Tuesday 7 May 2013

Dard Ki Dava

Agar kisi k dard ki dava main bannu toh theek hai
Agar kisi se dard ki dava mangu toh woh bheekh hai

Jaise main kehta hoon vaisa hi sada karta hoon
Kitna deewana hoon teri har ada pe marta hoon
Kabhi teri ruswai na ho iss baat se darta hoon
Baat nahi sirf kehne ki yeh toh sachi sheekh hai

Gali gali woh tuje dhondane gaya sab ne dekha
Uss ka ghar koi apna lutane gaya sab ne dekha
Pyar kitna hai tuje ussey poochne gaya sab ne dekha
Vaisey toh aadmi accha hai naik hai shareef hai

Pyar mein lut k bhi kyon log pyar karte hain
Kitne ulte seede kaam mahobat mein yaar karte hain
Jis kaam ko mana karen log wohi baar baar karte hain
Sab ki samaz mein na aayegi baat yeh badi baareek hai

No comments:

Post a Comment