Thursday 9 May 2013

Ma Ka Kehna Sunn Le Beta

Ma ka kehna sunn le beta, Ma ki baat maan le beta
Aalas na kar jaag neend se, Kyon dher tak hai bistar mein leta
Roj tu dher se utte, aaj jaldi uth ja zara
Aaj tera imitihaan hai, toda yaad kar le zara
Ma tujko jagati hai, jaldi uth k padati hai, 
Tu araam se soo sake, iss k liye, woh khud so na paati hai
Ma ka kehna sunn le beta..............

Padh likh k bane ga bhara, Ma ka bhi armaan hai
Teri khatir yeh sabkuch sehe, kyon ki tu iss ki Jaan hai, 
Yeh teri pehli hai Guru, sabak yeh na bhulana kabhi
Dusare bachun ki tarah, bada ban k dikhana kabhi,
Tere imtihaan kabhi kabhi hote hain, Ma roj imtihaan deti hai
Bemaar ho ya thakki haari ho, tujko yeh apni Jaan deti hai 
Teri khusiyaan ke liye, dard kitne uthati hai
Yeh hai achha yeh hai bhura daant k bhi batati hai
Ma ka kehna sunn le beta..............

Tuj ko khane mein joh accha lage, wohi khana banati hai yeh
Tu naaraz akshar hota hai, tera gussa bhool jaati hai yeh
Teri vardi ko press bhi kare, kitabun ko bag mein bhi barre
Naukarani k jaisee ban k, kaam tere saare kare
Apne haatun se khilaye tuje. teri pasand ka khana tuje
Phele hi Bas Stop pe poonche, kyon k School se ha aana tuje,
Teri khatir Papa se yeh kitni daant bhi khaati hai
Phir bhi teri galtiyaan Ma Papa se chupati hai
Ma ka kehna sunn le beta................

Apni surkhi bindi ka bhi. isse rahe na dayaan
Apni chappal hai tooti huvi, phir bhi kareede tera saamaan
Kisi cheez ki kaami na lage, joh maange tuje woh mille
Tujko tution gaadi pe bejey, par khud woh pedhal challe
Apni saadi se pyari usse, lagti hai teri kitaab
Uss ne apni ankhun mein, sazaaye hai tere hi khawab
Tere khatir roj subha mandir bhi jaati hai
Parsaad phool aur nariyal se, Bhagwan ko maanati hai
Ma ka kehna sunn le beta..................

Rakh le uss ki umeedun ka maan, chuka sakta nahi tu aishaan
Mehnat kar mile ka phal, yehi toh hai Geeta ka gyan
Ma ki asha ko lagne de par,tu ummedun pe poora utar
Ma k ashirwaad se, kat jaye ga muskil safar
Tu ho jaye ga safal, tuje mil jaye gi apni dagar
Bas zara yeh scooh le. Ma ne kya kya nahi hai saha
Sab ki Ma ek jaisee hai, sab jaante hain sabko hai pata
Bachha jab kuch ban jata hai, dard saare bhool jaati hai
Tera kya hai tu badal jaayega, par woh na badal paati hai
Ma ka kehna sunn le beta..............

( Tribute to Mother on Mother's Day, Sunday May 12, 2013)

No comments:

Post a Comment