Friday 3 May 2013

Door Reh K Bhi Tu Mere Pass Hota Hai

Har kadam pe tera aabhas hota hai
Door reh k bhi tu mere pass hota hai
Dooriyan jitni b hain dekh k inn ko
Mann mera kabi bhi na nirash hota
Kyon k jaanta hoon tu sada hi hota hai mera
Door rehta hai ya mere pass hota hai

Pyar apna anokha hai duniya dher se samze gi
Hum pe pyar ki barish zara dher se barse gi
Jaise saare chahanewale dard sehte hain
Mere saat saat meri mehbooba bhi kuch tarse gi
Khusiyan saare jahan ki muje deni hai tumko
Zara se gum se tu kyon udas hota hai
Door reh k bhi tu mere pass hota hai

Hum jahan se kya maange yaar k siva
Lagataar rohjana joh ho uss deedar k siva
Sab jaante hai tu bhi jaan le accha hai
Jinndagi kuch bhi nahi hoti pyar k siva
Kaise na hum ko mila ga apna chota sa jahan
Mehnatkashun k kadum mein aakash hota hai
Door reh k bhi tu mere pass hota hai

Pyar ne humko jeena sikhaya hai yeh sach hai
Pyar pe har ek insaan ka barabar haq hai
Pyar sacha ho toh khuda bhi saat deta hai
Apna bhi saat khuda dega nahi koi shaq hai
Khuda ko kis ne dekhta hai yeh bhi sach hai
Par woh sab dekhta hai sabko viswash hota hai
Door reh k bhi tu mere pass hota hai

No comments:

Post a Comment