Tuesday 30 April 2013

Ab Apne Hone Ka Mujh Ko Aitbaar Ho Gaya

Main apnu ki hi nazar mein, kasoorwaar ho gaya
Maine kya gunha kiya, k muje pyar ho gaya
Awaargi mein main toh khud ko hi khoye betha tha
Ab apne hone ka mujh ko aitbaar ho gaya

Tu bahaar ban k aayi meri jingadi ko badalne
Jab mere dil ka gulshan laga tha ujarne
Tune b wqat lagaya samajne mein pyar ko
Wqat mujko bhi laga tere dil mein utarne

Salun tak kiya maine jise intazar kehte hain,
Akhir ho hi gaya woh jise log pyar kehte hain
Zara zara karte karte besumaar ho gaya
Ab apne hone ka mujko ......................

Tere bina ab jindagi ka soochun b toh gunha hai
Tere bina mujko toh jeena hi maana hai
Log tujko mujse karna chahen k juda
Main janata hoon tu toh mere liye hi bana hai

Sasun mein gul gaya hai tu rag rag mein basa hai,
Dharkan mein samil hai chere pe bhi hassa hai
Tu hi tu dikhe har taraf aisa khumaar ho gaya
Ab apne hone ka mujko ...............................

Geet: Ab Toh Tanha Kate Na Safar

Ab toh tanha kate na safar, Ab toh tanha kate na safar
Aey khuda kar le rehmat ki nazar
Kisi humsafar ki talash hai mujko
Tu bhuja de jis ki bhi pyas hai mujko
Meri duvavun ko na hone de beasar
Aey khuda kar le rehmat ki nazar
Ab toh tanha kate na safar

Sab ko saati diya hai, tune yahan
Mere saat kya kiya hai, tune yahan
Koi mila mujse muje chod k gaya
Rista tanhai se mere jodh k gaya

Door le jaana tha usse toh phir milaya kyon tha
Halka halka sa pyar muj mein jagaya kyon tha
Woh toh chala gaya hai na aane k liye
Dard bahut zayada hai chhupane k liye

Dard ab mujse chhupya jaye na
Jhoot bhi toh bataya jaye na
Duniya se tu hi bata kya bolon
Dil ko bhi kuch bataya jaye na

Dil ko samjana hi bahut hai muskil
Dil mein beth gaya hai khof aur darr
Aey khuda kar le rehmat ki nazar
Ab toh tanha kate na safar

Pyar karne se pehla accha tha
Main bahut khus tha jab bacha tha
Iss jawani ka dosh hai saara
Mujko toh meri ashiqi ne hi maara

Saccha pyar kar gaye bewafavun se
Madhosh ho gaye they  nighavun se
Pehli nazar mein koi vaar kar gaya tha
Dil toh pagla tha pyar kar gaya tha

Chera hi dekh k dewaana hone wale
Hum jaise log hai pyar mein rone wale
Kaash k sooch k pyar hum bhi karte
Khus se zayada kisi aur pen a marte

Akal aayi hai bahut dher se aayi hai
Di ab doondata hai tohda sa sabar
Aey khuda kar le rehmat ki nazar
Ab toh tanha kate na safar

Pyar Mein Jaadu Hai

Tere aane se jaise bahaar aa gayi
Phool khilne lage kushboo aane lagi
Jindagi tere bin bebas thee badi
Jindagi bhi ab muskarane lagi

Tuj se pehle kabhi maine jaana na tha
Pyar mein jaadu hai aisa maana na tha
Tujko dekhe bina ab chain aata nahi
Dil kisi ka kabhi youn deewana na tha

Pyar jindagi meri ko badal jaye ga
Mere saat mera ghar bhi sanwar jaye ga
Mujko maloom na tha iss pyar mein
Bina pooche koi dil mein uttar jaye ga

Bajne lage hain mere dil k saare taar
Meri dharkan bhi koi geet gaane lagi

Tanha jeeta raha woh toh jeena na tha
Teri ankhun se jab tak peena na tha
Tab tak jeena ka koi maza na mila
Jindagi katti rahi par kareena na tha

Tune mujko jeena sikha k sanam
De diya hai mujko duja janam
Saat tere kyamat tak javun ga
Maine kha lee hai teri hi kasam

Nasha mahobat ka aisa chada hai muje
Khumari pyar ki har taraf chhane lagi

Monday 29 April 2013

Dard Aisa Diya Hai Tune Muje

Dard aisa diya hai tune muje
Jis ki koi dava bani hi nahi
Dam mera gutt raha hai kyon ki dost
Sasun ki hawa bani hi nahi

Maine toh toote huve dil se bhi
Toot k chaha hai tumko
Kisi ki bhi na sunni maine 
Khud se bhi rhoot k chaha hai tumko
Pyar ki tu kadar kya karti
Mujpe kis baat pe marti
Main toh alag hoon zamane se
Kaise judh gaya tere fasane se

Tuje kisi aur cheez ki tamana hai
Tere liya wafa bani hi nahi
Dard aisa diya hai tune...............

Yeh jaante huve bhi k tu gahir ki hai
Tujko apnu ki tarah pyar kiya hai maine
Sukh chain toh bahut chooti see hai cheez
Izzat shoorat ko bhi vaar diya hai maine

Apni sansun ko tere naam likh k
Khud apne pyar ko azmaata hoon main
Tere kahayalun mein gumm ho k raat din 
Khud ko bhi akshar bhool jaata hoon main

Maine pooja hai har lamha tujko
Tu phir bhi khuda bani hi nahi
Dard aisa diya hai tune...............

Tune pyar k badle diya kya hai
Aaj iss ka bhi fesla ho jaye
Joh mere raste se kabhi bhi aa k mile
Tera koi aisa rasta ho jaye

Main hamesha hi duva doonga tuje
Pass tere kabhi na dukh aayen
Tujko dard dene k liye joh bhi haat uthen
Woh mere pass aa k hi rukh jayen

Phir bhi yaad tujko jahan na aaye meri
Koi aisee jagha bani hi nahi
Dard aisa diya hai tune.............

Main Tere Saat Hoon

Main tere saat hoon sukh mein bhi dukh mein bhi
Tu mujpe bharosa karti hai karte rehna
Main tere har sapne ko karunga poora
Tu umeedun se apne ankhun ko bharte rehna

Aaj duniya hamari bani hai dushman
Ek din saara jahan maane ga apne pyar ko
Main apni jaan bhi de doonga agar zaroorat padi,
Par paresaan na hone doonga apne yaar ko
Main jitna tuje pyar karta hoon marta hoon
Tu bhi jaanam utna hi mujpe marte rehna 
Main tere saat hoon........................

Tere kal bhada bhura tha bhool ja uss ko
Apne aaj ko kal ko mere saat jhor de
Koi bhi rasta doobara tera na jaye vapis
Apne har raste ko meri taraf modh de
Main tere saat hoon manjil mile gi tujko
Na ab tu duniya se darte rehna
Main tere saat hoon........................


Pyar mein kuch alag sa kiya hai humne
Amrit nahi khud hi zehar piya hai humne
Judai ko apna nasseb samaza aur maze se
Door reh k bhi khusi se jiya hai humne
Aaj haalat milne k nahi kal toh hongen
Bas toot k aise hi pyar muje karte rehna
Main tere saat hoon........................

Tera Roop Jaise Subha Ki Dhoop

Tera rang jaise baharun ka sang
Tera roop jaise subha ki dhoop
Tuje dekh k aisa badla mann mera
Jaise maar di ho fakir ne phook

Tu kya kaisee hai, kaise main kahun
Tuje dekh kar, chhup na reh sakun
Hoontun se tareef khud, aaye nikal
Kadmu pe bichna, chahe mera dil
Main dil ki sunnu, ya demaag ki karun
Pyar karne ka phir bhi, kamyaza barun
Pyar sacha hai phir bhi milna na ho
Heraan hoon kahan pe huvi hai chook
Tera roop jaise subha ki dhoop

Maine pyar kar k, koi na galti kari
Aaj mile hain kal milna hai ginti kari
Har sans teri amanat hoti gayi
Dil ko muj se hi sheekayat hoti gayi
Akele rehna hi accha lagne laga
Tere siva kuch bhi na dikhne laga
Koi aur yuvan mujko baata nahi
Muje pyara lage sirf tera rang roop
Tera roop jaise subha ki dhoop

Dil ki haalat ab tumko pata chal gayi
Kuch aisa kar k bicharna na ho
Jis rah pe humko kaanten milen
Aisee rah pe kabhi bhi chalana na ho
Pyar ko dekh k jalte hain joh log
Woh chahate hain apna milana na ho
Main more jaisay nachun ga mere pyar
Tu bhi maar le koyal see kook
Tera roop jaise subha ki dhoop

GAZAL: Lat Lag Gayi Hai Peene Ki

Lat lag gayi hai, mujko peene ki
Ban gayi hai, waza ab jeene ki

Tamana hai dil ka, aur tera hi jikar aaye
Baat jab bhi ho, mere seene ki

Kitni pyari hai sharaab, luta dee maine
Iss pe kamai, khoon passene ki

Har mausam mein, sharaab ka rang gule
Baat nahi sawaan k, hi maheene ki

Tu bhi mil jaye, agar sharaab k sang
Toh jindagi ban jaye, mere jeene ki

Apni izzat se darta hoon, issliye mehfilun mein
Baat karta nahi, main peene ki

Dost hota toh saat peete, aur dil ki kehte
Nashe mein baat hai kuch kareene ki

Dekh k apna chera log kehte hain "Chahat"
Surat acchi nahi, kameene ki

Sunday 28 April 2013

Pyar Kar K Muje Kya Mila

Pyar kar k muje kya mila, maine kabhi soocha nahi
Dil chirag k taran kyon jhala, maine kabhi soocha nahi,
Kyon toot k bhirke mere sapne hain
Dard denewale bhi sabi apne hain
Dostun se karun main bhi gila, maine kabhi soocha nahi
Pyar kar k muje kya mila.......................

Jis ko maine apna samza woh kisi aur ka ho gaya
Jis k saat muskilun mein chala woh raste mein hi kho gaya
Sab ko sukh dene k liye maine gumu se ki dosti
Kyon doorsarun pe lutaya pyar atma bhi hai muje kosti
Hoga kaise mera bhala, maine kabhi soocha nahi
Pyar kar k muje kya mila............................

Pyar mein yeh kaise mukaam aa gaya k sab lut gaya
Kismat ki likeerun ka b likha na jaane kaise mit gaya
Jis k bin hum pal bhar b na jiye they
Vaade jis ne janmu k kiya they
Saat mera woh do kadam kyon chala, maine kabhi soocha nahi
Pyar kar k muje kya mila..............................

Pyar raas aaya nahi kyon ki hum mein sachai rahi, 
Wafa haari pyar luta har taraf bewafai rahi
Duniya ko nazar aayi nahi mere pyar ki gehrai
Charche mein har taraf teri meri judai rahi
Apnu ne mujko kyon chhala, maine kabhi soocha nahi
Pyar kar k muje kya mila...................................

Duva Tujko Deta Hoon Jeene Ki

Duva tujko deta hoon subha sham jeene ki
Yehi baat kehti hai arzoo mere seene ki

Tujko har khusi mile dukh pass b na aayen
Tere dil k phool khile rahen kabi na murjayen
Tere ghar aagne mein jhoomti bahaar ho
Tu har baazi jeete teri kiabhi na haar ho
Sada tujko mere aane ka intazar ho
Har janam mein tujko mujse hi pyar ho
Tu meri ban k saare jahan k samne yeh bhole
Aa janam mujko apni bahun mein le le
Safal ho jaye mehnat mere khoon paseene ki
Yehi baat kehti hai arzoo seene ki

Alag alag reh k b humne pyar toot k kiya
Naaraz b huve par na rhoot k kiya
Tere saare armanu ko maine nikhala hai
Tujko bacha samaz k hatun se paala hai
Teri kisi b baat pe maine na kaha nahi kabi
Teri khawahasun poori karta hoon main sabhi
Har pal har lamha tu yaadun mein samil hai
Muje pata hai tu meri saari umar ka hasil hai
Tere bina jeena pada toh mar javun ga
Tuje dekh k cha bhad aati hai jeene ki
Yehi baat kehti hai arzoo seene ki



Saturday 27 April 2013

Chal Pada Hoon Pyar Ki Rahun Mein

Ab koi rokh nahi sakta mujko
Chal pada hoon pyar ki rahun mein
Ab koi hai mere daaman ko pakde
Aur main hoon kisi ki palkun ki chavun mein

Tere saat jindagi beetani ki kasam khai hai
Tu ban gayi mera chhaya meri parchai hai
Ik pal door bhi na jaana tu mujse
Mere nas nas mein tu samai hai
Tu mere seene se alag na hona
Main tuje rakhun ga apni bahun mein
Chal pada hoon pyar...........................

Tujko hi chaha hai jab se hosh sambhali hai
Arzoo mere dil ki bhi bahut hi bholi bhali hai
Tere pyar ka rang chadha hai mere chere pe
Tere labhun pe lagi meri wafa ki laali hai
Tuj ko dekhta hoon main khusi mein bhi
Nazar aati hai tere hi surat aahun mein
Chal pada hoon pyar...........................

Pyar kiya hai toh log banne ge dushman
Koshis karen ge daag daar ho jaye iss ka daaman
Insaanu mein dam hai kahan k juda hum ko karen
Khusiyun se mehakta rahe ga sada apna aangan
Main khuda se bhi maang loon ga tuje
Rakhun ga hamesha tuje apni duvavun main
Chal pada hoon pyar...........................

Mere Saat Ek Ladki Bhi Badnaam Ho Gayi


Mann ki udasiyaan chere pe aa gayi
Main khus nahi hoon baat sarre aam ho gayi
Kya waza hai udasi ki charcha bahut huvi
Mere saat ek ladki bhi badnam ho gayi

Apne labhun se kisi ka naam liya nahi maine
Phir sehar mein sab ko pata chala kaise
Main deewana hoon kisi ka koi dewaani meri
Yeh raaz kab se chuppa tha khula kaise
Mahobat bahut kuch sikha k gayi muje
Kya huva k agar yeh nakaam ho gayi
Mere saat ek ladki bhi.......................

Kuch is tarah se uss ka asar huva hai mujpe
Koi dusara haseen mujko deekhai hi nahi deta
Har wqat aisa lagta hai woh pukarti hai mera naam
Uss ki awaz k bina kuch aur sunai hi nahi deta
Usse pooche bina dil kuch bhi nahi hai karta
Dil ki dharkan bhi uss ki gulaam ho gayi
Mere saat ek ladki bhi............................

Ek baar dil lagaya kisi se phir dubara na soocha
Jis ko chaha usse hi chahate rahe usse hi pooja
Hakeekat mein usse paane ki karte rahe hasrat
Ussi k sapne dekhe aur koi kaam na kiya dooja
Jise pyar kar k bachpana dal gaya jawaani mein
Ussi k intazar mein jindagi ki sham ho gayi

Mere saat ek ladki bhi................................

Bhajan: Apna Rista Bahut Purana Hai

Jukha k sar, muje tere dar pe aana hai
Tu prabhu main bhagat, apna rista bada purana hai

Main bebas hoon haara hoon lachaar firta hoon,
Gali gali apna sabkuch haara firta hoon,
Na jaane kon say janam ki saza payi hai, 
Is janam mein toh na kee koi burai hai, 
Phir bhi imtihaan tu le raha hai kadam kadam pe mera, 
Rista kuch khas judh gaya hai gamo sitam se mera,
Main tayaar hoon azma le, jitna ajmaana hai
Aey prabhu apna rista bada purana hai

Suna hai tu apne bagtun ko ajmata hai,
Kaise sehenge yeh dekhne ko dukh delata hai, 
Tere imitihan pe poora utar joh jaata hai,
Ik jahan kya donu jahan who pata hai, 
Mere jeewan ki doori apne haat mein rak k,
Dukh ho ya sukh tu muje apne saat mein rakh le,
Laga hai dil tujse kisi aur say, kya lagana hai
Aey prabhu apna rista bada purana hai

Tune joh bhi diya hai ussi se dila santusti muje,
Sach jhoot acchai burai mein dekh saakun de aisee dristi muje, 
Maine sukh chain shanti hi maangi sada tujse,
Aisa kar baat dil ki keh saakun main har jagha tujse, 
Muje visvaas hai tu mujpe meharbaan hoga, 
Mere kadmu mein phir yeh saara jahan hoga
Tera darshan hi mere moksha ka bahana hai
Aey  prabhu apna rista bada purana hai

Gazal: Tu Juda Na Rahe


Tu mujse kisi bhi haal mein juda na rahe
Khuda kare k kabhi bhi bewafa na rahe

Kaise jinda rahun ga door ja k tujse

Tere bin toh mere pass hawa na rahe

Door ja k bhi tu asspass rahe ga mere
Bata kon see jagha hai jahan khuda na rahe

Tere siva agar kisi ko dekhun soochu bulavun
Deemag bigre loo jaye aur sada na rahe

Tujko duniya agar dekhe toh dekhe muj mein
Seevaye mere dil k teri koi  aur jagha na rahe

 Kuch aisa kare khuda 'Chahat' k jeene k liye
 Tere pass mera siva koi waza na rahe 

Gazal: Kaisay Riste


Jaisa main hoon vaisay na riste mille
Mujko muskil veraan sabhi hi raste mille

Jinko dhoondata raha main dar badar umar bhar
Woh dil k hi kisi kone mein baste mille

Main kaise maan loon woh mere dost they kabhi
Meri barbadi pe joh haste taane kaste mile

Doshi baach nikla sab ki ankhun k saamne 
Sheekanje nirdosh pe hi hamesha kaste mille

Woh hai bada aadami uss ki izzat sab karen
Isliye logon se uss ko namaste mille

Joh jitna bada behimaan woh utna menga bikke 
Imandaar bikke hi nahi ya toh saste mille

Naseeb hi kharaab hai 'Chahat' k sajde kar k bhi
Khuda bhi rooth raha humse aur na fariste mille

Friday 26 April 2013

Pyar Ka Dukh

Tu jitna seh rahi se uss se kam keh rahi hai
Main yeh jaanta hoon bahut dukh seh rahi hai
Magar yeh pyar ka dukh hai bahut kaam aaye ga
Chahane walun ki ginti mein apna pehle naam aaye ga

Tu akeli nahi hai pyar bhi sang hai tere
Raste katin bahut par yaar bhi sang hai tere
Manzil joh door thee khud chal k pass hai aayi
Thodi see tu dari hai todhi hai ghabrai
Jaldi se tere mann ka bhar ho jaye ga halka
Kab tak dushman tumpe paryog karenge bal ka

Pyar ki jeet hogi tuje khusiyan milen gi
Sapne poore hongen chamakti akhiyan milege
Saat janmu ki mahobat ka sila bhi tujko mile ga
Dil ki bageechi ka har kona khila tujko mila ga
Apni marzi se phir tu jeena apni jindagi
Phir kisi ki mohtaaz kabi na hogi jindagi.

Kal tera toh khuda k haat mein hai

Pyar ka mazza toh pyari see mulakaat mein hai
Abhi toh mulakaat pe bhi lagi hai pabandi
Bichar k kab tak reh pavun ga main jinda tu jindi
Ik mulakaat ka nahi saari jindagi ka saat chahiye
Payr ka darya gehra hai paar karne ko tera haat chahiye

Bina dard sehe kisi ko khusi nahi milti
Kantun k sang na rahe toh kali bhi nahi khilti
Tere har dard ko dava mil jaye gi
Mere seene se aa k tu joh lipat jaye gi
Main bhi utna hi tadapa hoon tere bina barsun
Kab tu aayegi pakne lagi hai umar ki sarsun

Hum donu ka intazar ek din rang laye ga
Duniya ki nazrun mein bhi tu mera ho jaye ga
Wqat joh bhi jindagi ka baaki  hai bacha
Woh bhi maine tere hi naam hai laikha
Dukh kabhi na doonga tujko vaada hai mera
Tera sang jindagi betane ka erada hai mera

Kabhi Koi Aur Gandhi Aaye Ga

Hum gareeb hai badnaseeb hai, sabne hum ko tadapte dekha hai
Dil mein toofan uthey hai badhhaali k, aur ankhu ko baraste dekha hai

Yeh kaisee jindagi tune dee hai humko khuda. itna toh bata
Na chhath apne oopar hai, na khane ko daana bhi bacha
Har kadam pe muskil hai duswaari hai
Paisa kam hai aur badi bemaari hai
Apna kuch nahi na ghar na aagan
Jindagi kuch nahi bas udhari hai
Hum gareeb hai yeh naseeb hai apna
Hum ne dekha hai jinda rehna ka sapna
Tu maalik hai sab ka tune humko kyon taraste dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai ........................

Kya jeene ka sapna dekhna bhi gunha hota hai
Joh mere desh mein hota hai aur kahan hota hai
Gareeb aur gareeb ameer aur ameer hote gaye
Aaj wohi kaat rahe hain joh kal boote gaye
Aazadi apne kis kaam ki jab jeena bhi hai muskil
Janam dene wala hi kyon ban gaya hai katil
Maut sachai hai par iss tarah na aaye
Bhari jawani mein jindagi maut sang so jaye
Apni bednaseebi pe kuch logon ko yahan haste dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai...........................

Hum mein se kuch bina dava k marte hain
Kuch khud faansi lage k marte hain
Kuch footpath pe soye huve hi duiya se chhot jaate hain
Kuch bachuun k sapne paalne mein hi toot jaate hain
Kuch bina khaye peeye bhook na shikaar hote hain
Kuch toh bachpane se hi Polio se bekaar hote hain
Kon se bemaari hai joh apna saat nahi deti
Bedard hakumat hai wohi haat nahi deti
Bade bade netavun ko bade bade vaade karte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

Jis sehar kasbe gavon mein jahan bhi rehte hain
Humko aam log Vote Bank hi kehte hain
Hamari jindagi Electionun k dinu bethar ho jaati hai
Khijaan k baad jaise kisi gulashan mein bahaar aati hai
Kapde latte kambhal halwa poori bhi baanti jaati hai
Jindagi apni kuch dinu toh muskarati hai
Desi English har tarah ki sharaab peelai jaati hai
Roti k saat murge ki tangri bhi kheelai jaati hai
Apni jhuggiuun mein pasiun ko bhi chamakte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

Election k baad reh jaate hain hum vaadun k saharey
Uss k baad deekhai dete hain din mein bhi taare
Hum jaisa paida huve vaise hi mar jaate hain
Kabhi kabhi toh sadkun pe hi sardh jatte hain
Na apni Bhagwaan sunne na neta na adhikaari
Rote rote tadpte taraste hi kat jaati hai jindagi saari
Apni jindagi mein koi na kranti laye ga
Par intazar hai kabhi koi aur Gandi aaye ga
Maine bahut logon ko khuda se yeh duva karte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

Gazal: Muje Thoda Sa Hi Pyar De

Maine kab kaha tum ko sanam, sab kuch mujpe vaar de
Meri itni see hai iltaza, muje thoda sa hi pyar de

Apne joodey pe laga k muje, bas dekh le tu aaina
Khila huva main phool hoon, na mangu k bahaar de

Main kehta nahi tumse k muje, umar bhar ka saat de
Ho sakke toh kuch wqat tu sang mere gujar de

Tere naam k saat mera naam aaye toh, hai accha bahut
Par main isse mein bhi khus hoon, tu mera naam pukaar de 

Main apni saari jindagi tere naam kar k betha hoon
Jee loonga apni jindagi k kuch pal, tu mujko bhi udhar de

Tere kisi bhi kaam aaya toh ban jaye gi kismat meri
Mere dil ka khoon le k tu, apni jindagi sanwaar de

"Chahat" teri ankhun ki meh ab jeena ka sahara hai
Muje hoosh na aaye kabhi, muje aisa tu khumaar de

Mann Ki Nazar Se Tu Mera Pyar Tolna

Duniya ki nazar se kabi mujko na dekhna
Mann ki nazar se tu mera pyar tolna
Duniya tuje kahegi dusare to chunn muje chhod 
Sooch samaz k hi tu haan na bholna

Jeene k saare darwaze tujpe karenge bhand
Muje chhod dene pe tu kabi hona na razamand
Kuch dard aur seh k heera banegi tu
Rukmini Radha ya phir Meera banegi tu
Main shyam hoon tera tera hi rahunga sada
Jeene k liye chahiye muje tere anchal ki hawa
Main tere jindagi mein bharunga asmaani rang
Tu mere jeewan mein armit golna.
Mann ki nazar se tu ..................

Jab se tuje dekha hai tujko maana hai apna
Tere bina kisi aur ka kabhi dekha nahi sapna
Tu na milli toh jindagi ho jaye gi bemaza
Tujko banaana chahata hoon jeene ki har waza
Tere siva kisi ko dil k kareeb aaney nahi diya
Aur tujko dil se door kabhi jaane nahi diya
Tere bina nahi jeena yeh keh diya maine
Tu bhi zaroorat padne pe zubaan kholna
Mann ki nazar se tu .................. 

Agar Jindagi Tere Naam Na Karta

Mann se main koi bhi kaam na karta
Agar jindagi tere naam na karta
Ankh nam hoti chera pe sakoon  na hota,
Aur dil bechaain rehta aaraam na karta 

Tum se mil k seekha hai jeena
Youn toh kehne ko jee raha tha main
Chere pe jhooti muskarahatein thee
Mann k andhar bahut bhara tha main
Tune mahobat ki nayi pehchan de k
Meri umeedun ko asmaan de k
Mujko kahan se kahan laya hai
Pyar karna muje sikhya hai
Tujpe agar bharosa na hota
Pyar ka charcha aam na karta.
Mann se main.................

Tere bina ab jiya na jaye ga
Zehar ya amrit piya na jaye ga
Saat mill k ab safar katey ga apna
Saat saat dekhen ge har ek sapna
Maine har sans tere naam karni hai
Jeena hai aur jindagi tamaam karni hai
Bin tera ab mera kuch ho nahi sakta
Apni har arzoo teri gulaam karni hai
Mujko agar raja banney ki kwahish na hoti
Khud ko tera gulaam na karta
Mann se main.................


Friday 19 April 2013

Ankhun Se Pila De

Ankhun se pila de saakhi, nasha hone de zara
Thodi see chhad jaane de, bhura hone de zara,

Saraab jis ka naam hai, yeh badnaam cheez hai bahut
Peene waale rahun mein girte hain, yeh aam cheez hai bahut
Par dil ki baat kehne k liye, isse peena zaroori hai
Muje meetani doori hai
Himmat laani hai muje mere liye yeh mazboori hai
Nasha kar k himmat aayegi, fidha hone de zara

Nasha cheez aisee hai lag jaye toh chootey na kabhi
Yeh rista pyar jaisa hai toorey se tootey na kabhi
Yeh lat tabhi lagti hai jab koi chhodh k chala jaye
Dil todh k chala jaye
Duva karo yaar kissi ka bhi ho, phir woh rootey na kabhi
Takdeer apni likh doonga main, khuda hone de zara

Chhod gaya kisi dusare k vaste mera bhi yaar muje
Saraab kahe kabhi mil jaye ga mera bhi pyar muje
Nahi mila toh kya huva saathi toh saraab hai
Khuda k kareeb humko laati toh saraab hai
Hum theek thaak hai dil ka yehi jawaab hai
Dil k kar de tukhre, thabha hone de zara
Nashey mein hi apne yaar se, khaffa hone de zara



Thursday 18 April 2013

Kaise Kiya Pyar Ka Izhaar

Yeh kaisa mera pyar hai, meri ankhun se usse dikh na saka,
Maine moun se kehne mein bhi ki dheri, aur kagaz pe b likh na sikha,

Pyar karta raha par izhaar kar nahi paya
Ankhen jukha k mila char kar nahi paya
Sapnu mein uss se roj milta raha raatun ko
Khuli ankhun se khul k dedaar kar nahi paya

Unn ko dekhte hi ankhun ko jukhna mera
Yaad kar kar k bhi sab kuch bhool jaana mera
Yaad hai mujko kahein baar akele milne par bhi
Pass aate aate phir se door jaana mera

Unn se pyar hai yeh kabhi keh na saka
Door raha par khush kabhi reh na saka
Log mitti b paisun se lete hain, mera pyar muft mein bhi bikh na saka

Ek din dekh liya usse kisi dusare k saat
Donu behthey they haatun mein liye haat
Dil tadpa aur jaan nikal gayi thee jaisay
Dil ko laga tha jaiay ho gayi hai maat

Seene mein ajeeb see jalan uth rahi thee
Lag raha tha jaisay meri duniya lut rahi thee
Unn ko pyar karne ki arzoo joh thee dil mein
Dam todh rahi tadap rahi thee gutt rahi thee

Aisay halaat mein main chupp reh nahi paya
Maine dil ka poora haal unko sunaya
Marta hoon dewana hoon keh dala unne, mere sabar ka bandh tikh na saka