Sunday 7 July 2013

Gazal :Tadapati Huvi Subha Hai Apni Sulagti Sham Hai

Tadapati huvi subha hai apni sulagti sham hai
Na dil ko hi mlila sakoon na rooh ko araam hai

Barbaad jis ne kiya muje phir bhi na jaane kyon
Labun pe mere rehta sada uss ka hi naam hai

Na jaane maine aisa kya kamaya hai pyar mein
Log mujse poochte hain kya iss ka daam hai

Tuje khabar nahi k koi dewaana sab se kehta hai
Woh milna chahata hai tujse koi zaroori kaam hai

Ranjish nahi hai mere dil mein kisi k bhi vaaste
Par haat milana bhi chod hai na duva salaam hai

Ghar k gille sikwe kyon aa gaye hain bazaar mein
Izzat apne ghar ki kyon ho gayi badnaam hai

Yeh kaisa daur hai "Chahat" bikta hai sabkuch yahan
Khuda k ghar ki deedh bhi ho rahi nelaam hai

No comments:

Post a Comment