Tuesday 7 May 2013

Jindagi Kitne Hi Sabak Deti Hai

Jindagi kitne hi sabak deti hai
Jaise tu leta hai isse, vaise tuje yeh leti hai
Jaise tu chahe isse beeje ugaye kaate, aisa hota nahi
Yeh cheej tedi hai, nahi tere ghar ki kheti hai

Isse tu jinta samaze utna hi kam hai
Khusiyun ke saat yeh deti gum hai
Kabhi yeh makhan bane jisse tu shouck se khaye
Kabhi mirchi bane aur tu nigal na paye
Kitne rang roop yeh badalti hai
Kabhi rukti nahi sada hi chalti
Kabhi masaledaar kabhi khati meeti ho jaati hai
Kabhi namkeen kabhi peekhi nazar aati hai
Ik baar haat se chootey toh chunna hai muskil
Kyon ki yeh jindagi sarsun sethi hai

Jindagi ko joh samaz le woh toh devta hoga
Main bhi anjaana hoon jaankaar koi dusara hoga
Main bhi jindagi ke haatun haarta rehta hoon
Phir bhi jeene k liye haat pher marta rehta hoon
Tum bhi koshish karo isse samazne ki
Iss k saat saat khud ko badalne ki
Aasaani se kuch bhi nahi deti hai jindagi
Kitne muskil imitihan leti hai jindagi
Kabhi zakhmu pe khud hi rakti hai marham
Kabhi yeh aari bane aur kabhi rethi hai

No comments:

Post a Comment