Thursday 2 May 2013

Tera Bina Joh Jiyun Toh Jeena Gunha Hai

Tujse toh janmu k riste hain
Kehte sabhi fariste hain
Halaat phir kyon bas mein nahi
Kyon door le jatte raste hain
Tu jahan hai mujko jeena wahan hai
Tera bina joh jiyun toh jeena gunha hai
Tu sirf meri hi jaane jahan hai
Chod k jaana tujko kahan hai

Tu hai duvaven mein toh hi asar hai
Rehmatun mein bhi na koi kasar hai
Khuda bhi mujpe meharbaan hai
Tu meri Gita Bible meri Kuran hai
Tu hi dharkan mein bassi hai sansun mein ravan hai
Tera bina joh jiyun toh jeena gunha hai

Tere saat jeene marne ki khai hai kasam
Jaan pe khel kar bhi nebavun ga hai yeh vaada
Maine toh apne mann ki baat sab se keh dee
Tu mujko hi bata de tera kya hai erada
Tu nahi toh mujko jeena mana hai
Tera bina joh jiyun toh jeena gunha hai

Dusmanu se lada aur jeeta hoon main
Apnu se bina lade haar bhi gaya
Yeh kaisa more aaya meri jindagi mein
Riste bhi toote aur pyar bhi gaya
Jaisa mere sang huva vaisa hota kahan hai
Tera bina joh jiyun toh jeena gunha hai

No comments:

Post a Comment