Thursday 23 May 2013

Aaj Ka Daur

Choti choti khusiyun ko andekha kar k
Hum bade bade khawabun k peeche bhagtey hain
Joh khawab needun mein pure hote hain
Unn k liye kyon hum raatun ko jaagtey hain

Joh bhi hum ko khuda ne diya hai
Ussi mein khus rehne seekha na humne
Uss pe yeh aur bhi hai kyamat 
Sach ko sach kehna seekha na humne

Jhooti saanu shookat aur jhooti izzat maan ko
Kyon humne aawal darza diya hai
Aisa karte karte sache zazbun ka 
Sache ristun ka katal kar diya hai

Ristun ki kadar kyon hum kar nahi paate
Zakhm kisi dost k marham se bhar nahi paate
Kyon kisi k dard se hamare ansu behte nahi
Ghair aur apnu k janjat se hum ubar nahi paate

Insaniyat paise k bojh talley kyon dabhi jaati hai
Imandaari baar baar yahan kyon challi jaati hai
Sachai jhoot k kadmu mein kyon paadi rehti hai
Achai kyon burai k darwaje pe khadi rehti hai

Sabkuch ulta pulata kyon ho raha hai aaj k daur mein
Kyon ghaant lag gayi hai pyar k daage k chhor mein
Pyar ki cheeko pukar kyon koi sunn nahi paata hai
Dharkan ki awaz kyon dab gayi hai sansun k shor mein

Betiyaan kyon ghar mein bhi rehti hai darr k
Bahuven kyon jee rahi hai roj mar mar k
Kyon kachi kali ko roondane k liye 
Kuch log nainu k gande baan daagtey hain

Aak ka daur kiasa daur hai, dekh k heyraan hoon main
Jitna samajana cha hoon isse, utna hota paresaan hoon main
Main akela kuch bhi nahi kar sakta  yeh bhi jaanta hoon
"Chahat" aap ki tarah iss daur ka mehmaan hoon main


No comments:

Post a Comment