Wednesday 15 May 2013

Geet:Ma Ne Mujko Sada Di Hai Khusiyaan

Ma ne mujko sada di hai khusiyaan
Maine usse kyon dard diya
Ab soochta hoon kya karna tha
Aur maine kya kar diya

Janam se bhi pehle nav mahinee tak
Uss ne muje apni kook mein sambhala
Peda karne k dard ko bhula k
Uss ne mujko naazu se phala

Apni mamta mujpe luta k
Mere vaste raatun jaagi hai Ma
Main bachpane mein jab bemaar huva tha
Muje le k kahan nahi baagi hai Ma

Kabhi bhi muskilun se woh na haari
Pura uss ne saara farz kiya.
Ma ne mujko sada di hai khusiyaan
Maine usse kyon dard diya

Mere hasne rone ka mere jagne soone ka
Har baat ka dayaan rakhti hai Ma
Main uss k liye chahe kuch bhi na karun
Mere liye kuch bhi kar sakti hai Ma

Mujko seekhaya sach ki rah pe chalna
Mera marg darshan Ma ne kiya
Vish mere hisse ka saara pee k
Amrit uss ne mujko ko diya

Bholna bhi mujko us ne hi seekhaya
Pehla sabak bhi uss ne diya
Ma ne mujko sada di hai khusiyaan
Maine usse kyon dard diya

Mera dhakhla acche school mein ho
Iss k liye kahan kahan baagi hai Ma
Jis Ma ne bache ki kismat banayi
Kon kehta hai woh aabagi hai Ma

Ma ka pyar mamta anmol hai
Iss ka mol kabhi main laga na pavunga
Khud ko bech kar bhi dehkun agar
Karz Ma ka main chuka na pavunga

Dher se hi sahi par aaj samja hoon
K Ma ne hi muje hai jeewan daiya
Ma ne mujko sada di hai khusiyaan
Maine usse kyon dard diya

Tera naam le k oh meri Maiya
Aaj yeh kasam khata hoon main
Tune mujko badi looriyaan hai sunai
Ab tere liye geet gaata hoon main

Tere bina jewan jewan nahi
Tu Bhagwan ka hi roop hai
Tu hi deti garmi mein chavun
Tere kaaran hi sardi mein dhoop hai

Tujko hi main ab poojun ga
Woh karun ga, joh ab tak na kiya
Tune mujko sada di hai khusiyaan
Maine tuje kyon dard diya

(On Mother's Day - Another Tribute to Ma)

No comments:

Post a Comment