Sunday 11 May 2014

Phir Tujse Kuch Leta Hoon Ma : Ashirwaad


Ma Ma Ma tere liye main kuch bhi kar na paya
Jab waqt haat se nikal gaya tab mujko yeh samaj mein aaya.
Tune apna saara jeewan naam mere kar daala tha
Halaat acche ya bhure rahe naazun se mujko paala tha.

Saari umar iss sooch mein gujri ke tere liye kuch karna hai,
Tune mujko janam diya hai mujko tujpe marna hai.

Tune jaag jaag ke mujko needen dee hain,
Samundar woh ban gayi hain joh pyar ki bhoonden dee hain.

Jab tak main baacha raha teri mahaanta samaj na paya,
Bada huva toh phir pass tere reh na paya.

Jab kuch karne ke kabil huva toh sar pe pad gayi jimmewari,
Sab ke liye kuch kiya main par kabhi na aayi teri baari.

Behan Papa Patni Bache sab sab se riste mere they ke kachhe
Tumse rista pakka hai mera par kasme vaade huve na sacche.

Tere liye jab bhi kuch laya tune mujko yeh sabak padaya,
Tere hone se mere pass sab hai tu hi hai mera sarmaya.

Tujko Ma kya de sakta hoon tune diya hai mujko jeewan
Tere paavun ki dhool mile woh ban jaati hai maathe ka chandan.

Tujse saari umar maine kuch na kuch paya hai Ma,
Aaj bhi tuje kuch de nahi sakta Ma Ka Din aaya hai Ma.

Bas itna kar sakta hoon paavun tere choo leta hoon
Tujko kuch dene ki cha mein phir tujse kuch leta hoon.
(On the Occasion of Mother's Day)

No comments:

Post a Comment