Thursday 2 May 2013

Wqat Ka Sabak

Duniya tere bhare mein kya soochati hai sooch na
Joh ho raha hai accha hai tu khud ko koosh na
Halaat tere bas mein nahi they bas itna jaan le
Tu asal mein kya thee kya huvi yeh pehchaan le

Aaine k samne ja k ho ja tu khadi,
Tuje tere sahi hone ki dil khud dega gawai
Yahein pe tu apni duniya basana phir se
Phir baaki ki jindagi tu apni marzi se beetana

Phir dekh lena khud hi dil ki jadughari
Gujra huva wqat khud tujko samjaye ga
Tu kaise aam ladki se bani thee paari

Dil tujko bataye ga tere acchi bhuri baatein
Kaise gujari hai tune tanha kaali raatein
Tu galat kahan thee kahan pe theek thee
Kahan pe nikla tha suraj kahan barsi thee barsatein

Yeh b bata dega kaise tu dena apni safai
Tere saat tera sacha saaf dil rehe ga
Woh tume bachata rahe ga karne se burai

Mujse bhi tujko kuch aisa hi jawab mile ga
Mere pass aa k har hakeekat har khawab mile ga
Phoolun ki tamanna mein tuje chube hai kitne kante
Mausam badal gaya hai ab tujko gulaab mile ga

Tum aaj kantu se ulaj rahi ho darr rahi ho
Saari galtiyaan saare ilzam le apne sar rahi ho 
Kal tujko tere apne sapnu ka ghar mile ga
Kahein jaana nahi pade ga yahan par mila ga

Aaj udas bebass hai tu muskarana phir se
Koi tere liye samne tujko khada mile ga
Dil ki angooti mein koi heera jhada mile ga

Phir gujre bhure wqat ko tu pal mein bhool jaana
Par nayi rahun pe chalte chalte itna yaad rakhna
Joh sabak wqat se mila hai usse na kabhi bulana

No comments:

Post a Comment