Saturday 4 May 2013

Marey Gi Na Ass Milne KI

Juda ho k bhi jinda hain, marey gi na aas milne ki
Pyar apna bade ga aur, na jaye gi pyas milne ki,

Kadam dekh sunn k rakha hai issliye samble ga
Sabar kuch aur karna hai hume kuch aur dard sehna hai


Zamana apne pyar ko na samja hai na samje ga
Usse satana aata hai rulana aata hai.
Wohi kare ga joh usse atta hai
Tu na darr koi hume juda na kar sake ga
Hum ik duje k liye hain apna toh  janmu ka naata hai
Hum aam chahanewale nahi hum toh khas hain
Jab milen toh, hogi woh gadi khas milne ki
Pyar apna bade ga aur.......................

Main bhi woh kar raha hoon tu bhi kar joh tere dil ka kehna hai
Rasmu reewazun ko hum utna hi maane ge
Jab tak woh hume juda nahi karte
Hum jaante hai sachhe chahanewalun ko
Kabi alag khuda nahi karte
Khuda pe kar k bharosa tu aayi hai mere sang
Khus rehna ghadi na karna udas milne gi
Pyar apna bade ga aur.........................................

No comments:

Post a Comment