Friday 31 May 2013

Pyar Karna Aur Neebana

Pyar karna kisi ko bhi aa sakta hai
Pyar koi bhi kisi se kar sakta hai
Par pyar neebana sab k bas mein nahi
Neebate neebate koi bhi mar sakta hai

Maine pyar kiya hi nahi neebaya bhi hai
Zakhm seh k dard bulaya bhi hai
Itna hi nahi k tuje mauf kiya
Par mauf kar k toot k chaha bhi hai

Tujko izzat aur naam sabkuch dena hai
Sirf vaada nahi hai sachmuch hona hai
Aaj k baad har khusi pe tera haq hai
Aaj k baad tujko kabhi na rona hai

Tu mere liye koi khilona nahi
Jis se khela aur chod diya
Tu kisi fakir ki dee huve chadar jaise hai
Jisey apna liye aur oodh liya

Tu mere bandagi jeendagi hai meri
Tu hai toh har ek khusi hai meri
Pyar k badle bas pyar hi maanga hai
Ik bhar nahi bhar bhar maanga hai

Pyar phuloon pe chalne ka naam nahi
Pyar kaantun pe roj chalna hai
Sacha pyar karnewalun ko
Judia ki aag mein roj  jalna hai

Zakhm jis ne na dil pe khyae hoon
Pyar ki tadap ko kya samze ga
Ik jalak dekhne ko joh na tadpa ho
Dedaar ki talab ko kya samze ga

Humme zakhm bhi dil pe khyae hain
Dard se dil bhi apna tadpa hai
Tudke tudke huve hain iss dil k
Pyar tumpe yeh phir bhi karta hai

Pyar karne aur neebane k beech mein
Zameen aur asmaan jaisa fark hota hai
Pyar neebaya gaya ho to swarg jaisa hai
Nahi toh pyar phir bhaar banta hai narak hota hai

Kyon Nahi Mujko Pyar Dete Ho

Kyon nahi mujko pyar dete ho
Dard kyon bhar bhar dete ho
Zakhm seene mein joh dabbe hain mere
Unn ko phir kyon ubhaar dete ho

Main isse bachpana samzun tera
Ya kaam hai yeh naadani ka
Yaad kar kaise gumaan toota tha
Joh kabi tha tuje jawani ka
Ek pal mein bethate ho sar pe
Dusare pal uttar dete ho

Dil tera toh bahut hi bhola hai
Lab pe lakin aag ka shola hai
Mere dil mein aa k bas javo
Maina darwaza iss ka khola hai
Ankhun mein le k milan k sapne
Hotun se tum khar dete ho

Aaj tum pe jawaan marte hain
Tareef tere husan ki woh karte hain
Kal jawani saat chode gi tera
Yeh sooch k hum toh darte hain
Akele phir kaise jiyo ge tum
Nazrun se lakhun ko maar dete ho

Teri sobat mein rehna accha hai
Dosti kar ya dushmani kar le
Hamesha k liye chali ja door
Ya apni ankhun mein bhar le
Teri dosti ka kya kehna hai
Doobte ko bhi taar dete ho

Thursday 30 May 2013

Tu Muje Bhula Na Payega Kyon Ki, Main Tera Pyar Pehla Hoon


Jahan hum pehli baar mile they, wohin aaj main aakela hoon
Tu muje bhula na payega kyon ki, main tera pyar pehla hoon

Kahin bhi ja chali ja mujse na ja paye gi tu door
Kabhi uttar na payega teri ankhun se mere saroor
Main khusboo ban k tere badan k chaarun aur fehla hoon
Tu muje bhula na payega........................................

Dagha dene ki soochun bhi toh mujko maut aa jaye
Kisi ki taraf kadam agar bharavun toh rasta hi kho jaye
Tere saat lipti rahun gi  main tu pedh main bhela hoon
Tu muje bhula na payega.....................................

Mujpe bharosa kiya hai toh sada khayam isse rakhna
Jab bhi saakh pade tujko toh bebaak ho k parakhna
Tuje pata chal jaye ga k main khara hoon nahi meala hoon
Tu muje bhula na payega....................................

Thursday 23 May 2013

Jeene Ki Chah

Jeene ki chah sabko hai mujhe bhi jeena hai
Dard seh seh k chahe zakhmi huva seena hai
Phir bhi kwaish rakhti hoon tuje paane ki
Tere sang baaki ki jindagi beetane ki

Khuda se bhi tere sang jeene ki dua mangu
Tu hi bata tere siva main aur kya mangu
Tere saat janmu ka rista hai muje lagta hai
Dil mein na de sahi kadmu mein jagha maangu

Mera na koi sathi sangi bas ek tere dam par
Kayam hai meri umeed gayi na meri aas
Saari jindagi nadiya k saamne reh k bhi
Gayi na meri tapas mitti na mann ki pyas

Par jab dekti hu main hi wajah ban rahi hu tere udasi ki
Dhuki ho jaati hoon mar jati hai meri jeene ki chah
Sabhi log tuj par apna haq mante hai jaatate hain
Tu sab ka banta gaya par kyon mera na raha

Mera wajud hi muj ko gunah lagta hai
Kyon ghair ab mujko apna khuda lagta hai
Kyon muje teri baatein pe yakin nahi aata
Pass reh k bhi tu mujko juda lagta hai

Khuda ne mere naseeb hi kuch aisa likha hai
Pyar tera mera ho k bhi nahi mera
Tere pyar main koi kami ho nahi sakti
Par pyar k kabil hi nahi hai mera chera

Mere pyar mein bhi nahi  kami koi
Par mera naseeb hi rootha hai mujse
Itne kareeb aa k ek hote hote
Kyon tera haat chuuta hai mujse

Saat chutate hi chah mar gayi jeene ki
Shaid main zayada koshish kar gayi jeene ki
Apne liye nahi apnu k liye hi jinda rehna hai
Jeena mazboori hai umeed par gayi jeene ki

Aaj Ka Daur

Choti choti khusiyun ko andekha kar k
Hum bade bade khawabun k peeche bhagtey hain
Joh khawab needun mein pure hote hain
Unn k liye kyon hum raatun ko jaagtey hain

Joh bhi hum ko khuda ne diya hai
Ussi mein khus rehne seekha na humne
Uss pe yeh aur bhi hai kyamat 
Sach ko sach kehna seekha na humne

Jhooti saanu shookat aur jhooti izzat maan ko
Kyon humne aawal darza diya hai
Aisa karte karte sache zazbun ka 
Sache ristun ka katal kar diya hai

Ristun ki kadar kyon hum kar nahi paate
Zakhm kisi dost k marham se bhar nahi paate
Kyon kisi k dard se hamare ansu behte nahi
Ghair aur apnu k janjat se hum ubar nahi paate

Insaniyat paise k bojh talley kyon dabhi jaati hai
Imandaari baar baar yahan kyon challi jaati hai
Sachai jhoot k kadmu mein kyon paadi rehti hai
Achai kyon burai k darwaje pe khadi rehti hai

Sabkuch ulta pulata kyon ho raha hai aaj k daur mein
Kyon ghaant lag gayi hai pyar k daage k chhor mein
Pyar ki cheeko pukar kyon koi sunn nahi paata hai
Dharkan ki awaz kyon dab gayi hai sansun k shor mein

Betiyaan kyon ghar mein bhi rehti hai darr k
Bahuven kyon jee rahi hai roj mar mar k
Kyon kachi kali ko roondane k liye 
Kuch log nainu k gande baan daagtey hain

Aak ka daur kiasa daur hai, dekh k heyraan hoon main
Jitna samajana cha hoon isse, utna hota paresaan hoon main
Main akela kuch bhi nahi kar sakta  yeh bhi jaanta hoon
"Chahat" aap ki tarah iss daur ka mehmaan hoon main


Wednesday 22 May 2013

GAZAL: Tuje Dekhne Ki Ankhun Se Pyas Na Gayi

Umeed toot gayi meri, par aas na gayi
Tuje dekhne ki ankhun se, pyas na gayi

Dekhiye wohi aa k muje, har roj rulati hai
Mere pass aa k kabhi bhi joh udas na gayi

Apni needun ko meri ankhun mein basne de
Tere milne se bhi sapnu ki talash na gayi

Teri har arzoo mera naam le k hasti hai
Mujse mil k kabhi bhi yeh nirash na gayi

Woh jindagi kya jaane dard dil ka zakhmu na jalna
Jisne zakhm na khaye joh dard k pass na gayi

Usse pa k bhi "Chahat" kuch adura sa lage
Kalish hai baaki aur dil ki karash na gayi

Aajkal Woh Log Nahi Hote, Jin K Vaste Khuda Hai Dil

Bewafa yeh jahan hai iss mein, doondata kyon wafa hai dil
Aajkal woh log nahi hote, jin k vaste khuda hai dil

Joh pyar pe mar mitey they, ab kyon nahi milte yahan
Phool sachi wafavun k, ab kyon nahi khilte yahan
Pyar ko pyar nahi milta hai, dil se kyon juda hai dil
Aajkal woh log nahi hote.......................................

Hum pyar ki talash mein, batke hain kahan se kahan
Zameen bhi pavun se nikal gayi, dhoondate dhoondate asmaan
Na ghar k rahe na gaat k, bebas hauva hai bujja hai dil
Aajkal woh log nahi hote...................................

Mera pyar bada ajeeb hai, duniya se hai bilkul alag
Moun se kuch kehta nahi, ankhun se keh jata hai sab
Faisala woh koi sunata nahi, muskilun mein phasa hai dil
Aajkal woh log nahi hote.....................................

Hume apne pyar ko jahan mein, karna hai itna mahaan
Chahe pass rahe ya door, ban k rahen ge do dil ek jaan
Door reh k pyar gatey ga nahi, kache daghe se judha hai dil
Aajkal woh log nahi hote........................................

Tuesday 21 May 2013

Pyar Hi Teri Taqat Hai Kamzoor Na Khud Ko Hone De

Pyar hi teri taqat hai kamzoor, na khud ko hone de
Sacha apna pyar hai, hota hai toh yudh ko hone de

Ghairun k sitam seh liya tune, apnu k gum bhi sehne hain
Abhi aur dard milne hai tumko, abhi aur bhi ansu behne hain
Main saathi tera hoon sukh dukh ka, tera saat kabi na chodunga
Khud ko zakhm de sakta hoon, par tera dil kabhi na todhunga
Mujpe bharosa kar le teri har muskil aasaan hogi
Jaise tu aaj hai jaan meri hamesha meri jaan hogi
Darr na lad ja haq k liya hoti hai hadh ko hone de
Pyar hi teri taqat hai kamzoor................................

Maine dekha hai mere pyar ne, kitna tum ko badla hai
Saare jahan ko aajma liya tune, ab kadam uthana agla hai
Kuch honsle ko buland rakhna, kuch sabar se kaam tu lena
Jab muskil koi aan pade, toh prabhu ka naam tu lena
Maine bhi duvaien maangi hain, k mujko tera saat mile
Chup chup ab nahi milna ha,i tu ghar mein din raat mile
Chota na samaz tu apne ko, bada apne kad ko hone de
Pyar hi teri taqat hai kamzoor...................................

Pyar Se Badal Sakta Hai Har Insaan

Jindagi sheekhati hai sheektey jaeiye
Galtiyun ko magar kabi na doraieye
Imtiyaan lena hai agar tu apna lijiye
Apnu ko kabi bhi na aajmiye
Pyar se badal sakta hai har insaan
Koi badalta nahi kaddi saza se

Tu mera tha phir bhi gair ho gaya
Tera mera kehne ko bher ho gya
Tere jaane k baad jiya mar mar k
Aisse jaise koi kehar ho gya
Tumse main kya gila karun dost
Tune bewafai bhi kee hai wafa se
Muje bhi kaha k saza de do
Aur maufi b maang lee hai khuda se
Pyar se badal sakta hai...............

Jaisee b ho tum jaan se pyari ho
Kabhi meethi kabi theekhee kabi khari ho
Meri khusi mera gum bhi hai tujse
Mera chain b tumho meri bekarari ho
Mere siva tujko koi kaise samze ga
Tum asmaan se aayi ho chand sitari ho
Tuje kasam hai ab meri hi rehna
Dubara badalna na tu zamane k hawa se
Pyar se badal sakta hai................

Puranai baatein purane kisse purane riste
Bhool ja ab tu sabhi purane raste
Dhukhi ho k gayi thee bichar k mujse
Laut aa pass mere phir se haste haste
Bachpane se tuje chaha hai sabhi jaane
Phir se wohi chahat jaga yeh iltaza hai tujse
Tu bhi jaanti hai ab log bhi jaane ge
Mera dil kitne janmu se judha hai tujse
Main jinda hoon ab teri hi waza se
Pyar se badal sakta hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Kheede Makorun Ki Tarah

Hum kheede makorun ki tarah jiya mar gaye
Humse na poochiye, hum kaya kaam kar gaye

Himmat nahi ladne ki sachhe hone k baad bhi
Hum aam aadami tedre, taqat se darr gaye

Na manjil ka pata koi na koi humsafar
Beheke bahut bhatake kahan, hum dar badar gaye

Har cheez ka hai apna mukaam aur apni  khaseeyat
Sawaan laga toh cheenti k, aaye aur par gaye

Bhura huva ya huva bhala yeh baat aur hai
Par saza jab dee gayi, toh apne hi sar gaye

Joh naapte rahe gehrai woh jinda na reh sakke
Joh himmat kar k koode, woh darya se tar gaye

"Chahat" kyon unnko hi tune kaantun ka diya toffa
Pyar tujpe luta k joh, tera daaman bhi bhar gaye

Sunday 19 May 2013

Tere Dard Ki Main Dava Dhoondata Hoon

Apne dard (se main aasaana hi nahi) ka mujko pata hi nahi
Tere dard ki main dava dhoondata hoon
Mere dil k kiye tune tukhre bahut
Phir bhi main tumi mein wafa dhoondata hoon

Main pagal huva hoon sabhi keh rahen hain 
Jab mere dil mein Ram aur Nabbi reh rahen hain
Phir patharun mein kyon main khuda dhoondata hoon

Abhi pass mere hai wafa ka khazana
Abhi mujko hai apna sabhi kuch lutana
Issliye dusara bewafa dhoondata hoon.

Mujse achha aur bethar koi tujko mile ga
Tere dil ka gulshan jis k chune se khile ga
Baharun mein aisse hawa dhoondata hoon

Jindagi thee wohi joh kaati tere sang thee
Tere milne se pehle yeh badi berang thee
Jinda rehne ki dusari koi waza dhoondata hoon

Mere pyar ki kadar koi kar na sakka
Khali jindagi thee usse koi bhar na sakka
Dil main issiliye koi toota huva dhoondata hoon

Donu jahan mein koi bhi raha na hamara
Is sehar mein ab apna na hoga gujara
Aasiyaane k liye nahi ab jagha dhoondata hoon

Pyar rass na aaya khata thee kuch hamari
Sahid poori kar na saake hum apni jeemewari
"Chahat" apne zhuram ki kaddi saza dhoondata hoon

Koi Bhi Raat Tera Sapna Le K Aati Nahi

Koi bhi raat tera sapna le k aati nahi 
Koi bhi subha muje tera pata batati nahi
Maine har dopehar se maanga hai deedar tera
Sham bhi jaanti hai tadpaata hai kitna pyar tera

Sitare bhi muje dekh k udas hote hain
Nazare bhi meri udasi pe khoob rotey hain
Bahaar bhi murjaye dil ko khila payi na
Koyal ne bhi meethi kook koi sunai na
Meri tadap din se bhi dekhi jaati nahi

Sawaan ka mausam bhi gamgeen mujko karta hai
Phagun bhi aata hai par rang koi na bharta hai
Berang bedang bebas se jindagi kyon hai
Marri marri se ankhun mein roshni kyon hai
Chandani Chand ki koi baat bhi sunati nahi

Sapne mein na bhi tu aaye, toh koi baat nahi
Hakeekat mein meri ho k, ban naseeb mera
Agar tu mujko na milli, toh main jiyun ga kaise
Mera dil khud hi ban jaye ga, phir rakeeb mera
Par meri muskil yehi hai, tu dil se jaati nahi

Mere Liye Tu Koi Khawab Bhar Le Ankhun Mein

Teri ankhun se duniya dekhne ki kwahish hai
Mere liye tu koi khawab bhar le ankhun mein
Tujse koi bhi sawaal kabhi na main poochun
Pyar k phir bhi tu saare jawab bhar le ankhun mein

Duniya mujko tujse door liye jaati hai
Jindagi mujko aisay na jeeyi jaati hai
Saat rehna muskil kar diya hai duniya ne
Yaad teri muje har ek pal satati hai,
Jisey pee k main kabhi hosh mein na aavun
Sada rahun pass tere kabhi door na javun
Meri maan tu aisee sharaab bhar le ankhun mein
Mere liye tu koi khawab bhar le.......................

Tere bina jindagi aag ban k jalaye mujko
Jiyun kaise yeh bhi samaz na aaye mujko
Doori tan badan ki ab mithana chahata hoon
Kuch bhi kar ke tere pass aana chahata hoon
Tapas itni hai k muskil ho rahi hain jeene mein
Kuch aisa kar Jis se thandak pade mere seene mein
Thanda thanda pyar ka aab bhar le ankhun mein 
Mere liye tu koi khawab bhar le.......................

Saturday 18 May 2013

Muje Pyar Kar K, Berukhi K Siva Mila Na Kuch

Muje pyar kar k, berukhi k siva mila na kuch
Aag lagi badan mein, par dil k siva jala na kuch
Maine pyar kar k basa liye usko apni sansun mein
Par uss ka mere sanchey mein, kyon dhala na kuch

Yeh kaisa pyar hai jis mein, imandaari ki kadar nahi
Dil ko thoda gaya, aur zazbun ko rohnda gaya
Seede chalnewale ki, haar huvi rusva huva
Woh hi jeeta joh yahan, tedha chala oonda gaya
Mann kisi ne dekha nahi, chikni chupri pe sab gaye
Main aisa na ban sakha, isliye chood dost sab gaye
Chaploosi hi chale yahan, uss k siva chala na kuch
Muje pyar kar k...........................................

Pyar ko bhi pa na sakha, aur jindagi ko bhi haara main
Na apna hi main ban saka, na ho saka tumara main
Woh log joh meri baat ko pathar pe lakeer they mantey
Woh log ab badal gaye hain, mujko nahi pechantey
Haare huve juwari k saat kon chalta hai yahan
Doobe huve jahaaz pe kon chadta hai yahan
Joh kuch huva hai mukadar mera, kiya kissi se gila na kuch
Muje pyar kar k..............................................


Main Bhi Bebas Hoon, Tu Bhi Bebas Hai

Main bhi bebas hoon, tu bhi bebas hai
Dard se bhari apni nas nas hai
Pyar aur dard ka rista hai purana
Baat yeh nahi jhooti yeh bhi toh sach hai

Sasen bhi okharne wali ho gayi hain
Jholiyan bhi apni khali ho gayi hain
Chere ka rang bhi peela pad gaya hai
Aur ghere ghere ankhen b khali ho gayi hain
Zamana humse kis baat pe rhoota hai
Tere saat pe naaz tha woh hib toh toota hai
Jhuda kyon pyar huva humse mil k
Zakhm kis ko hum deekhayen ab dil k
Zehar jaisa lage jindagi ka ras hai
Main bhi bebas hoon, tu bhi.........................

Tere intazar mein raat din rehte hain
Duniya wale mujko pagal hi kehte hai
Log mujpe marte hain par main tujpe marta hoon
Muje bhi khabar nahi kyon itna pyar karta hoon
Janmu ka bandan hai yeh yugun ki kamai hai
Mere hone k liye hi tu duniya mein aayi hai
Kal joh bhi huva usse main bhula doonga
Sache mann se tujko apna bana doonga
Tuje seene se lagana yeh toh mera bas ha
Main bhi bebas hoon, tu bhi...............................

Friday 17 May 2013

Gol Gappe

Gol Gappa Paani Puri, kya kya naam hai iska
Menga nahi dekho yaaro, sasta daam hai jiska
Mujko bhi yeh mast lagen, Beta Bibi bhi khaye
Ek Gol Gappe khaney se hi, Mood theek ho jaye

Dilli mein Gol Gappe bante hain Party ki ronak
Mumbai mein Paani Puri ki apni alag kahani hai
Saara India iss ka dewaana Chota ho ya bada
Bhuda bhi iss ko khaye toh charti usse jawani hai

Jab mera ghala kharab rehta hain khein dinu tak
Meri patni kehti mujse kha k aavo Gol Gappe
Khansi khatam ho jaye gi bina dava khaye
Phir ghar aa k marna pyar se mujko jaffe

Isliye sab ko kehta hoon k dath k Gol Gappe kahvo
Maine aise khein baar kiya khansi se apna bachavo
Gol Gappa ab ban gaya hai Party Stall ka raja
Gol Gappe k bina ab baje na shadhi ka baaja

Kitty Party mein bhi ab toh Gol Gappe ka chalan hai
Gol Gappe kha k hi ab, do dilun ka hota milan hai
Gol Gappe namkeen ho k bhi, mithash dil mein laate hain
Kabhi bhi kah lo, kitne bhi kha lo, log yehi samjate hain

Raat Ne Muje Sone Na Diya Raat Ko

Raat ne muje sone na diya raat ko
Bhata bhi paya na kisi se main is baat ko
Aisa lagta hai tum se kal hi mila they hum
Youn toh barsun ho gaye hain mulakaat ko

Tum ho k ghairun pe jawani ko lutaye jaati ho
Dusarun ki sobhat mein khud ko hi gavaye jaati ho
Hum dil ka dard tum ko batana chahate hain
Tum ajeeb ho kyon muskaraye jaati ho
Kyon hamare dil ki awaaz tum tak jaati nahi
Dost apna humko kyon banati nahi
Hum toh kab se tarsh rahe hain tere saat ko
Bhata bhi paya na kisi se....................................

Tune toh apne husan ko nilaam kiya bin paisun k
Kya mila tujko saat de ke aisey vaisun k
Jis ne teri kadar na ki usse hi khud ko sonpa tune
Anjaane mein hi sahi mere pyar ko khanjar gopa tune
Apne har ang ko kisi aur k rang se rang k
Tune kaam kiya hai dost bade bedang k
Phir bhi thaam liya hai maine tere haat ko
Bhata bhi paya na kisi se........................................

Yaad rakh pyar mein imandaari hi kaam aati hai
Sache pyar mein toh kabhi kabhi jaan bhi jaati hai
Maine pyar kiya hai tujse bina sharat bina vaada kiye
Bas yeh jaan le yeh sab kiya hai sacha erada kiye
Meri achai ko meri kamzoori na naam na dena
Yeh roj tadpe tarse dil ko aisa kaam na dena
Badal dalo tum apne dil k bhure zazbaat ko
Bhata bhi paya na kisi se........................................

Jab Se Tumko Apna Banaya, Maine Khoob Jiya Hai

Jab se tumko apna banaya, maine khoob jiya hai
Mere sang tu bhi ban k, mera mehboob jiya hai
Tujko sache mann se apnaya hai, pyar kiya hai
Saari duniya ko dushman, teri khatir yaar kiya hai

Teri galti nahi thee behayai thee bewafai thee
Vaise toh duniya ki nazar mein tu parai thee
Phir bhi tumko mauf kiya tujse insaaf kiya hai
Tere liye apne dil se har khalis ko saaf kiya hai
Par dard dene wala kaam tumne baar baar kiya hai
Jab se tumko apna banaya...............................

Kon kehta hai mere pyar ki tu haqdaar nahi hai
Kon kehta hai tujko mujse sacha pyar nahi hai
Jitni bhi badli tu pyar mein mere liye sab accha hai
Rab ne meri baat maan le dekho rab kitna sacha hai
Uss ne tumko asli imtihaan k liye tayaar kiya hai
Jab se tumko apna banaya...............................

Pura kiya har vaada aur joh bhi kasam kahi hai
Jaan pe khel k bhi maine teri har sharat nebai hai
Khuda ne milaya hai wohi humko saat rakhe ga
Hum khus rahe isliye woh humpe haat rakhe ga
Muskil apna joh rasta tha uss ne hi humwaar kiya hai
Jab se tumko apna banaya...............................

Teri Meri Abhi Honi Mulakaat Aur Hai

Ghar aane se kisi ko hum rokte nahi
Par dil mein basaane ki koi baat aur hai
Tume dekh k chupp jaana apni ada hai
Teri meri abhi honi mulakaat aur hai

Subha subha aap ke chere ko dekh k
Khush ho gaya aur mera dil machal gaya
Dekh kar tere badan ko angrahiyaan aa gayi
Dheemi dheemi kisi aag mein tan jal gaya
Joh bhi ho raha hai usse hone deejiye
Abhi kuch nahi huva abhi raat aur hai

Anjaan hain aap se hum yeh jaante nahi
Pehle nazar mein joh ho, usse pyar kehte hain
Ab aa javo millo humse hum bekaraar hain
Woh na kar saaken ge jisse intazar kehte hain
Yeh pehli mulakaat hi rang layi hai
Abhi pyar ki  karni hume suruwaat aur hai

Jab pyar ho gaya hai toh ikraar se kya darna
Khul khul k hum karenge deedaar se kya darna
Aa ja mil k keh de zamane se pyar hai
Ab jeet hamari hogi ab haar se kya darna
Aag aur moom jaisa ban gaya hai apna rista
Tu mard hai aur meri toh zaat aur hai

Tere Vaste Tere Liye

Tere vaste tere liye
Betha hoon main sapne liye
Meri ankhun mein aa k bas
Ho jaye ga har sapna sach

Tere bin adhuri jindagi
Jee k bhi kya karun ga main
Tere saat agar na jee saka
Toh phir kis tarah marun ga main

Jeena mera mahaal hai
Dil ka bhi bhura haal hai
Kuch toh jatan tu bhi kar
Meri jindagi ka sawaal hai

Tere vaste tere liye
Maine kitne ansu hain piye
Dard se dil bezaar hai
Zakhmu mein pad gayi hai pas

Tuje dhoondate dhoondate main
Kahan se kahan nikal gaya
Tuje dhoond bhi paya nahi
Aur wqat mujko chhal gaya

Kisi bhi saaye ko dekh k
Lagta raha tu aa gayi
Maine toh sabhi poore kiye
Tu vaade sabhi bhula gayi

Tere vaste tere liye
Paar raste kitne muskil kiye
Pavun bhi gaye hain thak
Himmat ki ho gayi hai bas

Geet :Log Maane Ya Na Maane Muje Pyar Ho Gaya Hai

Dil ko haar k pyar kiya, dil ko jeet k kya pavunga
Teri ankhun ne vaar kiya, inn se door ab kya javunga
Ab tere bin jeena mera duswaar ho gaya hai
Log maane ya na maane muje pyar ho gaya hai

Tum ab meri jaan bani ho, tum bin jeena maut barabar
Tere dil k aage na jaye, mere pyar ki koori chadar
Is chadar ko rang k dekh, ik bhar mera ban k dekh
Kyon ulta pulta ho soochti, sapne toh kuch dang k dekh
Jab se tumse ankh ladi hai. har taraf khumar ho gaya hai.
Log maane ya na maane muje pyar ho gaya hai

Pyar muje aisay badle ga, iss ka muje anumaan na tha
Dil mein jitna ab uthta hai, aisa kabhi tufaan na tha
Iss tufaaan mein aa k dhoob, pyar karen ge hum tum khoob
Pyar bana hai jaan meri, baat tu bhi maan meri
Prem ka yeh kachha daaga, kamzoor dil ka taar ho gaya hai
Log maane ya na maane muje pyar ho gaya hai

Pyar ne mujko jeena sikhaya, badla mere jeene ka danag
Kaise batavun apne moun se, rang gayi hoon tere hi rang
Mujko apni bahun mein le le, palkun ki cahvun mein le le
Yeh pyar ka hi toh hai asar, dikhta hai tu jayen jaye nazar
Khud ko aaina mein dekha, toh tera hi dedaar ho gaya hai
Log maane ya na maane muje pyar ho gaya hai

Thursday 16 May 2013

Gazal : Pyar Ko Samzo Ge Toh Jeena Aaye ga

Pyar ko samzo ge toh jeena aaye ga
Nahi toh wqat saara, aise hi zaya jaye ga

Mujse zayada pyar koi na karega tujse
Wqat khud hi tumko yeh samzaye ga

Tu door rahe ya pass rahe teri marzi
Dill se door kabi bhi na ho payega

Mere dil phool hai tu hai meri bahaar
Tu nahi toh yeh bujje ga murjaye ga

Sach kehta hoon tumse yeh baat hai sachi
Tu na meri huva toh sab kuch mera jaye ga

Yeh banda jinda reh sakta nahi tere bin
"Chahat" juda huva tujse toh mar zaye ga

Meri Aadat hai Yehi

Meri aadat hai yehi
Galat hai ya hai sehi
Jis ko apna keh diya
Who cheez apni hi rahi

Apna ik baar banaya jisko
Phir use door nahi jaane dete
Ik baar door kar diya jisko
Phir usse pass na aane dete
Dil ki imandaari. humko bahut hai pyari
Dosti teri meri wqat se ho jaye gi gehri
Meri sooch hai yehi
Galat hai ya hai sehi
Jis ko dil mein bethaya
Wohi nazrun mein rahi

Pyar pyar hi hai, nahi sodha hai
Dil mein peda ho gaya, nahi khoda hai
Pyar mein sab hain barabar, Raja ho ya Bhikhari
Pyar apne aap mein hi, ik ooncha ooda hai
Tu bhi kuch seekh zara, pyar se kuch na bada
Haarna hoga usse, pyar se joh bhi lada
Meri sooch hai yehi
Galat hai ya hai sehi
Baat tere kaam aaye gi
Aaj maine joh kahi

Tujse muje pyar ho gaya, dil ne sataya mujko
Main kya hoon kaisa hoon, tune bataya mujko
Jab se tere hain huve, sab se anjaane hain hum
Baat yeh dusari hai, jaane pechane hain hum
Kisi aur ko dekha nahi, meri ankhun ne kabhi
Kisi se rista na jodha,  meri sansun ne kabhi
Meri sooch hai yehi
Galat hai ya hai sehi
Sasoon mein joh thee samai
Wohi khoon mein bahi

Dard Ka Rista

Tere hisse k gum, kismat ne de diye mujko
Apne hisse ki khusiyan, main tuje deta hoon
Meri nazar se tu dekh le saari duniya iss k liye
Tu joh kahe toh apni akhiyaan, main tuje deta hoon

Dukh na ho tujko is koshish mein
Dard seh k bhi main khus rehta hoon
Ab teri marzi tu sukh de ya dukh de mujko
Joh b deti hai usse pyar se main sehta hoon

Par insaan hoon kabhi kabhi ansu chalak jate hain
Gujre huve kuch vaakaye jab yaad aate hain
Tujse mil k bhi tere baare mein soochta hoon
Aur tere hi khayal tere jaane k baad aate hain

Maine tumse pyar k badle kuch nahi maanga
Bas aisa kar khud khush reh aur mujse khusi leti ja
Jaise tu chahati hai vaise hi jindagi jee mere sang
Dukh dard bhi tere pyara lage wohi deti ja

Mere pass sapnu ko poora karne ka maada aur irada hai
Aur poora karna hai tujse, kiya har vaada hai
Main Ram ban na paya toh kya tu toh Sita hai
Main Shyam na bhi bana toh bhi tu Radha hai

Mera pyar sirf samjane k liye hi hai kya
Kya saari umar tuje samjane mein gujar jaye gi
Heyraan hoon paresaan hoon teri aadatun se
Meri baat ki gehrai kab tumko samaz aaye gi

Hum agar youn hi choti choti baatun pe ladte rahe
Agar apne beech judai k fasle padte rahe
Aisa hi hota raha toh pyar kab karunga
Pyar na kiya toh tu aur bigar jaye gi

Muje lagta hai apne pyar ka rista
Dard ka rista banta ja raha hai
Yeh kaisa more aaya hai pyar k raste mein
Shaaq ka rasta banta ja raha hai

Muje darr hai kahin apni aadatun se
Tu khud hi mujse, khud ko door na kar de
Main cha k bhi tuje cha na saakun "Chahat"
Tu kahein itna muje, mazboor na kar de