Tuesday 27 May 2014

GAZAL: Raat Ko Kehta Hoon Main Ke Tera Khayal Rakh Le,

Raat ko kehta hoon main ke tera khayal rakh le
Subha kitni haseen hogi labun pe sawaal rakh le

Suraj tere liye laye ga khusiyun ki sabhi bahaaren
Apne haat mein tu umeedun ka ik rumaal rakh le

Haseen dulhan banavun ga tuje bas toda sa sabar kar
Haatun mein todhi see mehandi todha gulaal rakh le

Mahobat aa ke uss mein khud-ba-khud bas jaye  gi ik din

Tu apni aankun mein khawabun ka koi jaal rakh le

Ik lamha ik ganta ik din se kya hoga mera

Dost mere vaste tu jindagi se saare saal rakh le

Agar tu chahata hai ke mere naam ke sang aaye tera naam

Toh mere pyar ko tu apne dil mein paal rakh le

Teri jawaani ke dewaane phir rahe hain gali gali

Tu khud ko kisi chilman mein sambaal rakh le.

Mahobat agar khuda nahi hai toh khuda se kam nahi

Bana ke apni mahobat ko tu apna dhaal rakh le

Maza sachi mahobat ka tabhi aaye ga tere ashiq ko

Uss ke labun ke saamne tu apna gaal rakh le

Mahobat door reh ke bhi mahobat hi rehti hai jaan le

Muje yaad karna nahi zaroori bas mera khayal rakh le

Apne milan ki ghadi ko agar banana hai yaadgaar tuje

Bachha ke apni sansun ka tu har ik bhunchal rakh le

Agar  pyar sacha hai chitt aur patt sada hi tere honge,
Taqdeer ke koi  bhi sikke ko tu uchaal rakh le

Teri sachi mahobat ko aayen ge ajmaane bahut se log

Apne dil ko tu apni hatheli pe hi nikaal rakh le

Phir aaraam se gaya jaye ga  pyar ka  har geet "Chahat"

Surr main lagavun ga dil se tu dharkan ki taal rakh le.

No comments:

Post a Comment