Monday 6 May 2013

Dost Apna Kyon Dushmanu Sa Honsala Kar Gaya

Dil mein reh k bhi, dil ko khokhala kar gaya
Dost apna kyon dushmanu, sa honsala kar gaya

Seekha k mujko zamaane k toor tareeke
Mujko lagta hai woh, kuch bhala kar gaya

Yaad mujko uss ki aayi badi siddat se aaj
Jab koi apna muje, phir se rula kar gaya

Maine jis ko maizbaan samza mehmaan nahi
Mere ghar se kyon woh bhokhala kar gaya

Judai ki aag mein jalta toh koi baat na thee
Bewafai ki aag mein mujko bhi jala kar gaya

Uss mein itni kuwat na thee k muje dokha deta
Maine suna hai kisi se woh salaha kar gaya

Merei duniya mein uss ne banayi thee apni duniya
Sach poochu toh saari duniya ko hila kar gaya

Kaisa parinda hai jis dall pe betha ussi ko todh gaya
Aur barbaad apne haatun se hi apna ghonsla kar gaya

"Chahat" ta kayamat joh bhari na jaye gi tujse
Dilun k beech mein gehri woh khala kar gaya

No comments:

Post a Comment