Friday 5 July 2013

Jaan Pe Khel Bhi Gaye, Par Sar Na Jukaya Apna

Tumko chaha aur tumse hi, dard chupaya apna
Tum se aashnai huvi, toh dil huva paraya pana
Hum se na poocho, kitne dard sahey hai humne
Jaan pe khel bhi gaye, par sar na jukaya apna

Pyar karna se pehle hote hain saare ashiq ajnabhi
Suru suru mein dil ki baat rehti hai dil mein hi dabhi
Phir ikraar hota hai milne lagte hain kabhi kabhi
Saathi dokha de de toh toot jaate hain armaan sabhi
Wohi sacha ashiq hai, jis ne vaada nibaya apna
Jaan pe khel bhi gaye, par sar na jukaya apna

Pyar sab k naseebun mein nahi kisi kisi ko milta hai
Pyar woh cheez hain jis se murjaya dil bhi khilta hai
Chand ki tarah yeh roop badle aisa pyar hota nahi
Pyar sacha ho toh wqat k saat aur bhi badhta hai
Ek din pachtaye gi agar pyar tune thukraya apna
Jaan pe khel bhi gaye, par sar na jukaya apna

Pyar insaan ko kya kya nahi deta hai pyar mein
Pyar se badh k nahi duniya mein koi aur hai daulat
Pyar mein hum khoob jiya khoob maza kiya humne
Pyar na karte toh sahir kabhi na bante "Chahat"
Pyar ki waza se hi humne naam kamaya apna
Jaan pe khel bhi gaye, par sar na jukaya apna

1 comment:

  1. shbe hijran ki izaat ki khbar kis ko hai.
    meri gumnaam muhbat ki khbar kis ko hai
    kiss ko ahsas mere jzbat ka hai
    mere khyalat meri wehshat ki khbar kis ko hai
    kon wiraan mkaano ki khbar rakhta hai
    meri ojree hoe kismat ki khbar kis ko hai
    maine chop chaap muhbat k sitaam jheelay hai
    mere es drjaa shrafat ki khbar kis ko hai
    kon aye majid ko tasali dane ....
    meri udass tbiyat ki khbar kiss ko hai

    ReplyDelete