Monday 29 July 2013

Tera Mera Rista

Jeene nahi deti muje meri jindagi
Aur maarne ko maut bhi aati nahi
Dard-o-gam se bhi rista na gehra huva
Aur khusi bhi mere pass aati nahi
 
Aisay haalaat mere hain issliye
Kyon ki tujse rista anokha hai mera
Kabhi lagta hai tu janmu se hai meri
Kabhi lagta hai koi dokha hai mera
 
Tu bhi door hai  pass mere nahi
Meri yaaden  ko lage pankh tere nahi
Chupa chupi ka khel hai chal raha
Poore huvi abhi duniya k pehre nahi
 
Abhi mahobat ka saare imtihaan baaki hai
Abhi pavun k challe phoote nahi
Abhi apna rista hai khokla
Abhi dusarun se naate toote nahi
 
Pyar aise hi na mujko mil jaye ga
Pyar mila toh zamana hil jaye ga
Pyar mein ik anokhi taqat hai
Jis se dil ka gulistaan khil jaye ga
 
Par pyar milta nahi tapasya k bina
Aur meri tapasya abhi poori nahi
Ankhun ki ho ya ho dilun ki
Abhi mita main saka koi doori nahi
 
Abhi apne darmiyaan fasle hai bahut
Abhi rahun pe hone hadse hai bahut
Mere liye bas tera hai ik rasta
Raste toh tere vaste hai bahut
 
Tu kisi ki bhi ban kisi ko apna bana
Tu badal sakti hai kuch bhi likha
Tu khuda jaise hai main aam aadami
Tere bin ban jaye gi jindagani saza
 
Abhi aag se darya se gujarna bhi hai
Zazbatun k samundarun mein utarna bhi hai
Abhi duniya le rahi hai mera imtihaan
Meri acchaiyuun ko tuje parakhna bhi hai
 
Tere fehsale pe tikhi hai meri jindagi
Isse andhera de ya dikha de roshni
Isse batkne se tu hi rokh sakti hai
Bhaqsk de isse ko khuda ki bandagi
 
Khuda ki bandagi se tu bane gi meri
Iltaza sachhe dil ki sunta hai wohi
Tujko muje Khuda hi mila sakta hai
Yeh kayanaat saari bunta hai wohi

No comments:

Post a Comment