Saturday 6 July 2013

Jindagi Se Lad Liya Maine, Par Tere Saat Na Begare Riste

Jindagi se lad liya maine, par tere saat na begare riste
Khoon de de k seencha inko, marte marte bhi savare riste

Har riste ki ek apni alag baat. alag chal aur alag hota hai chalan
Kuch ristun mein hoti hai judai, kuch ristun mein zaroori hai milan
Rista jaisa ho vaise hi neebaya jata hai usse yeh sab nahi jaante
Unooch neech in mein aati hai, nadiya k jaise ho dhare riste
Kabhi kabhi in mein daraar padti hai, chahe kitne bhi hoon pyare riste

Pyar hota hai jahan wohi pe viswash k saat jalan aur haq rahe
Pyar kitna bhi gehra ho kamzoor ho jaata hai agar pyar pe shaq rahe
Pyar k riste nazuk hai inne sambhalana aasaan nahi jaan le yeh bhi
Umar bhar rehte nahi toot jaate hain, ho jayen agar aware riste
Umeeden se inki hoti hai shadi, kabi rahte nahi kaware riste

Ristun se hi khayam hai duniya, riste bana k rakhte hai jahan
Ristun ki zameen hai karzdaar, ristun ka aisaan maane hai asmaan
Muskilen aayen pade daraaren ya dilun mein aayen deewaren
Insaanu ki ho jaati hai haar lakin, agar sache hoon kabi na haare riste
Kya baat ho gayi hai  "Chahat" ab lagte hain kyon mujko bhare riste

No comments:

Post a Comment