Thursday 16 May 2013

Geet : Meri Yeh Mazboori Hai


Meri yeh mazboori hai
Tum se joh doori hai
Usse mein kaise mitavun
Jab tu janmu se meri hai
Phir milne mein kyon dheri hai
Dil ko kaise samjavun
Dard ne ki muskil hai
Nazuk dil k haalat hai
Door ab aur reh na pavun

Teri jawani ko, naseele paani ko
Pee k main behosh hona chahata hoon
Galun ko choo k, hotun ko choom k
Main madhosh hona chahata hoon
Ik diya seeliai hai duja aatishbazi hai
Milne de in ko wqat bhi raazi hai
Judai ko purani baat hone de
Hum ek hain ab yeh khabar taazi hai
Mita de saari doori
Ab milna hai zaroori
Kuch aur ab keh na pavun
Door ab aur reh na pavun

Tere mere milan se
Do badan ik jaan hogen
Barsun k baad hum pe 
Lamhe meharbaan hogen
Tere zazbun ki lehron se 
Meri kwahisun k toofan milen ge
Dheere dheere holey holey apne alag alag
Rahun pe chalne wale karwaan milen ge
Jiya na jaye tere bin
Meri tamana hai raat din
Tum ko toot k main chavun
Door ab aur reh na pavun

No comments:

Post a Comment