Monday 1 July 2013

Gazal:Jal Rahi Hai Mere Seene Mein Dard Ki Aag Phir Se

Aadher bunn mein laga huva hai mera demaag phir se
Jal rahi hai mere seene mein dard ki aag phir se

Cheek cheek k keh rahi hai mahobat par main nahi sunta
K laga na dena meri chaddar pe tu koi daag phir se

Mehandi pheeki, bindiya berang, maang sooni hai aaj
Sabar kar wqat khud hi la ke dega tera suhag phir se

Saari umar dhor dhoop kar k thak k betha toh log bhole
Abhi manjilen aur hain abhi kar mehnat abhi baag phir se

Joh insaan haar k bhi himmat nahi haarata wohi jeete
Ussi ko dhash nahi paate wqat k zereele naag phir se

Subha ka bhoola ghar lautey toh nahi kehlaye bhoola
Khawab khuli aakun se dikh jayega tu bas jaag phir se

Jeena aasaan nahi jeene k liye marna padta hai "Chahat"
Asmaan wale ko bhi zameen pe laye roti aur saag phir se

No comments:

Post a Comment