Thursday 16 May 2013

Dard Ka Rista

Tere hisse k gum, kismat ne de diye mujko
Apne hisse ki khusiyan, main tuje deta hoon
Meri nazar se tu dekh le saari duniya iss k liye
Tu joh kahe toh apni akhiyaan, main tuje deta hoon

Dukh na ho tujko is koshish mein
Dard seh k bhi main khus rehta hoon
Ab teri marzi tu sukh de ya dukh de mujko
Joh b deti hai usse pyar se main sehta hoon

Par insaan hoon kabhi kabhi ansu chalak jate hain
Gujre huve kuch vaakaye jab yaad aate hain
Tujse mil k bhi tere baare mein soochta hoon
Aur tere hi khayal tere jaane k baad aate hain

Maine tumse pyar k badle kuch nahi maanga
Bas aisa kar khud khush reh aur mujse khusi leti ja
Jaise tu chahati hai vaise hi jindagi jee mere sang
Dukh dard bhi tere pyara lage wohi deti ja

Mere pass sapnu ko poora karne ka maada aur irada hai
Aur poora karna hai tujse, kiya har vaada hai
Main Ram ban na paya toh kya tu toh Sita hai
Main Shyam na bhi bana toh bhi tu Radha hai

Mera pyar sirf samjane k liye hi hai kya
Kya saari umar tuje samjane mein gujar jaye gi
Heyraan hoon paresaan hoon teri aadatun se
Meri baat ki gehrai kab tumko samaz aaye gi

Hum agar youn hi choti choti baatun pe ladte rahe
Agar apne beech judai k fasle padte rahe
Aisa hi hota raha toh pyar kab karunga
Pyar na kiya toh tu aur bigar jaye gi

Muje lagta hai apne pyar ka rista
Dard ka rista banta ja raha hai
Yeh kaisa more aaya hai pyar k raste mein
Shaaq ka rasta banta ja raha hai

Muje darr hai kahin apni aadatun se
Tu khud hi mujse, khud ko door na kar de
Main cha k bhi tuje cha na saakun "Chahat"
Tu kahein itna muje, mazboor na kar de

No comments:

Post a Comment