Friday 30 January 2015

GHAZAL: Meri Jindagi Se Kisi Ka Kyon Naam Nikal Gaya,

Meri jindagi se kisi ka kyon naam nikal gaya 
Woh anjaan ho gaya jab uss ka kaam nikal gaya.

Jab kisi ne bewafai ka jikar kiya kisi se saat, 
Mere muh se achanak hi tera naam nikal gaye.
 
Tere pass paunchana tha jis ko kal subhe subhe, 
Apne ghar se woh aaj ki hi shaam nikal gaya.

Mere samne khade reh kar ankh tak na milai jis ne, 
Wohi le ke apne saat mera salaam nikal gaya.

Kuch saal saat reh ke mujhe chod ke woh bola,
Chalo accha huva laagat ka kuch daam nikal gaya.

Alag ho ke tujse parinde sa urdun aur lage mujhe, 
Jaise janjeerun ki qaid se koi gulaam nikal gaya.

Woh khaas tha iss liye lage the charun taraf pehre, 
Par woh chupke se ban ke aadami aam nikal gaya

Halaat aise ke sab dekhte rahe par koi rokh na paya
Uss aadami ko joh gunha kar sarre aam nikal gaya.

Main jaanta hoon mujhe dekh ke log yeh kehte hain
Ke bade baap ka ek aur beta nakaam nikal gaya.

Jis bazaar mein bikti hai sharmo haya bhi naam se, 
Herat hai ussi bazaar se koi gumnaam nikal gaya. 

Tera saat pa ke khus tha main aur aisa lagta tha, 
Jaise lottery mein mera bhi enaam nikal gaya.

Kehte hain bhure kaam kar ke bhi mile gi usse jaanat, 
"Chahat" marte waqt jis ke muh se raam nikal gaya. 

No comments:

Post a Comment