Monday 6 May 2013

Geet: Tumko Kho K Main Jee Na Pavunga

Tum meri jaan ho meri bane rehna
Tumko kho k main jee na pavunga
Tera kya hoga mera bina yeh scooch k
Teri kasam main aaj hi mar javunga

Tuj se vaada kiya hai milne ka
Sang sang door kahein chalne ka
Ab door reh k jiya jaaye na
Mausam ab badle ga tadapne ka
Ab toh khusiyaan ki baris barse gi
Ab ek pal bhi tu na tarse gi
Teri ankhun mein bas k dekhun ga
Tere dil mein utar javunga
Tumko kho k main jee..................

Khusi woh hai joh tere saat kattey
Jindagi ab na do hissun mein battey
Pyar k paani mein dhoob janna hai 
Pyar ka ab koi badal toh fattey
Khusiyuun k toh hum ablashi hain
Lakin dukh sukh k bhi saathi hain
Tere sang hi bahavunga ansu
Tere sang sang hi muskaravun ga
Tumko kho k main jee..................

Duniya ki fikar kon karta hai
Kon duniya se yahan darta hai
Hum ik duje k deewane hain
Doori se kya farak padta hai
Door ja k bhi pass anna hai
Saari duniya ko yeh batana hai
Tu mujko dharken mein chupaye hai
Main tujse door kaise javun ga
Tumko kho k main jee...........

No comments:

Post a Comment