Wednesday 8 May 2013

Tumse Pyar Nahi Maanga, Bas Maanga Hai Sirf Saat

Tumse pyar nahi maanga, bas maanga hai sirf saat
Tumse takdeer nahi maangi, maanga hai sirf haat
Saat chalte chalte agar pyar ho gya ho accha hai
Aur agar takdeer badal gayi toh pyar sachha hai

Teri har galti mauf ki hai tujko kabi bhi na kosha
Bas itni arzoo hai k tu mujpe kare bharosa
Tu ankhen band kar k chahe meri baat kabi na maane
Par tum ankhen khol k kyon lagi ho muje tadpane

Kyon pyar karne ki mujko saza de rahi ho
Dil k goonche murjaye aisee hawa de rahi ho
Dil tere diye dard se abhi bahir bhi na nikla
Kyon zakhm aur de rahi ho, ho jayega yeh pagla

Dil tera hai issko tu bacha le, bas itni si hai sirf baat.
Tumse pyar nahi maanga ..............................

Maine toh kasam khai hai saat neebane ki
Tujko kyon lag gayi hai hawa iss zamane ki
Kyon muje dard pe dard diye jaate ho
Ab toh aadat hi bhool gayi hai muskarne ki

Tera badalna muje itna seekha gaya dekho
Zamana kaisa hai hakeekat bata gaya dekho
Mere labhun se phir bhi duva nikalti hai
Chahe tu haat pakar k saat nahi chalti hai

Meri har arzoo tamana tooti nai,zakhmi nahi sirf zazbat
Tumse pyar b nahi maanga ........................

No comments:

Post a Comment