaate
Subha ghar se nikal k sham ko ghar laut aate

Insaan ban k hum ne jee hai gaddey see jindagi
Batavo yeh raaz gadde ko kon ja k bataye ga
Insaan apni halaat pe haste hain muskarate hain
Par gadda apni kahaani pe ansu bahaye ga

Zaroorat pe log yahan gadde ko bhi baap kehte hain
Gadde ki tarah zayadatar log chupchap dard sehte hain
Gadde ki tarah kaam kar k bhi hota nahi hai sab ka naam
Phir bhi aisay log bhure logon ki ginti mein shamil rehte hain

Jab kisi ki kamzoriyun aur galtiyun hadh se badh jaati hain
Phir saari museebatein uss k peeche hi pad jaati hain
Sab kehte hain uss ko gadda, khota hai woh apna maan
Hamesha takleef mein rehta hai woh paata nahi sammaan

Issi liye kehta hoon gadda hone mein bada hai fayada
Har insaan ko padna chahiye yeh accha sacha kayada
Saare insaanu ko yeh sandesh ponchana zaroori hai
Aisa karne mein hi "Chahat" tera naam bade ga zayada



No comments:

Post a Comment