Wednesday 15 May 2013

Gazal :Dil Ko Jala K Humne

Dil ko jala k humne, kiya roshan ghar tumara
Ab tum yeh keh rahe ho, koi haq nahi hamara

Masoom dil ko todh k, kya mila hai tujko
Hum jaan bhi de dete, tum karte joh ishara

Dil ko behlana phir chorna, tere husan ki ada hai
Magar dokha kisi ko dena, humko nahi gawaara

Maana k tu bewafa hai, par humne toh ki wafa hai
Isliye tere bina, apna ho sakta nahi gujara

Pyar ik baar kar k, jab tumko banaya hai apna
Phir mazdaar bhi tumi ho, tum hi ho kinara

Tu jaisa bhi salook karegi, manzoor mujko hoga
Door jaavun tumse kaise, tu ankhun ka hai taara

Jhoothi saano sowkat k aage, kab tak ghareeb tikta
Zazbun ko thesh poonchi, huvi mahobat para para

Pyar barbaad kar chuka hai, hum phir b kar rahe hain
"Chahat" bhuri sowbat se hota nahi (hum kar na sake) kinara

No comments:

Post a Comment