Thursday 2 May 2013

Kuch Rubaiyaan

Sulagta raha dil mera na bhuja na jhala
Podha pyar ka kamzoor huva na sookha na phala
Kaise raste mein aa gaya hai mere dil ka musafir
Dard se tadapta raha, na rukha hain na chala
-------------------------------------------------
Sooch samaz k saat liye ya diye nahi jaate
Dil se nikalte hain khud hi, vaade kiye nahi jaate
Apnu k diya zakhm chupte nahi chupane se
Ansu joh dil se nikalte hain,woh piya nahi jaate
--------------------------------------------------
Yeh jaante huve bhi, k tum nahi hamare
Hum pyar bhi kar bethe, aur dil bhi apna haare
Kismat bhi dagabaaz thee aur haalaat bhi they nazuk
Koshish kari thee humne, k todh k laate taare
----------------------------------------------------
Mahobat mein rusvai milli woh bhi hai acchi
Tere badle tanhai milli woh bhi hai acchi
Tanhai mein khud ko samza tujko jaana
Kon apna hai kon begana
Muje apni hi parchai milli woh bhi hai acchi
--------------------------------------------------
Humey pyar karne ki bhi nahi milti hai fursat
Log ladne k liye kaise wqat nikaal paate hain
Dekh k udas murjaye chere "Chahat" soochta hoon
Log haste hain kis tarah kaise muskarate hain
-----------------------------------------------------
Utna hi dam bharo jitna kar sakko
Uss k liye jiyo jis pe mar sakko
Pyar tabi milega tume jab pyar k ho kar
Pyar k samundar mein dhoob k tar sakko
----------------------------------------------------
Paisa kar deta hai ristun ko khatam
Rokh leta hai yeh pyar k badhte kadam
Dil ki udasi ka andaaja woh kya lagayen ge
Jin ko dikta nahi k meri ankhen hain nam
-----------------------------------------------

No comments:

Post a Comment