Thursday 29 May 2014

GAZAL: Dil Ki Baghia Ke Khilne Ka, Mujhe Intazaar Hai Kab Se

Dil ki baghia ke khilne ka, mujhe intazaar hai kab se
Maine sunna hai sehar mein aa chuki, bahaar hai kab se

Teri marzi hai dil ko todh ya bas ja iss mein
Dil mera sabhi hadsun ke liye tayaar hai kab se

Ik tu hi nahi samaj payi baaki sab ne dekha hai
Chhaya mujpe mahobat ka khumaar hai kab se

Ik hum hi hain joh sache dil ko bhi bech na paye
Youn toh chal raha yahan dilun ka karobaar hai kab se

Chot kha ke toot ke bhi bikh jaye ka tera dil
Purani cheezun ka saza huva yahan bazaar hai kab se

Jeetna aata nahi aur na hi hai kismat mein jeetna
Isliye seene se maine lagai apni haar hai kab se

Kaise main jee raha hoon tere saat main hi jaanu
Jab ke mere dil mein ban chuki ik deewaar hai kab se

Bewafai ka zamaane hai bewafa ko mille sabkuch
Aur bawafa maare maare phire lachaar hai kab se

Tere dukh dard ka ab muj pe koi asar nahi hota
Toot chuki dilun ko jhodne wali taar hai kab se

Meri kisi bhi koshish ko sacha na maana jaye ga
Bewafun mein ho chuka mera sumaar hai kab se

Teri galtiyun ko aur kitna mauf karun sang dil
 "Chahat" todh chukka, tu mera aitbaar hai kab se

GAZAL: Begunahi Ki Saza Mujhe Mere Yaar Hi Den Ge

Begunahi ki saza mujhe mere yaar hi den ge
Kuch na poochen ke mujse bas maar hi den ge

Aisee halat ho gayi hai insaaf ki mere desh mein
Gunah na karna yeh naseeyat mujhe gunhagaar hi den ge

Wafa ke badle bewafai mille gi yeh gumaan bhi na tha
Main samajta tha woh muj ko bas pyar hi den ge

Jis ne baar baar mera dil dukhaye chot dee aur  todha
Soocha na tha ke hum uss pe apna sab vaar hi den ge

Honsala rakh aey dil aur karta ja  mahobat
Agar sachhi hai mahobat toh woh dil haar hi den ge.

Bas naraaz ho ke tere ghar se joh nikla tha tera apna
Naik salaha nahi dost usse talwaar hi den ge

Zaroorat padi toh izzat ko bhi daav pe laga ke
Muskil se hi sahi woh naam tera pukaar hi de ge

Jin ki apni jindagi ujar gayi apne bhure kaamu se
Tume lagata tha woh jindagi teri sanwaar hi den ge

"Chahat" jaldi kar bata de duniya ko tu kya hai
Poori jindagi nahi din log tuje do chaar hi den ge

GAZAL :Jhoot Thee Ya Sach Thee Baat Unn Ki Hi Sunni Gayi

Jhoot thee ya sach thee baat unn ki hi sunni gayi
Apni baat bhi sunni jaye  issi intazar mein jindagi gayi

Joh baat apne beech thee jisse chardewari mein hi rehna tha
Dewaarun ko kaan lag gaye baat woh gali gali gayi

Wafa pe bewafai ka rang chadane ki koshish mein joh huvi,
Baat itni kharaab thee ke chubi dil ko na sunni gayi

Woh seh jisse apna samaj saari umar pyar maine kiya
Akhiri waqt pe saat begaane chale ik wohi hi saat nahi gayi

Woh jis na naam saari umar duniya se main chupata raha,
Kyon ussi na naam aaya baar baar jab kahani meri kahi gayi

Kanta ban ke umar bhar jis ki rakhwali main karta raha
Uss phool ka rang na feeka pada par khusboon kyon chali gayi

"Chahat"  hum se na dekha gaya uss dulhan ke rone ka manjir
Jab kisi dusare naam ki mehandi uss ke haatun mein  mallii gayi.

Tuesday 27 May 2014

GAZAL: Raat Ko Kehta Hoon Main Ke Tera Khayal Rakh Le,

Raat ko kehta hoon main ke tera khayal rakh le
Subha kitni haseen hogi labun pe sawaal rakh le

Suraj tere liye laye ga khusiyun ki sabhi bahaaren
Apne haat mein tu umeedun ka ik rumaal rakh le

Haseen dulhan banavun ga tuje bas toda sa sabar kar
Haatun mein todhi see mehandi todha gulaal rakh le

Mahobat aa ke uss mein khud-ba-khud bas jaye  gi ik din

Tu apni aankun mein khawabun ka koi jaal rakh le

Ik lamha ik ganta ik din se kya hoga mera

Dost mere vaste tu jindagi se saare saal rakh le

Agar tu chahata hai ke mere naam ke sang aaye tera naam

Toh mere pyar ko tu apne dil mein paal rakh le

Teri jawaani ke dewaane phir rahe hain gali gali

Tu khud ko kisi chilman mein sambaal rakh le.

Mahobat agar khuda nahi hai toh khuda se kam nahi

Bana ke apni mahobat ko tu apna dhaal rakh le

Maza sachi mahobat ka tabhi aaye ga tere ashiq ko

Uss ke labun ke saamne tu apna gaal rakh le

Mahobat door reh ke bhi mahobat hi rehti hai jaan le

Muje yaad karna nahi zaroori bas mera khayal rakh le

Apne milan ki ghadi ko agar banana hai yaadgaar tuje

Bachha ke apni sansun ka tu har ik bhunchal rakh le

Agar  pyar sacha hai chitt aur patt sada hi tere honge,
Taqdeer ke koi  bhi sikke ko tu uchaal rakh le

Teri sachi mahobat ko aayen ge ajmaane bahut se log

Apne dil ko tu apni hatheli pe hi nikaal rakh le

Phir aaraam se gaya jaye ga  pyar ka  har geet "Chahat"

Surr main lagavun ga dil se tu dharkan ki taal rakh le.

Wednesday 21 May 2014

Gazal : Poochte Hain Kaise Halaat Hain Mere Dil Ke

Poochte hain kaise halaat hain mere dil ke
Dost dushman sabhi log iss mehfil ke

Saat mere lehar se ladne koi na aaya
Saathi jitne they, nikle sabhi sahil ke

Waqt joh aaj huva hai jaya, kal uss ko hoga hisaab
Sadiyun ko karz chukane pade ge, pal pal ke

Sab se keh do, apne samaan ko andar kar lo
Aasaar phir se ho gaye hain, kaale baadal ke

Kisi dushman se mujhe kaise woh bachate dost
Teer nazrun ke nahi they unn ke, they kazal ke

Tera kya hai, tune bade bade kiye hai kaam
Mere sabhi kaam lage ge, tuje chote hal ke

Mere aashiyaan ko loot ke le gaya koi mera apna
Main toh chupchaap baitha hoon, haatun ko mal ke

Ab toh woh bhure se ban gaya hain acche insaan
Chintein maine lage diya hain ganga jal ke

Koi bhi uss ko hara na paye ga, kisi ladai mein
Parpanch uss ko bahut aate hain, har chhal ke

Pyar karna pyar neebana har ek ke bas mein nahi,
"Chahat" masvare kon sunta hai yahan pagal ke

Woh Pari Hai Aur Parai Hai

Woh pari hai aur parai hai
Meri jindagi mein phir bhi aayi hai
Ussi ke jaane se jindagi roye gi
Jis ke aane se muskaryi hai.

Meri duniya mera jahan uss se
Meri zameen mera asmaam uss se
Apne aap mein mujhe jeena nahi aata
Mere jeene ka saara samaan uss se
Woh hai toh meri saans mein rawaani
Uss se hi meri umeedun mein jawaani
Raat ko woh mera saya ban k chale
Din ki dhoop mein woh meri parchai hai.
Ussi ke jaane se jindagi roye gi
Jis ke aane se muskaryi hai.

Jindagi phir se mayoos hone wali hai
Main usse woh mujhe khone wali hai
Saat woh rahe toh raat bhi chamkati hai
Door woh jaye toh subha bhi kaali hai
Mera uss ka rista bada akokha hai
Na koi mathbaid na koi vivaad na koi dokha hai
Uss se sikhwa gila nahi hai koi
Meri bas apne aap se hi ladai hai.
Ussi ke jaane se jindagi roye gi
Jis ke aane se muskaryi hai.

Woh chali jaye gi mujhe chod ke ab
Riste naate joh baane they todh ke sab
Akela jeena mujhe kabhi aaya nahi
Kaise jee paavun ga bina uss ke rab
Meri umar kitni hai yeh rab tu jaane
Pass bhula le apne tu kisi bhi bahaane
Kal tak mehfil sajji thee dilun ki "Chahat"
Ab main hoon aur meri tanhai hai.

Thursday 15 May 2014

Talash

Main sawaalun mein kab se ulja baitha hoon
Tum jawaabun ki talash mein ho
Kaantu se chalni huve mere haaat hain
Tum gulaabun ki talash mein ho
 
Hakeekat joh bhi saamne aayi mere
Hosh uss ne urda liye hain mere
Kadwi sachai se lad raha hoon main
Tum khawabun ki talash mein ho.
Maine logon se seekha chalan pyar ka
Jaana kismat se hoga milan pyar ka
Main dhoond raha hoon koi Arastu yahan
Tum kitaabun ki talash mein ho


Na koi ghar hai mera na saati koi
Museebat aa ke phir na jaati koi
Main fakeerun se duva maangta phirun
Tum nawaabun ki talash mein ho.


Sach kehne se mujhe sharm aaye nahi
Jhoot bhol ke gareebi meri jaye nahi
Mere chere pe mera har sach hai likha
Tum hijabun ki talash mein ho.


Maine aurat jaath mein dekha devi ka roop
Saat uss ka diya huvi baarish ya dhoop
Jis ki aankun mein dhoondun apni duniya
"Chahat",tum shraabun ki talash mein ho

 


Sunday 11 May 2014

Gussa

Gusse ka kaaran kuch bhi ho
Gussa magar accha nahi hai
Do char pal ka zanoon hai yeh
Mann ka bhav yeh sacha nahi hai

Gussa insaan ka bada hai dushman
Kha jaata hai saari acchaiyaan
Bahut dair tak joh satati hain hum ko
De jaata hai yeh aisee parchaiyaan

Gussa insaan ko khud se door le jaye
Nirasha ka yeh kaaran bada hai
Udasi mayoosi saheliyaan hai iss ki
Dukh ki lanka ka yeh Raavan bada hai

Par gussa hamesha bhura nahi hota
Masooka ka gussa ashiq ko baaye
Haseena jab karti hai masoom sa gussa
Mujhe uss ke gusse pe pyar aaye

Bache ka gussa Ma samajti hai
Dost ko dost pe kabhi gussa na aaya
Ma aur dost jab karte hai gussa
Toh aise gusse se shanti ho jaaye

Aavo isse door jindagi se bhagayen
Khud shant ho ke shanti felayen
Agar koi dusara karta hai gussa
Do meethe bol bhol k hum muskrayen

Gusse pe joh ankush lage le
Sab jaante hain who insaan bada hai
Wohi insaan accha kehlata hai " Chahat"
Apni kaamiyun se khud joh lada hai,

Gazal :Duva Hi De Do

Tum dava kar na sakke toh duva hi de do
Sulag raha hai mera mann hawa hi de do

Pyar karne ka kisi ko kabhi milta nahi inaam
Itna kar lo wafa karne ki saza hi de do

Teri bewafai mein dam nahi ke maar dale mujhe
Marna chahata hoon marne ki wajah hi de do

Raatein teri hain rangeen na raas aayen gi mujhe...
Dair se jaagi sambli bhikri apni subah hi de do

Sachai kadwi hai sunn na pavunga tere honton se
Accha na de sakko toh khawab bhura hi de do

Tum ne har baat dil ki chupai hai mujh se sada
Aaj kuch na chupavo phir chahe daga hi de do

Dil ki khawaish hai tere saat saat rehna "Chahat"
Dil mein na sahi kadmu mein jagah hi de do.

Phir Tujse Kuch Leta Hoon Ma : Ashirwaad


Ma Ma Ma tere liye main kuch bhi kar na paya
Jab waqt haat se nikal gaya tab mujko yeh samaj mein aaya.
Tune apna saara jeewan naam mere kar daala tha
Halaat acche ya bhure rahe naazun se mujko paala tha.

Saari umar iss sooch mein gujri ke tere liye kuch karna hai,
Tune mujko janam diya hai mujko tujpe marna hai.

Tune jaag jaag ke mujko needen dee hain,
Samundar woh ban gayi hain joh pyar ki bhoonden dee hain.

Jab tak main baacha raha teri mahaanta samaj na paya,
Bada huva toh phir pass tere reh na paya.

Jab kuch karne ke kabil huva toh sar pe pad gayi jimmewari,
Sab ke liye kuch kiya main par kabhi na aayi teri baari.

Behan Papa Patni Bache sab sab se riste mere they ke kachhe
Tumse rista pakka hai mera par kasme vaade huve na sacche.

Tere liye jab bhi kuch laya tune mujko yeh sabak padaya,
Tere hone se mere pass sab hai tu hi hai mera sarmaya.

Tujko Ma kya de sakta hoon tune diya hai mujko jeewan
Tere paavun ki dhool mile woh ban jaati hai maathe ka chandan.

Tujse saari umar maine kuch na kuch paya hai Ma,
Aaj bhi tuje kuch de nahi sakta Ma Ka Din aaya hai Ma.

Bas itna kar sakta hoon paavun tere choo leta hoon
Tujko kuch dene ki cha mein phir tujse kuch leta hoon.
(On the Occasion of Mother's Day)