Thursday 29 May 2014

GAZAL: Dil Ki Baghia Ke Khilne Ka, Mujhe Intazaar Hai Kab Se

Dil ki baghia ke khilne ka, mujhe intazaar hai kab se
Maine sunna hai sehar mein aa chuki, bahaar hai kab se

Teri marzi hai dil ko todh ya bas ja iss mein
Dil mera sabhi hadsun ke liye tayaar hai kab se

Ik tu hi nahi samaj payi baaki sab ne dekha hai
Chhaya mujpe mahobat ka khumaar hai kab se

Ik hum hi hain joh sache dil ko bhi bech na paye
Youn toh chal raha yahan dilun ka karobaar hai kab se

Chot kha ke toot ke bhi bikh jaye ka tera dil
Purani cheezun ka saza huva yahan bazaar hai kab se

Jeetna aata nahi aur na hi hai kismat mein jeetna
Isliye seene se maine lagai apni haar hai kab se

Kaise main jee raha hoon tere saat main hi jaanu
Jab ke mere dil mein ban chuki ik deewaar hai kab se

Bewafai ka zamaane hai bewafa ko mille sabkuch
Aur bawafa maare maare phire lachaar hai kab se

Tere dukh dard ka ab muj pe koi asar nahi hota
Toot chuki dilun ko jhodne wali taar hai kab se

Meri kisi bhi koshish ko sacha na maana jaye ga
Bewafun mein ho chuka mera sumaar hai kab se

Teri galtiyun ko aur kitna mauf karun sang dil
 "Chahat" todh chukka, tu mera aitbaar hai kab se

No comments:

Post a Comment