Sunday 7 April 2013

Gazal : Usse Mere Saat Toh Chalne Deejiye


Meri sasun ko, chalne deejiye
Na rokiye, unn se milne deejiye

Aaj koi bhi ban jaye ga dost unka
Zara jawani ko dalne deejiye

Rista gehra hai khokala pata chalega
Rangeen raat ko gujarne deejiye

Bahaar mein joh saakh murjayi thee
Usse duvavun se falne deejiye

Usse galti ka aishash baad mein hoga
Nasha todha todha uttarne deejiye

Mahobat kya hai woh bhi jaane ga
Kisi ko dil mein uttarne deejiye

Khuda khud b khud aayega zubaan pe
Sansun ko zara sa ukharne deejiye

Yaad uss ko bhi meri aayegi
Dard kuch toh badne deejiye

Duniya se kahega woh jaanta hai mujko
Muje thoda sa hi chamakne deejiye

Main khud aa k uss ka savarun ga ghar
Mohaley ko phir se ujharne deejiye

Dava pyar ki laga k dekho aey dost
Zakmu ko aur na bigharne deejiye

Main dekh na pavun ka uss ko rotey
Muje mehfil se nikalne deejiye

 Pyar ka phool khile ga ik din
 Saakh se barf ko peegalne deejiye

Meri duniya jis ki badolat hai “Chahat”
Usse mere saat toh chalne deejiye




No comments:

Post a Comment