Tuesday 7 May 2013

Tere Intazar Ki Gadiyaan Hain Lambi

Tere intazar ki gadiyaan hain lambi, aur meri jindagi bahut hi chhoti hai
Tere takdeer pe sab fakar karen, aur meri kismat badi hi khoti hai

Muje kal gali k kone se, rootey huve kisi ki awaz aayi
Woh keh rahi thee kyon bichree, mujse meri parchai
Maine mehfelein kee kitni roshan, kyon mujko andhere dete ho
Kyon tadapti raatein dete ho, kyon taraste savere dete ho
Mera jahan ujara hai kis ne, meri duniya kis ne looti hai
Tere intazar ki gadiyaan hain lambi............................

Bachpane se jawani tak, tere ankhun ne pyar diya mujko
Saare log kehte they tune, sach mein sanwar diya mujko
Sehar ki rangraliyun mein in anjaane see galiyun mein
Jawani k aate aate tune dil se hi bahir  kiya mujko
Tere rootne se umeed rhooti hai aur kismat meri footi hai
Tere intazar ki gadiyaan hain lambi............................

Maine jis ka bhi saat diya, wohi chod k mujko chalta bana
Do pal ka bhi agar saat mila, toh bhi toh dil ka rista bana
Kya huva woh bhi na mera huva, jis ne dil ki baat kahi
Kyon dil mein aa k woh na basa, dil tak jis ka rasta bana
Ab log taane de k kehte hain, meri wafa hi  jhooti hai
Tere intazar ki gadiyaan hain lambi............................

Aaj nahi toh kal parsun. koi apne liye bhi aaye ga
Ummed bhi hogi dil mein, aur sapne liye bhi aaye ga
Mera pyar ki kadar bhi hogi, meri sachai bhi rang laaye gi
Murjayi huvi mere dil ki kali, dobara hi khil jaye gi
Kismat se dokhe kha kha k bhi, meri ass abhi na tooti hai
Tere intazar ki gadiyaan hain lambi............................
 

No comments:

Post a Comment