Tuesday 9 July 2013

Shaadi Aur Mahobat

Ghar ki murgi daal barabar, ghar ki daal poori kaali
Acchi ab mujko lagti hai, bibi se bhi zayada saali
Ghar mein reh k bhi kyon, ajnabi woh ban bethi hai
Kal tak jisse sab kehte they, woh apni hai gharwali

Dusarun ki bibiyun ko dekh, k main kitni aayen barta hoon
Jaise sunna ho koi accha sher, aise wah wah karta hoon
Apni bibi Katrina k jaise phir bhi Kareena mujko bhaye
Dusare ki chale toh lage hirni, apni ki chaal samaz na aaye

Meri bibi raat din gusse mein, kyon sherni ban k guraye
Maine kon sa zurm kiya hai, koi yeh aa k batlaaye
Ghar se bahir jatte hi khilte hain mere maan k phool
Ghar k andar pavun rakhte hi, khila huva dil murjaye

Meri padosan sabse bhole "Dhar Shaib" haim kitne bhole
Uss ki meetee vaani sun k dil mein mere bharken sholey
Usss ko dekh k mann bhole sheela ki hai hassen jawani
Apni bibi ko jab dekhun moun se nikle bam bam bholey

Meri bibi I love U sunn k chup karo ji mujko kehti hai
Aur jab koi bhole aap ho sunder yeh sunn k woh itrati hai
Aap nahi pachaas ki Bhabhi ji aap toh chalish ki dikhti ho
Jab koi yeh keh deta hai, meri darling bhi sarmati hai

Meri padosan muje dekh k karti hai kathak ankhun se
Mann mera dolne lagta hai dekh k harkat ankun ki
Maanta hoon galat hai yeh par dil mera bhi karta hai
Uss ko bhi pyar se seekha doon main kasrat ankhun ki

Yeh meri hi nahi kahaani, yeh kahsani hai ghar ghar ki
Koi ankhen milane  se darta hai lazza hai kisi ko sar ki
Agar lok laaz na hoti shaadi vaadi kabhi chal na paati
Apne baat keh dee hai pa khabar hume hain zamane bhar ki

Shaadi se pehle ka pyar sadhi k baad kahan jaata hai
Anusandhan kar k dekha kuch bhi samaz mein na aata hai
Mast madhosh karnewali kyon kyon ban jaati hai Maha Kaali
Moun se phool barsaane wali kyon dene lagti hai gaali

Shaadi se pehle joh gantun intazar kar aayen bharta rehta hai
Asmaan se taare todh k laane k vaade bhi karta rehta hai
Wohi aadami sadhi k baad ik pal ka bhi na intazaar karey
Wqat hi nahi joh de sakta bibi ko, phir woh kaise pyar karey

Yeh joh maine aap ko bataya, yeh hota hai Pyarwali Shaadi mein
Par Gharwali Shaadi ka bhi koi accha haal nahi hai "Chahat"
Shaadi toh hum sab kar lete hai, par pyar nahi kar paate hain
Insaan jeet leta hai duniya, par haar jaati hai iss mein Mahobat

No comments:

Post a Comment