Monday 8 July 2013

Koi Ansunni See Baat Hai, Hum Donu K Beech Mein

Koi ansunni see baat hai, hum donu k beech mein
Kuch ankehi see baat hai, hum donu k beech mein
Bas naam ki hi mulakaat hai, hum donu k beech mein
Kya baat hai saat chal bhi hum lagte hain ajnabi
Toota koi zazbaat hai, hum donu k beech mein

Kaise milte hain hum aur kis tarah bicharte hai
Phoolen ki chah hai aur kantu pe chalte hain
Muje apne seene se ik baar lipat jaane de
Pavun batakte hain agar toh batak jaane de
Pyar ki honi suruwaat hai, hum donu k beech mein
Toota koi zazbaat hai.............................

Roj roj mil k bhi lage jaise kabhi mille na ho
Aisa toh koi din bata k apne beech gille na ho
Mil k bhi mere dil ka dard aur bada jaati hai tu
Kuch iss tarah se har baar mujse milne atti hai tu
Jaise yeh akhari mulakaat hai, hum donu k beech mein
Toota koi zazbaat hai..............................

Hum pyar bhi karte rahe aur milne se darte rahe
Ek pal ki mulakaat k liye, saalun intaazar karte rahe
Ik tera saat na mila, saara jahan hume mil gaya
Teri ik jalak dekhne ko bhi, kitna hum tadapte rahe
Tanhai ka sada hi saat hai hum donu k beech mein
Toota koi zazbaat hai.............................

Muj mein hai koi kaami, ya khraab hai apna naseeb
Mokha mila dastoor bhi tha, par aa sakke na hum kareeb
Jab main haar gaya tuje kho diya tab yeh pata chala
Bahut zalim ho jaata hai jab dost banta hai rakeeb
Kisi aur ka ab haat hai, hum donu k beech mein
Toota koi zazbaat hai................................

No comments:

Post a Comment