Friday 19 July 2013

Kuch Iss Tarah Bhi Maine Kehta Hoon

Kaise yeh tere aansu hain, mujse dekhe nahi jaate hain
Yeh nikalte hai teri ankun se, par mere dil ko rulate hain
Dekh k tera udas chera, dard utha hai apne seene mein
Dil hum ko samjane lagta hai, aur hum dil ko samjate hain
                            ---------------
Umar bhar imtihan deta raha hoon
Jhoote sache bayaan deta raha hoon
Gherun ko pyar diya aur akhir yeh jaan
Kahan dena tha kahan deta raha hoon
kis taran kahan deta raha hoon
                            ---------------
Tu mujse pyar nahi karti, par main teri zaroorat hoon
Main tumse pyar karta hoon, par tu zaroorat nahi meri
Yeh alag baat hai k tere pass dil k siva sab kuch hai
Kon kehta hai chand see mehbooba khoobsurat nahi meri
                             ---------------------
Main tere bina bhi jeeta tha, aur aage bhi jee loonga 
Magar yeh tu bhi jaane hai, k jeena hoga bada muskil
Agar milna na chahate they, toh keh dete bas ik baar
Par mere dil ko todhne se, bata huva kya tuje haasil
                          -----------------------
Main pagal nahi hoon dewaana nahi hoon
Pyar karne ka koi bahana nahi hoon
Muje dekh le parakh le har tarah se tu
Main gujra huva koi zamana nahi hooon
Tuje mera hona hai ya nahi hona, yeh marzi teri
Main talakh hakeekat hoon, dilkash fasana nahi hoon
                          --------------------------
Yeh pyar na hota toh, phir main kahan hota
Main khud se, anjaan mujse, yeh saara jahan hota
Cheen k na le jaati meri badnaseebe tujko toh aaj
Tu dil mein hota samil aur ragunn mein ravaan hota
                             ------------------------

No comments:

Post a Comment