Wednesday 15 May 2013

Radha Se Kiya Vaada, Shayam Neebayen Ge

Radha se kiya vaada, shayam neebayen ge
Dher ho sakti hai, par milne toh aayen ge
Radha aur shyam ko, akhir mein milna hai
Is bhar joh mile toh, door phir na jayen ge 

Sakhiyun ke saat rasslilla jab khelen ge shyam ji
Radha ki naarazgi bhi jhelien ge shyam ji
Phir bansuri ki dunn se radha ko magan kar k
Toda pyar kar k thoda sa jatan kar k
Radha ko shyam, ik pal mein manaye ge
Radha se kiya vaada....................................

Jab radha aur shyam k pyar ki baat ho
Kaise na phir koi takraar ki baat ho
Radha apne yovun se kanha ko rijaye
Pyar kisse kehte hai yeh samaz na paye
Shyam dheere dheere uss, sab kuch seekhayen ge
Radha se kiya vaada.................................

Radha toh deewani hai kuch bhi kar legi
Apne shyam ki khatir duniya se lad legi
Par yeh nahi jaane k Shyam sab ka hi pyara hai
Ussi se milne jaye jis ne bhi pukara hai
Radha bhagat hai shyam ki usse na aajmayen ge
Radha se kiya vaada...................................

No comments:

Post a Comment